Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Makkah Mu’azzamah Se Teen Dhu-‘l-Hijjah Ko Rawana Huwe Raaste Me Aik Shaa’ir Mila Aap Ne Puchha Ki Koofah Ka Kya Haal Hai? Us Ne Jawaab Dya : Un Ke Dil Aap Kee Saath Magar Talwaarein Yazeed Ke Saath Hain.
Aap Jab Teen Dhu-‘l-Hijjah Ko Rawana Huwe To Aap Kee Khidmat Me Darkhaast Kee Gayi Ki Kuchh Deen Aur Guzaar Le’n Lekin Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saamne Apne Naana Jaan Ka Yeh Irshaad Mubarak Tha Ki Mein Dekh Raha Hoo’n Ki Makkah Ke Haram Ka Taqaddus Quraysh Ke Aik Shakhs Ke Sabab Paamaal Ho Raha Hai, Yaha’n Aik Shakhs Ke Sabab Khoon Beh Raha Hai. Farmane Lage Mumkin Hai Ki Makkah Me Yazeedi Fauj Giriftaari Ke Liye Ihtimaam Kare Aur Hamaare Haami Hamaare Difa’ Me Talwaarein Utha Le’n Aur Mere Sabab Se Harame Makkah Me Khoon Bahe. Mein Nahin Chaahta Ki Apne Naana Jaan Ke Irshaad Ka Misdaaq Banu’n.
Hajj Ke Dino’n Se Qabl Rawangi Ikhtiyaar Farmayi Us Shaa’ir Kee Baat Sun Ne Ke Ba-Wajood Aage Gaye, Raaste Me Hurr Bin Yazeed Tamimi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Mila Use Ziyaad Ne Lashkar De Kar Bheja Tha Taa Ki Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tumhein Jaha’n Mile Use Koofah Me Daakhil Na Hone Do Aur Koshish Kar Ke Mere Paas Le Aao Hurr Ne Kaha : Husayn Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Aap Ko Pata Chal Chuka Hoga Ki Aap Ke Chacha Zaad Bhaai Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Shaheed Ho Gaye Hain, Koofi Ke Log Hasbe Dastoor Be-Wafa Sabit Huwe Woh Aap Kee Itaa’at Se Phir Chuke Hain, Haalaat Saazgaar Nahin Hain, Bataaiye Aap Ka Kya Khayaal Hai? Mujhe Hukm Hai Ki Mein Aap Ko Ibn Ziyad Ke Paas Le Chaloo’n.
Imam Aali Maqam Ne Ahle Qaafila Se Mashwarah Kiya Aur Yeh Qaraar Paaya Ki Filhaal Maidan Me Padaao Kiya Jaae. Wahin Amr Bin Sa’d Bhi Aik Bahut Bade Lashkar Ke Saath Ibn Ziyaad Kee Taraf Se Imaam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Qatl Ke Mansoobe Ke Taht Aa Pahuncha. Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jis Maidaan Tak Pahunche Us Maidaan Kee Khabar Tak Na Thi Ki Yeh Kounsa Maidaan Hai Darya-E-Furaat Ka Kinaarah Tha, Khayaal Kiya Ki Yaha’n Paani Qareeb Hai Kuchh Aasaani Hogi, Yakum Muharram Ko Aur Baa’z Riwayato’n Ke Mutaabiq Do Muharram Ko Usi Maidaan Me Utre Aur Saathiyo’n Se Puchha Ki Yeh Kounsa Maidaan Hai ? Is Ka Naam Kya Hai ? Unhone Bataya Ki Hazrat Is Ka Naam Karbala Hai, Farmane Lage : Bas Yahi’n Khaime Laga Do, Yahi Hamare Safar Kee Aakhiri Manzil Hai, Us Jagah Pahunchte Hee Aap Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Woh Faraamin Yaad Aa Gaye Jo Aap Ne Karbala Ke Muta’alliq Farmaaye They Aur Bachpan Ke Zamaane Kee Yaadein Aur Huzoor Kee Dee Huwi Bashaaratein Aankho’n Ke Saamne Aa Gayi’n. Woh Bachpan Ka Lamha Yaad Aa Gaya Ki Jab Hazrat Ummi Salamah Aur Hazrat Umm-il-Fadl RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Riwaayat Ki Mutabiq Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Goud Me Imam Aali Maqaam Khel Rahe They Ki Achaanak Aaqa-E-Do-Jaha’n Kee Chashmane Muqaddas Par Aansu Aa Gaye Umm-il-Mu’minin Ne Puchha : Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kya Baat Hai ? Aap Kee Aankho’n Me Aansu Aa Gaaye Hain ? Farmaya :
أتاني جبريل أخبرني أن ابني الحسين يقتل في بعض أرض العراق يقال لها كربلا وهذه تربتها تربة حمراء.
