“Jashne Milad-un-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Manaana Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadate Baa Sa’adat Kee Taarikhi Khushi Me Masarrat-o Shaadmaani Ka Izhaar Hai Aur Sahih Bukhari Kee Riwaayat Se Yeh Baat Waazeh Hai Ki Yeh Aisa Mubaarak Amal Hai Jis Se Aboo Lahab Jaise Kaafir Ko Bhi Faa’eda Pahonchta Hai Hala’n Ki Us Kee Mazammat Me Poori Soorat Naazil Hu’i Hai. Agar Aboo Lahab Jaise Kaafir Ko Milad-un-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khushi Me Har Peer(Monday) Ko Azaab Me Takhfeef Naseeb Ho Sakti Hai To Us Momin Musalman Kee Sa’aadat Ka Kya Thikaana Hoga Jis Kee Zindagi Milad-un-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khushiya’n Manaane Me Basar Hoti Ho.
Huzoor Sarware Ka’enatصَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Khud Bhi Apne Yawme Wilaadat Kee Khushi Manaate Aur Is Kaa’enaat Me Apne Zahoor-o Wujood Par Bargahe Rabb-ul-Izzat Me Sipaas Guzaar Hote Hu’e Peer Ke Din Roza Rakhte. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Apne Yawme Wilaadat Kee Ta’zeem-o Takreem Farmaate Hu’e Tehdithe Ne’mat Ka Shukr Baja Laana Hukme Khudawandi Tha Kyun Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Hee Ke Wujoode Mas’ood Ke Tasadduq Aur Waseela Se Har Wujood Ko Sa’aadat Mili Hai.
Jashne Milad-un-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka ‘Amal Musalmano’n Ko Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Par Durood-o Salam Jaise Ahm Faraa’iz Kee Taraf Raghbat Dilaata Hai Aur Qalb-o Nazar Me Dhauq-o Shauq Kee Faza’ Hamwaar Karta Hai. Salat-o Salam Bazaat Khud Shari’at Me Be Panaah Nawaazishaat-o Barakaat Ka Baa’ith Hai. Is Liye Zamhoore Ummat Ne Milad-un-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka In’eqaad Mustehsan Samjha.
Sirate Tayyibah Kee Ahamiyyat Ujaagar Kar Ne Aur Jazba-e Mahabbate Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Farogh Ke Liye Mehfile Milad Kalidi Kirdaar Ada Karti Hai.Isi Liye Jashne Milad-un-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Me Faza’il, Shamaa’il, Khasaa’il Aur Mu’jizaate Sayyid-il-Mursalin صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Tadhkira Aur Uswa-e Hasana Bayaan Hota Hai.
Jashne Milad-un-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Ek Ahm Maqsad Mahabbat-o Qurbe RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Husool-o Farogh Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Zaate Giraami Se Musalmano’n Ke Ta’alluq Ka Ihya’ Hai Aur Yeh Ihya’ Manshaa-e Shari’at Hai. Choo’n Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Zaate Aqdas Ummate Muslima Ke Imaan Ka Markaz-o Mehwar Aur Haqiqi Aasaas Hai. Ummate Muslima Kee Baqa-o Salaamati Aur Taraqqi Ka Raaz Hee Is Amr Par Munhasir Hai Ki Woh Faqat Zaate Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Apni Jumla Aqidato’n, Mahabbato’n Aur Tamannao’n Ka Markaz-o Mehwar Gardaane Aur Yeh Baat Qat’iy Taur Par Jaan Le Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Nisbat Ke Istehkaam Aur Waasta Ke Baghair Dunya-o Aakhirat Me Koi Izzat-o Sarfaraazi Naseeb Nahin Ho Sakti Hai.
Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Faza’il-o Kamaalaat Kee Ma’refat Imaan Billah Aur Iman Bi-Al-Risaalat Me Izaafa Ka Moharrik Banti Hai. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Ta’zeem-o Tauqeer Imaan Ka Pehla Bunyaadi Taqaaza Hai Aur Milade Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Silsile Me Masarrat-o Shaadmaani Ka Izhaar Karna, Mahaafile Zikr-o Na’t Ka In’eqaad Karna Aur Khaane Ka Ehtemaam Karna Allah Ta’ala Ke Huzoor Shukr Guzaari Ke Sab Se Numaaya Muzaahir Me Se Hai. Allah Ta’ala Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Hamaare Liye Mab’ooth Farma Kar Hame’n Apne Be Paaya’n Ehsaanaat-o Inaayaat Aur Nawazishaat Ka Mustahiq Thehraaya Hai. Is Liye Allah Ta’ala Ne Is Ehsaane Azeem Ko Jatlaaya Hai.
