Posted in 2 Doosra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Raahe Rukhsat Aur Raahe Azimat

                   Aap Ke Dhihn Saaf Karne Ke Liye Mein Aik Zaabitah Aap Ke Saamne Pesh Karta Hoo’n Sune! Shari’ate Mutahharah Me Aise Mushkil Waqt Par Do Raaste Bataaye Jaate Hain Aur Dono’n Raaste Allah Aur Us Ke Rasool Ke Taraf Se Tajweez Kardah Hain, Aik Raaste Ko Raahe Rukhsat Kaha Jaata Hai Aur Aik Raaste Ko Raahe Azimat Kaha Jaata Hai Agar To Halate Saazgaar Ho’n Jabar Wa Barbariyyat Kufr-o-Zulm Aur Baatil Wa Taaghoot Ka Safaya Aasaani Se Kiya Ja Sakta Ho In Haalaat Me Har Chhote Bade Par, Har Kalimah Go Par, Us Zulm Ke Khilaaf Maidaane Kaarzaar Me Nikal Aana Farz Aur Waajib Ho Jaata Hai Phir Kisi Shakhs Ke Liye Siwaye Kisi Shar’iy Majboori Ke Koi Udhr Qaabile Qubool Nahin Hota Lekin Haalaat Jab Na Saazgaar Ho’n Jami’at, Quwwate Aslihah Aur Bhaari Fauj Saath  Na Ho Aur Baatil Ziyaada Mazboot Ho, Taaqatwar Ho, Qawi Tar Ho Aise Haalaat Me Baatil Ko Khatm Karne Ya Hata Dene Kee Soorat Zaahiran Nazar Na Aati Ho To In Na Saazgaar Haalaat Me Do Raaste Shari’at Ne Ummat Ko ‘Ata Kiye Hain. Woh Log Jo Haalaat Kee Na Saazgaari Ko Dekhe Unhein Ijaazat Hai Ki Woh Rukhsati Par ‘Amal Karein Gosha Nashee’n Ho Jaaein Chupke Se La’nat Malaamat Karte Rahein Dil Se Bura Jaanein. Lekin Musallah Kashmakash Ke Liye Maidaan Me Na Aaein BeShak Alag Thalag Aik Jagah Gosha Nasheeni Kee Zindagi Basar Karein Yeh Raahe Rukhsat Hai Aur Har Daur Me Aksariyyat Rukhsat Par Amal Karti Rahi Hai. Aur Raahe Rukhsat Kee Raah Par Amal Karna Shari’at Me Na Jaa’iz Hai, Na Haraam Hai Aur Na Allah Kee Narazgi Ka Sabab Hai Isi Liye Allah Ta’ala Ne Har Iztiraari Haalaat Me Rukhsat Kee Ijaazat De Rakkhi Hai Lekin Agar Sab Ke Sab Log Bila Istishna Aise Haalaat Me Rukhsat Par Hee Amal Karna Shuru’ Kar De’n To Phir Zulm-o-Kufr Aur Taaghoot Ko Khatm Karne Ke Liye Haalaat Kabhi Bhi Saazgaar Nahin Ho Sakte Is Liye, Ba-Wajood Rukhsat Ke Kuchh Log Raahe Azimat Par Bhi Chalne Waale Hote Hain. Woh Haalaat Kee Saazgaari Aur Na Saazgaari Ko Nahin Dekhte, Woh Fauj Aur Lashkar Kee Bhaari Aksariyyat Par Nahin Nazar Daalte, Woh Musallah Kashmakash Me Naakaami Aur Kaamyabi Ke Anjaam Par Tawajjuh Nahin Dete Balki Un Kee Tawajjuh Sirf Aur Sirf Is Amr Par Markooz Hoti Hai Ki Hum Apne Tan Ko, Apne Man Ko Allah Ke Deen Ke Bachaane Ke Liye Kaise Qurbaan Karein Shaayad Tan Mein Lagi Huwi Yeh Aag Hee Aaindah Naslo’n Ke Andhere Dur Kar De Woh Apne Khoon Se Poore Deen Kee Aabiyaari Karne Ko Hee Deen Ke Ihya’ Aur Tahaffuz Ka Baa’ith Samajhte Hain Woh Haalaat Kee Na Saazgaari Se Be Khabar Aur Laa Ta’alluq Rahte Huwe Iztiraari Haalaat Me Bhi Apni Jaan Par Khel Jaate Hain Aur Sare Bakaf Ho Kar Maidaane Kaarzaar Me Utarte Aate Hain Woh Apni Shaan Ke Laa’iq Aur Apne Maqaam Kee Munaasabat Se Is Iqdaam Ko Farz Samajhte Hain, Jis Tarah Har Shakhs Raahe Rukhsat Par Amal Nahin Kar Sakta Usi Tarah Azimat Par Bhi Chalna Har Kisi Kee Bas Kee Baat Nahin Hai.

Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Yeh Iqdaam Is Liye Kiya Tha Ki Un Ke Rag-o-Reshe Me Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Khoon Gardish Kar Raha Tha. Hazrat Sayyidah Zahrah Salam Allah ‘Alayha Kee Goud Me Parwarish Paayi Thi, Mahboobe Khuda SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Mubarak Kandho’n Par Sawaari Kee Thi. Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Zabaan Mubarak Ko Choosa Tha Woh Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Farzand Aur Khanwada-E-Nubuwwat Ke Chashm-o-Chiragh They, Is Liye Jo Ehsaase Ziya’n Unhein Tha, Woh Kisi Ko Nahin Ho Sakta Tha Woh Binaa-E-La Ilah They.

 

Is Liye Zaahir Hai Raahe Azimat Par Amal Karne Kee Izzat Us Daur Me Aap Ke Siwa Aur Kise Naseeb Ho Sakti Thi? Aur Phir Yeh Baat Bhi Dhihn Nasheen Farma Le’n Ki Jo Log Raahe Rukhsat Par Amal Karte Hain Woh Bhi Haque Bi-Jaanib Hote Hain. Kisi Shakhs Ko Haque Nahin Pahunchta Ki Unhein Mata’oon Kare Aur Bura Bhala Kahe. Is Liye Ki Unhein Haque Diya Gaya Hai Ki Raahe Rukhsat Ikhtiyar Karein Albatta Aisi Logo’n Kee Raah Ko Koi Shakhs Apna Uswah Aur Raahenuma Nahin Banaata, Ahle Azimat Aur Ushshaaq Un Kee Raah Par Chalte Hain Jo Log Apne Gale Katwaate Hain. Aur Apne Khoon Se Holi Khelte Hain Aur Qurbaniya’n Dete Hain. Woh Raahe Azimat Par Chal Kar Qiyamat Tak Aik Uswa-E-Hayaat De Jaate Hain. Deen Ko Zinda Karne Ke Liye Aik Shaahraah Qaa’im Kar Dete Hain. Deeni Aqdaar Ko Mitne Se Bachaane Ke Liye Aur Phir Se Bahaal Karne Ke Liye Aik Zaabita-E-Hayaat De Jaate Hain. Is Liye Jin Logo’n Ne Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Iqdaam Ko Zaahiri Haalaat Kee Na Saazgaari Kee Bina Par Ma’azAllah Khurooj Aur Baghaawat Ka Ilzaam Diya Hai Woh Na To Deen Kee Rooh Aur Ta’leem Se Waaqif Hain Aur Na Hee Shari’ate Islamiya Ke Ihya’ Ke Taqaazo’n Se Waaqif Hain. Aur Na Hee Us Kee Amr Kee Khabar Rakhte Hain Ki Islam Kee Qadrein Mit Rahi Ho To Unhein Zinda Karne Ke Liye Khoon Kee Baazi Kis Tarah Lagaayi Jaati Hai Aur Shaayad Woh Yeh Bhi Nahin Jaante Ki Us Waqt Yazeed Ka Takht Par Baithna Islam Kee Taarikh Ko Kis Rookh Par Daal Raha Tha Aur Agar Aik Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi Maidaane Kaarzaar Me Alame Haque Buland Karne Ke Liye Na Nikalta To Aur Yeh Bahattar-72 Tan Bhi Apne Khoon Ka Nazaranah Dene Ke Liye Na Nikalte To Aaj Islaam Kee Jo Mataa’, Jamhoori Qadro’n Kee Soorat Me, Aazaadi Kee Soorat Me Izzat Aur Jaah-o-Shauqat Kee Soorat Me, Islam Kee Shari’at Ke Nafaadh Kee Soorat Me, Jis Haal Me Bhi Nazar Aa Rahi Hai Woh Shaayad Is Ka Nazaarah Kahin Dikhaayi Na Deta, Islam Kee Pairwi Taarikh Aur Ummate Mustafawi Marhoone Minnat Hai. Husayn Ibn Ali ‘Alayhima-‘s-Salam Ke Khoon Ke Qatraat Kee, Aur Khanwada-E-Rasool Kee Us Azeem Qurbaani Kee Jis Ne Rukhsat Ko Chhod Kar Apne Tan Ko To Maachis Kee Tarah Jala Liya Aur Umr Bhar Ke Liye Is Zamaane Kee Taarikiyo’n Aur Andhero’n Ko Ujaale Me Badal Daala. Yahi Wajah Hai Ki Aaj Chawdah Sau-14.00 Baras Beet Gaye. Rukhsat Kee Raah Chalne Waale Hazaro’n They Lekin Azimat Kee Raah Par Chalne Waale Bahattar-72 They Jin Ke Qaa’id Husayn Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma They Chawdah-14 Sadiya’n Beet Gayi’n Dunya Jab Bhi Naam Leti Hai Bataure Namoonah Ke, Woh Husayn Bin Ali ‘Alayhima-‘s-Salam Hee Naam Leti Hai.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-35_38.]