Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 03

Hadith Number : 03

“Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : ˝Jis Ka Mein Wali Hoo’n Us Ka ‘Ali Wali Hai.” Aur Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko (Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko) Yeh Farmate Hu’e Suna : ˝Tum Meri Jagah Par Usi Tarah Ho Jaise Haaroon, Moosa Kee Jagah They, Magar Mere Baa’d Ko’i Nabi Nahin.” Aur Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko (Ghazwa-e-Khaybar Ke Mouka’ Par) Yeh Bhi Farmate Hu’e Suna : ˝Mein Aaj Us Shakhs Ko ‘Alam Ata Karunga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Muhabbat Karta Hai.”

[1-Ibn Majah Ne Yeh Sahih Hadith “As-Sunan (01/90, Al-Muqaddimah, Raqam-121)” Me Riwayat Kee Hai.

2-Nasa’i Ne Yeh Hadith “Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim (Shaf’h,/32, 33, Raqam-91)” Me Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Naqal Kee Hai.

3-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/608, Raqam-1386,

4-Mizzi Fi Tuhfat-il-Ashraf Bi-Mari’fat-il-Atraf, 03/302, Raqam-3901.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 10

Hadith Number : 10

“Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Teen³ Khaslatein Aisi Bataayi Hain Ki Agar Mein Un Me Se Ek Ka Bhi Haamil Hota To Woh Mujhe Surkh Oonto‘n Se Ziyadah Mahboob Hoti. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Ek Mauqa’ Par) Irshad Farmaya : “‘Ali Meri Jagah Par Is Tarah Hain Jaise Haroon Moosa Kee Jagah Par They, Magar Mere Baa’d Ko’i Nabi Nahin.” Aur Farmaya : “Mein Aaj Us Shakhs Ko ‘Alam Ata Karunga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Muhabbat Karta Hai Aur Allah Aur Us Ka Rasool Us Se Muhabbat Karte Hain.” (Raawi Kahte Hain Ki) Mein Ne Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko (Is Mauqa’ Par) Yeh Farmate Hu’e Bhi Suna : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”

[1-Khasa’is Amir Al-Mu’minin ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, 33, 34, 88, Raqam-10, 80,

2-Shashi Ne “Al-Musnad (01/165, 166, Raqam-106)” Me Yeh Riwayat ‘Aamir Bin Sa’d Bin Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Lee Hai.

3-Ibn ‘Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/88)” Me ‘Aamir Bin Sa’d Aur Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Ahadith Bayan Kee Hain.

4-Hisam-ud-Deen Hindi Ne “Kanz-ul-’Ummal (15/163, Raqam-36496)” Me ‘Aamir Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Yeh Riwayat Chand Alfaaz Ke Izaafe Ke Saath Zikr Kee.

Is Hadith Kee Isnaad Sahih Hain.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 11

Hadith Number : 11

“Sufyan Bin ‘Uyaynah (Manaqibe ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Zimn Me) Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Chaar⁴ Khoobiya’n Aisi Hain Ki Agar Mein Un Me Se Kisi Ek Ka Bhi Haamil Hota To Use Fula’n Fula’n Chiz Hatta Ki Surkh Oonto’n Se Ziyadah Mahboob Rakhta.
Woh Chaar⁴ Khoobiya’n Yeh Thi’n : (Pehli Khoobi Unhein Ghazwa-e-Khaybar Ke Mauqa Par) ‘Alam (Jhande) Ka Ata Hona Hai. (Doosri Khoobi) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Un Ke Mut’alliq Yeh Farmana Ki (Tera Aur Mera Ta’alluq Aise Hai) Jaise Haroon Aur Moosa Ka (Ta’alluq Hai). (Tisri Khoobi) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Un Ke Mut’alliq Yeh Farmana Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n (Us Ka ‘Ali Mawla Hai).
(Raawi-e-Hadith) Sufyan Bin ‘Uyaynah Ko Chouthi Khoobi Bhool Ga’e.”

[1-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/607, Raqam-1385,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/643, Raqam-1093,

3-Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 03/151, Raqam-948,

4-Ibn ‘Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/89, 91)” Me Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Riwayat Me Chaar⁴ Khoobiya’n Bil-Tafseel Likhi Hain.

Ahmad Bin Hanbal Kee Bayan Kardah Riwayat Kee Isnaad Hasan Hain.]

Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 12

Hadith Number : 12

“‘Abd-ur-Rahman Bin Saabit (Manaqibe ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Zimn Me) Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Mein Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Teen³ Aisi Khaslatein Bayan Farmate Hu’e Suna Ki Agar Un Me Se Ek Bhi Mujhe Ata Ho To Woh Mujhe Dunya Wa Maafiyha Se Ziyadah Mahboob Hoti. Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n (Us Ka ‘Ali Mawla Hai), Aur ‘Ali Meri Jagah Aisa Hai Jaise Moosa Kee Jagah Haroon, Aur Mein Use ‘Alam Ata Karunga (Jo Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Habib Hai Aur Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke Habib Hain).”

[1-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/608, Raqam-1386,

2-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/61, Raqam-12127,

3-Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 03/207, Raqam-1008,

4-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/88, 89,

Diya’ Maqdisi Ne Is Hadith Kee Sanad Ko Sahih Qaraar Diya Hai.]