Posted in 2 Doosra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Sooe Koofah Rawaangi

                   Idhar Aali Maqaam, Khanwada-E-Rasool Kee Muqaddas Aur Izzat Maab Khawaateen Apne Baccho’n Dosto’n Aur Behi Khaaho’n Ko Saath Le Kar Aazime Koofah Ho Gaye. Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Man’a Kiya Ki Bhaai Jaan Koofi Bade Be Wafa Hain, Woh Na-Qabile I’timaad Hain, Aap Koofah Na Jaaiye, Isi Tarah Hazrat Ja’far RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Man’a Karte Rahe Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Man’a Karte Rahe Aur Saathi Man’a Karte Rahe Lekin Imam Aali Maqam Sab Ko Yeh Jawaab Dete Rahe Ki Ab Mas’ala Wafa Aur Be-Wafa’i Ka Nahin Hai Mas’ala Da’wat Ka Hai Jis Ka Mujh Se Mutaalibah Kiya Gaya Hai Ki Mein Kalima-E-Haque Bulnad Karne Ke Liye, Jabr-o-Barbariyyat Ke Khilaaf, Zulm-o-Sitam Ke Khilaaf, Kufr Wa Taaghoot Ke Khilaaf, Shari’ate Mustafawi Kee Ihya’ Ke Liye Aur Deene Islam Kee Qadro’nKo Paamaal Hone Se Bachaane Ke Liye, Maidaan Me Aa Jaaun Aur Alame Jihaad Buland Karoo’n Taa Ki Mere Naana Jaan Ka Deen Phir Se Zinda Ho Sake, Mas’ala-E-Deen Ko Zinda Karne Ka Hai, Mas’ala-E-Haque Kee Sham’a Ko Raushan Karne Ka Hai Yaha’n Ba’z Ahbaab Naadaani Me Ya Bugze Ahl-E-Bayt Me Keh Dete Hain Aur Likh Dete Hain Aur Likh Jaate Hain Ki Aise Haalaat Me Jab Ki Imam Husain (‘Alayh-is-Salam) Ke Paas Musallah Lashkar Na Tha, Fauj Na Thi, Siyaasi Quwwat Na Thi Haalaat Saaz Gaar Na They. Ibn Ziyad Aur Yazeed Ke Paas Sab Kuchh Tha Aise Haalaat Me Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Aise Maqaam Par Jaana Ma’azAllah Khurooj Tha Yeh Tasawwur Siwaye Us Ke Ki Ahl-E-Bayt Ka Bugz Aur Aale Rasool Ke Saath Dil Me Inaad Ho Is Ke Siwa Aur Koi Sabab Nahin Hai.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-35.]