Jis Tarah Maahe Ramadaan-ul-Mubaarak Ko Allah Rabb-ul-Izzat Ne Qur’an Hakeem Kee Azmat-o Shaan Ke Tufayl Deegar Tamaam Mahino’n Par Imtiyaaz ‘Ata Farmaaya Hai Usi Tarah Maahe Rabi’-ul-Awwal Ke Imtiyaaz Aur Inferaadiyyat Kee Waj’h Bhi Is Me Saahibe Qur’an Kee Tashreef Aawri Hai. Yeh Maahe Mubaarak Bhi Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Baa Sa’aadat Ke Sadqe Jumla Mahino’n Par Numaaya Fazilat Aur Imtiyaaz Ka Haamil Hai.Shabe Milaade Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Laylat-ul-Qadr Se Bhi Afzal Hai. Laylat-ul-Qadr Me Nuzoole Qur’an Huwa To Shabe Milad Me Saahibe Qur’an Kee Aamad Hu’i. Laylat-ul-Qaadr Kee Fazeelat Is Liye Hai Ki Woh Nuzoole Qur’an Aur Nuzoole Malaa’iqa Kee Raat Hai Aur Nuzoole Qur’an Qalbe Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Par Huwa Hai. Agar Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Na Hote To Na Qur’an Hota, Na Shabe Qadr Hoti, Na Koi Aur Raat Hoti. Yeh Saari Fazeelatein Aur Azmatein Milaade Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Sadaqa Hain.
Is Kaa’enaate Insaani Par Allah Ta’ala Ne Be Hadd-o Hisaab Ehsaanaat-o In’aamaat Farmaa’e Aur Us Ne Hame’n Laa Ta’daad Ne’mato’n Se Nawaaza Jin Me Se Har Ne’mat Dusri Se Badh Kar Hai Lekin Us Ne Kabhi Kisi Ne’mat Par Ehsaan Nahin Jatlaaya.
Allah Ta’ala Ne Hame’n Lazzat-o Tawanaa’i Se Bharpoor Tarah Tarah Ke Khaane ‘Ata Ki’e, Peene Ke Liye Khush Dhaa’eqa Mukhtalif Mashroobaat Diye, Din Raat Ka Ek Aisa Nizaam-ul-Awqaat Diya Jo Sukoon-o Aaraam Faraaham Kar Ne Ke Saath Saath Hamaari Zarooriyyaate Zindagi Kee Kafaalat Karta Hai, Samundaro’n, Pahaado’n Aur Khala-e Baseet Ko Hamaare Liye Musakkhar Kar Diya, Hame’n Ashraf-ul-Makhlooqaat Banaaya Aur Hamaare Sar Par Buzurgi Wa Azamat Ka Taaj Rakkha, Waaldayn, Bahan, Bhaai Aur Aulaad Jaisi Ne’mato’n Kee Arzaani Farmaa’i Al-Gharaz Apni Aisi Aisi Ataao’n Aur Nawaazisho’n Se Faiz Yaab Kiya Ki Hum Un Ka Idraak Kar Ne Se Bhi Qaasir Hain Lekin Un Sab Ke Baa Wujood Us Ne Ba-Taur Khaas Ek Bhi Ne’mat Ka Ehsaan Nahin Jatlaaya. Lekin Ek Ne’mat Aisi Thi Ki Khuda-e Buzurg-o Bartar Ne Jab Use Apne Hareeme Kibriyaa’i Se Nau-e Insaani Ke Taraf Bheja To Poori Kaa’enaate Ne’mat Me Sirf Us Par Apna Ehsaan Jatlaaya Aur Us Ka Izhaar Bhi Aam Pairaae Me Nahin Kiya Balki Ahle Imaan Ko Us Ka Ehsaas Dilaaya. Momineen Se Roo’e Khitaab Kar Ke Irshaad Farmaya :
لَقَدْ مَنَّ اللّهُ عَلَى الْمُؤمِنِينَ إِذْ بَعَثَ فِيهِمْ رَسُولاً مِّنْ أَنفُسِهِمْ.
“Be Shak Allah Ne Musalmaano’n Par Bada Ehsaan Farmaya Ki Un Me Unhi Me Se (Azamat Waala) Rasool (صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Bheja.” [Aali Imran, 03 : 164.]
