Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

ḤUSNU AL-MAʻĀB FĪ ḎH̲IKRI ABĪ TURĀB KARRAMA ALLĀHU WAJ•HAHU AL-KARĪM: 38

٣٨۔                      عَنْ أُمِّ سَلَمَةَ رَضِيَ اللهُ عَنْهَا ، قَالَتْ: سَمِعْتُ رَسُوْلَ اﷲِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَقُوْلُ: عَلِيٌّ مَعَ الْقُرْآنِ، وَالْقُرْآنُ مَعَ عَلِيٍّ لَنْ يَتَفَرَّقَا حَتّٰی يَرِدَا عَلَيَّ الْحَوْضَ.

                رَوَاهُ الْحَاکِمُ وَالطَّبَرَانِيُّ. وَقَالَ الْحَاکِمُ: هٰذَا حَدِيْثٌ صَحِيْحُ الإِسْنَادِ.

38.                “Ḥaz̤rat Ummi Salamah raḍiya Allāhu ‘anhā bayān farmātī haiṅ ki maiṅ ne sunā ki Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāte: ʻAlī aur Qur’ān kā cholī-dāman kā sāth hai. Yeh donoṅ hargiz judā nahīṅ honge yahāṅ tak ki mere pās ḥauz̤e kaus̲ar par (ikat̥ht̥he) ā’enge.”

                Is ḥadīs̲ ko imām Ḥākim aur Ṭabarānī ne riwāyat kiyā hai. Imām Ḥākim ne farmāyā: is ḥadīs̲ kī sanad ṣaḥīḥ hai.

[Aḳhrajah al-Ḥākim fī al-Mustadrak, kitāb maʻrifaṫ al-ṣaḥābah, 03/134, al-raqm: 4628,

al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-awsaṭ, 05/135, al-raqm: 4880,

al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-ṣaġhīr, -02/28, al-raqm: 720,

al-Hayṯẖamī fī Majmaʻ al-zawa’id, 09/134,

Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/54_55, al-raqm: 38.]

Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Mutabbi’iyn Ke Hamraah Hawze Kawthar Par Khushnuma Chehro’n Ke Saath Haaziri

39.

عن ابی رافع رضى الله تعالى عنه ان النبی صلى الله تعالى عليه وآله وسلم قال لعلی انت و شیعتک تردون علی الحوض رواء مروین مبیضة وجوهکم و ان عدوک یردون علی ظماء مقبحین

“Hazrat Aboo Rafi’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya Aap Aur Aap Kee Himaayat Karne Waale Mere Paas Hawz Par Khushnuma Chehre Aur Seraabi Kee Haalat Me Aaenge Un Ke Chehre Sufed Honge Aur Be Shak Tere Dushman Mere Paas Bhook Kee Haalat Me Badnuma Soorat Me Aaenge.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/319.]

 

 

40.

عن ابن عمر رضى الله تعالى عنه قال قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم الحسن والحسین سید اشباب اهل الجنة و ابوهما خیر منها

“Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Woh Farmaate Hain Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya Hasan-o-Husayn Jannat Ke Jawaano’n Ke Sardaar Hain Aur In Ke Baap In Dono’n Se Behtar Hain.”

[1_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/44, Hadith-118

2_Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/167,

Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/65.]