–
[Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra, 02/125.]
Aye Ummi Salamah! Mere Paas Jibra’il Aaya Hai, Aur Us Ne Is Shahzade Kee Taraf Ishaarah Kar Ke Mujhe Bataaya Hai Ki Aaqa! Aap Ke Baa’d Ummat Ka Aik Zaalim Giroh, Aap Ke Bete Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Gharib-ul-Watani Ke Aalam Me Shaheed Kar Dega Aur Iraq Ke Jis Maidaan Me Un Kee Shahadat Hogi Us Ka Naam Karb Wa Bala Hai Aur Yeh Us Jagah Kee Surkh Mitti Hai, Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Mitti Ko Sungh Kar Farmaya : “ريح كرب و بلاء” Haqiqat Yeh Hai Ki Is Mitti Se Bhi Ranj-o-Alam Aur Dukh Aur Dard Kee Boo Aa Rahi Hai, Yahi Woh Maidaan Hai Jis Kee Nisbat Mere Abba Ne Khabar Dee Thi Ki
هاهنا مناخ ركابهم و موضع رحالهم و مهراق دمائهم، فتية من آل محمد يقتلون بهذه العرصة تبكى عليهم السماء والأرض.
Yaha’n Mere Husayn ‘Alayh-is-Salam Aur Us Ke Qaafile Ke Khaime Lagenge, Yaha’n Un Musaafiro’n Ke Kajaawe Rakhe Jaaeinge. Yaha’n Un Ka Muqaddas Khoon Bahaya Jaaega Aur Aale Muhammad Ka Aik Mubarak Giroh Be-Dardi Ke Saath Yaha’n Shaheed Kar Diya Jaaega Aisi Shahadat Ki Jis Kee Shahadat Par Zameen Bhi Rooegi Aur Aur Aasmaan Bhi Aansu Bahaaega.
–
[Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra, 02/126,
Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah,/509.]
Isi Maidaan Kee Mitti Huzoor ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Ne Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ko Ata Kee Thi Aur Farmaya Tha :
إذا تحولت هذه التربة دما فاعلمي ان ابني قد قتل
Jab Yeh Mitti Khoon Me Tabdeel Ho Jaae To Jaan Lena Mera Beta Shaheed Kar Diya Gaya Hai.
–
[Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/347,
Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra, -2/125.]
Aye Ummi Salamah! Is Mitti Ko Sambhaal Kar Rakhna Mujhe Ma’loom Hai Ki Jab Mere Bete Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Shahaadat Ka Waqt Aaega To Us Waqt Too Zinda Hogi Jab Yeh Mitti Surkh Ho Jaaye To Samajh Lena Ki Mera Husayn ‘Alayh-is-Salam Shaheed Kar Diya Gaya Hai. Yeh Saari Bashaaratein Pehle Se Dee Jaa Chuki Thi’n. Isi Liye Imaam Aali Maqam Ne Is Maidaan Ko Apne Apne Safar Ka Muntahi Samajh Kar Khaime Lagaaye Aur Yeh Khayaal Farmaya Ki Darya Qareeb Hai Paani Muyassar Aayega Lekin Un Zaalimo’n Ne Aap Ko Paani Se Mehroom Karne Ka Mansooba Bana Liya. Aath-08 Din Amr Bin Sa’d Aur Ibn Ziyad Ke Qaasido’n Ke Darmiyaan Aane Jaane Me Guzar Gaye Kuchh Guft-o-Shunid Chalti Rahi, Ibn Ziyaad Ne Jab Samajha Ki Amr Bin Sa’d Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Qatl Se Gurez Chaahta Hai To Us Ne Shimr Dhi-‘l-Jawshan Ko Lashkar De Kar Rawana Kiya Aur Kaha Ki Amr Bin Sa’d Agar Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Muqaatalah Kare To Fabiha Agar Mutaammil Ho To Use Ma’zool Kar Ke Lashkar Kee Qiyaadat Tum Sambhaal Lena. Shimr Dhi-‘l-Jawshan Pahuncha To Muharram Ka Aaghaaz Ho Chuka Tha Amr Bin Sa’d Ne Yeh Dekha Ki Hukoomat Mujh Se Chhini Jaa Rahi Hai, Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Saath Muqabala Karne Ka Faisalah Kar Liya Aur Ibn Ziyad Ke Kehne Par Paanch Sau-500 Lashkariyo’n Ko Bheja Ki Woh Furaat Par Qabza Kar Le’n Aur Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Paani Ka Aik Ghoont Tak Na Lene De’n.
–
[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-38_40.]