Islam Me Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالىٰ Kee Ne’mato’n Aur Us Ke Fazl-o Karam Par Shukr Baja Laana Taqaaza-e Uboodiyyat-o Bandagi Hai, Lekin Qur’an Ne Ek Maqaam Par Us Kee Jo Hikmat Bayaan Farmaa’i Hai Woh Khaasi Maa’na Khez Hai. Irshaad Farmaya :
لَئِنْ شَكَرْتُمْ لَأَزِيدَنَّكُمْ وَلَئِنْ كَفَرْتُمْ إِنَّ عَذَابِي لَشَدِيدٌ
“Agar Tum Shukr Ada Karoge To Mein Tum Par (Ne’mato’n Me) Zaroor Izaafa Karunga Aur Agar Tum Naashukri Karoge To Mera Azaab Yaqinan Sakht Hai” [Ibrahim, 14 : 07.]
Is Aaya-e Karima Kee Roo Se Ne’mato’n Aur Shukr Baja Laana Mazeed Ne’mato’n Ke Husool Ka Peshe Khaima Ban Jaata Hai. Phir Ne’mato’n Par Shukraana Sirf Ummate Muhammadiyyah Par Hee Waajib Nahin Balki Umame Saabiqa Ko Bhi Is Ka Hukm Diya Jaata Raha. Soorat-ul-Baqarah Kee Aayat Number 47 Me Bani Isra’il Ko Woh Ne’mat Yaad Dilaa’i Ga’i Jis Kee Ba-Daulat Unhe’n ‘Aalam Par Fazeelat Haasil Ho Ga’i Aur Phir Us Qaum Ko Fir’auni Daur Me Un Par Tootne Waale Hol-Naak Azaab Kee Taraf Mutawajje Kiya Gaya Jis Se Rihaa’i Un Ke Liye Ek Azeem Ne’mat Kee Soorat Me Saamne Aa’i. Is Ke Baa’d Farmaya :
وَإِذْ نَجَّيْنَاكُمْ مِنْ آلِ فِرْعَوْنَ يَسُومُونَكُمْ سُوءَ الْعَذَابِ.
“Aur (Ae Aale Ya’qoob! Apni Qaumi Taarikh Ka Woh Waaqe’a Bhi Yaad Karo) Jab Hum Ne Tumhe’n Qaume Fir’awn Se Najaat Bakhshi Jo Tumhe’n Intehaa’i Sakht Azaab Dete They.” [Al-Baqarah, 02 : 49.]
Is Qur’ani Irshaad Kee Raushni Me Ghulami Wa Mehkoomi Kee Zindagi Se Aazaadi Bohat Badi Ne’mat Hai Jis Par Shukr Baja Laana Aane Waali Naslo’n Par Waajib Hai. Is Se Istidlaal Karte Hu’e Hum Par Yeh Zimmedaari Aa’id Hoti Hai Ki Qaumi Aazaadi Ko Allah Ta’ala Kee Taraf Se ‘Ata Kee Hu’i Ne’mate Ghair Mutaraqqiba Samjhe’n Aur Us Par Shukraana Ada Kare’n. Mazkoora Baala Aayate Karima Is Amr Par Shaahid Hai Ki Ne’mat Ke Shukraane Ke Taur Par Baa Qaa’idagi Ke Saath Bil-Ehtemaam Khushi-o Masarrat Ka Izhaar Is Liye Bhi Zaroori Hai Ki Aa’inda Naslo’n Ko Is Ne’mat Kee Qadr-o Qeemat Aur Ahamiyyat Se Aagaahi Hoti Rahe.
Yoo’n To Insaan Saara Saal Ne’mate Ilaahi Par Khuda Kee Zaate Kareema Ka Shukr Ada Karta Rehta Hai Lekin Jab Gardishe Ayyaam Se Woh Din Do Baara Aata Hai Jis Me Min Hayth-ul-Qawm Is Par Allah Ta’ala Ka Karam Huwa Aur Mazkoora Ne’mat Is Ke Shareeke Haal Hoti To Khushi Kee Kaifiyyaat Khud Bakhud Jashn Kee Soorat Ikhtiyaar Kar Leti Hain. Qur’an Majeed Me Ja Baja Is Ka Tadhkira Hai Ki Jab Bani Isra’il Ko Fir’auni Zulm-o Sitam Aur Us Kee Cheera Dastiyo’n Se Aadaadi Mili Aur Woh Neel Ke Toofaani Maujo’n Se Mahfooz Ho Kar Waadi-e Seena Me Pahonche To Waha’n Un Ka Saamna Shadeed Garmi Aur Tez Chilchilaati Dhoop Se Huwa To Un Par Baadalo’n Ka Saa’ebaan Khada Kar Diya Gaya. Yeh Ek Ne’mat Thi Jis Ka Zikr Is Aaya-e Kareemah Me Kiya Gaya Hai :
وَظَلَّلْنَا عَلَيْكُمُ الْغَمَامَ وَأَنْزَلْنَا عَلَيْكُمُ الْمَنَّ وَالسَّلْوَى.
“Aur (Yaad Karo) Jab (Tum Fir’awn Ke Gharq Hone Ke Baa’d Shaam Ko Rawana Hu’e Aur Waadi-e Teeh Me Sargarda’n Phir Rahe They To) Hum Ne Tum Par Badal Ka Saaya Ki’e Rakkha Aur Hum Ne Tum Par Manna Wa Salwa Utaara.” [Al-Baqarah, 02 : 57.]
Qur’an Majeed Ne Deegar Maqaamat Par Khaas Khaas Ne’mat Ka Zikr Kar Ke Un Ayyaam Ke Hawaale Se Unhe’n Yaad Rakhne Ka Hukm Diya Hai. Phir Ne’mato’n Par Khushi Wa Masarrat Ka Izhaar Karna Sunnate Ambiya’ عَلَيْهِمُ السَلَام Bhi Hai. Hazrat ‘Isa عَلَيْهِ السَّلَام Ne Jab Apni Qaum Ke Liye Ne’mate Maa’idah Talab Kee To Apne Rabb Ke Huzoor Yoo’n ‘Arz Guzaar Hu’e :
رَبَّنَا أَنْزِلْ عَلَيْنَا مَائِدَةً مِنَ السَّمَاءِ تَكُونُ لَنَا عِيدًا لِأَوَّلِنَا وَآخِرِنَا وَآيَةً مِنْكَ.
“Ae Hamaare Rabb! Hum Par Aasmaan Se Khaane (Ne’mat) Naazil Farma De Ki (Us Ke Utarne Ka Din) Hamaare Liye Eid (Ya’ni Khushi Ka Din) Ho Jaae Hamaare Aglo’n Ke Liye (Bhi) Aur Hamaare Pichhlo’n Ke Liye (Bhi) Aur (Woh Khaan) Teri Taraf Se (Teri Qudrate Kaamila Kee) Nishaani Ho.” [Al-Ma’idah, 05 : 114.]
Qur’an Majeed Ne Is Aaya-e Karimah Ke Zari’e Apne Nabi Ke Hawaale Se Ummate Muslima Ko Yeh Tasawwur Diya Hai Ki Jis Din Ne’mate Ilaahi Ka Nuzool Ho Us Din Jashne Manaana Shukraana-e Ne’mat Kee Mustehsan Soorat Hai. Is Aayat Se Yeh Mafhoom Bhi Mutarashshih Hai Ki Kisi Ne’mat Ke Husool Par Khushi Wohi Manaate Hain Jin Ke Dil Me Apne Nabi Kee Mahabbat Jaaguzi’n Hoti Hai Aur Woh Is Ke Izhaar Me Nabi Ke Saath Shareek Hote Hain.
Allah Ta’ala Kee Kisi Ne’mat Par Shukr Baja Laane Ka Ek Ma’roof Tareeqa Yeh Bhi Hai Ki Insaan Husoole Ne’mat Par Khushi Ka Izhaar Kar Ne Ke Saath Us Ka Dusro’n Ke Saamne Zikr Bhi Karta Rahe Ki Yeh Bhi Shukraana-e Ne’mat Kee Ek Soorat Hai Aur Aisa Karna Qur’an Hakeem Ke Is Irshaad Se Saabit Hai :
وَأَمَّا بِنِعْمَةِ رَبِّكَ فَحَدِّثْ
“Aur Apne Rabb Kee Ne’mato’n Ka (Khoob) Tadhkira Kare’n” [Ad-Duha, 93 : 11.]
Is Me Pehle Zikre Ne’mat Ka Hukm Hai Ki Allah Ta’ala Kee ‘Ata Karda Ne’mat Ko Dil-o Jaan Se Yaad Rakkha Jaae Aur Zabaan Se Us Ka Zikr Kiya Jaae Lekin Yeh Zikr Kisi Aur Ke Liye Nahin Faqat Allah Ta’ala Ke Liye Ho. Is Ke Baa’d Tehdithe Ne’mat Ka Hukm Diya Ki Khule Bando’n Makhlooqe Khuda Ke Saamne Is Ko Yoo’n Bayaan Kiya Jaae Ki Ne’mat Kee Ahamiyyat Logo’n Par Aya’n Ho Jaae. Yaha’n Yeh Waazeh Rahe Ki Zikr Ka Ta’alluq Allah Ta’ala Se Aur Tehdithe Ne’mat Ka Ta’alluq Makhlooq Se Hai Kyoo’n Ki Is Ka Ziyaada Se Ziyaada Logo’n Me Charcha Kiya Jaa’e Jaisa Ki Qur’an Majeed Me Irshaad Huwa :
فَاذْكُرُونِي أَذْكُرْكُمْ وَاشْكُرُوا لِي وَلَا تَكْفُرُونِ
“So Tum Mujhe Yaad Karo Mein Tumhe’n Yaad Rakkhunga Aur Mera Shukr Ada Kiya Karo Aur (Meri Ne’mato’n Ka) Inkaar Na Kiya Karo” [Al-Baqarah, 02 : 152.]
Is Aaya-e Karimah Me Talqeen Kee Ga’i Hai Ki Khaali Zikr Hee Na Karte Raho Balki Allah Ta’ala Kee Ne’mato’n Ka Zikr Shukraane Ke Saath Is Andaaz Me Karo Ki Makhlooqe Khuda Me Us Ka Khoob Charcha Ho. Is Par Mustazaad Izhaare Tashakkur Ka Ek Tareeqa Yeh Bhi Hai Ki Ne’mat Par Khushi Ka Izhaar Jashn Aur Eid Kee Soorat Me Kiya Jaae. Umume Saabiqa Bhi Jis Din Koi Ne’mat Unhe’n Mayassar Aati Us Din Ko Ba-Taure Eid Manaati Thi’n. Qur’an Majeed Me Hazrat ‘Isa عَلَيْهِ السَّلَام Kee Us Du’aa Ka Zikr Hai Jis Me Woh Bargahe Ilaahi Me Yoo’n Multaji Hote Hain :
رَبَّنَا أَنْزِلْ عَلَيْنَا مَائِدَةً مِنَ السَّمَاءِ تَكُونُ لَنَا عِيدًا لِأَوَّلِنَا وَآخِرِنَا.
“Ae Hamaare Rabb! Hum Par Aasmaan Se Khaane (Ne’mat) Naazil Farma De Ki (Us Ke Utarne Ka Din) Hamaare Liye Eid (Ya’ni Khushi Ka Din) Ho Jaae Hamaare Aglo’n Ke Liye (Bhi) Aur Hamaare Pichhlo’n Ke Liye (Bhi).” [Al-Ma’idah, 05 : 114.]
Yaha’n Ma’idah Jaisi Aarizi Ne’mat Par Eid Manaane Ka Zikr Hai. Isaa’i Log Aaj Tak Itwaar Ke Din Us Ne’mat Ke Husool Par Ba-Taur Shukraana Eid Manaate Hain. Yeh Hamaare Liye Lamha-e Fikriyya Hai Ki Kya Nuzool Maa’idah Jaisi Ne’mat Kee Wilaadato-o Be’thate Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Koi Nisbat Ho Sakti Hai? Is Ne’mate Uzma Par To Maa’idah Jaisi Karodo’n Ne’matein Nithaar Kee Jaa Sakti Hain.
‘Sahih Bukhari’ Aur ‘Sahih Muslim’ Me Hazrat Umar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Kee Yeh Muttafaqun ‘Alayh Riwaayat Maujood Hai Ki Jab Ek Yahoodi Ne Un Se Puchha Ki Kya Aap Jis Din Aayat – الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ – Naazil Hu’i Us Din Ko Bature Eid Manaate Hain? Agar Hamaari Tawraat Me Aisi Aayat Utarti To Hum Use Zaroor Yawme Eid Bana Lete. Is Ke Jawaab Me Hazrat Umar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Farmaya : Hum Us Din Aur Jagah Ko Jaha’n Yeh Aayat Utri Thi Khoob Pehchaante Hain. Yeh Aayat Yawme Hajj Aur Yawme Jumu’at-ul-Mubarak Ko Maidaane Arafaat Me Utri Thi Aur Hamaare Liye Yeh Dono’n Din Eid Ke Din Hain.
Is Par Sawaal Kiya Jaa Sakta Hai Ki Agar Takmeele Din Kee Aayat Ke Nuzool Ka Din Ba-Taure Eid Mana Ne Ka Jawaaz Hai To Jis Din Khud Mohsine Insaaniyyat صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Is Dunya Me Tashreef Laa’e Ise Ba-Taure Eide Milaad Kyoo’n Nahin Manaaya Ja Sakta? Yehi Sawaal Fazeelate Yawme Jumu’ah Ke Baab Me Arbaabe Fikr-o Nazar Ko Ghaur Kar Ne Kee Da’wat Deta Hai.
Riwaayat Me Yeh Bhi Mazkoor Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Apne Milad Kee Khushi Me Bakre Dhab’h Kar Ke Ziyaafat Ka Ehtemaam Farmaya. Hazrat Anasرَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Kee Riwaayat Ke Mutaabiq Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Baa’d Az Be’that Apna Aqiqa Kiya. Is Par Imam Suyooti (849_911 Hijri) Ka Istidlaal Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Aqiqa Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمKe Daada Hazrat Abd-ul-Muttalib Aap Kee Wilaadat Ke Saat Din Baa’d Kar Chuke They Aur Aqiqa Zindagi Me Sirf Ek Baar Kiya Jata Hai. Is Liye Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Yeh Ziyaafat Apne Milaad Ke Liye Dee Thi, Aqiqa Ke Liye Nahin.
Kaa’enaat Me Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Badi Ne’mate Ilahiyyah Ka Tasawwur Bhi Muhaal Hai. Is Par Jo Ghair Ma’mooli Khushi Aur Sarwar-o Imbisaat Ka Izhaar Kiya Gaya Is Ka Kuchh Andaaza Kutube Siyar-o Tarikh Ke Mutaala’a Se Hota Hai. In Kitabo’n Me Faza’il-o Shama’il Aur Khasa’is Ke Hawaale Se Bohat See Riwaayat Milti Hain Jin Se Yeh Waazeh Hota Hai Ki Khud Allah Tabarak Wa Ta’ala Ne Apne Habib Muhammad Mustafaصَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Mubaaraka Par Khushi Manaa’i.
Riwaayat Shaahid Hain Ki Wilaadate Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Poora Saal Nadir-ul-Wuqoo’ Mazaahir Aur Muhayyir-ul-Uqool Waaqe’aat Ka Saal Tha. Us Me Allah Ta’ala Kee Khusoosi Rahmato’n Ka Nuzool Jaari Raha Yaha’n Tak Ki Woh Sa’iyd Saa’atein Jin Ka Sadiyo’n Se Intezaar Tha Gardishe Maah-o Saal Kee Karwate’n Badalte Badalte Us Lamha-e Muntazar Me Simat Aa’ein Jis Me Khaaliqe Kaa’enaat Ke Behtareen Shaahkaar Ko Manassa-e Shuhood Par Bil-Aakhir Apne Sarmadi Husn-o Jamaal Ke Saath Jalwa Gar Hona Tha. Allah Ta’ala Ne Apne Habib صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Dunya Me Aamad Ke Mauqa Par Is Qadr Charaaghaa’n Kiya Ki Sharq Taa Gharb Saare Aafaaq Raushan Ho Ga’e. Muta’addad Kutube Ahadith Me Hazrat Uthman Bin Abi Al-Aas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwaayat Karte Hain Ki Un Kee Waalida Ne Un Se Bayaan Kiya : “Jab Wilaadate Nabawi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Waqt Aaya To Mein Sayyidah Aaminah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ke Paas Thi. Mein Dekh Rahi Thi Ki Sitaare Aasmaan Se Neeche Dhalak Kar Qareeb Ho Rahe Hain Yaha’n Tak Ki Mein Ne Mahsoos Kiya Ki Woh Mere Oopar Gir Padenge. Phir Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Baa Sa’aadat Hu’i To Sayyidah Aaminah Se Aisa Noor Nikla Jis Se Poora Ghar Jis Me Hum They Aur Haweli Jagmag Kar Ne Lagi Aur Mujhe Har Ek Shai Me Noor Hee Noor Nazar Aaya.”
Hazrat Aboo Umamah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Unhone Bargahe Risalat Ma’aab صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Aap Kee Nubuwwate Mubaraka Kee Shuroo’at Kaisi Hu’i? Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : “Mein Apne Baap Ibrahim Kee Du’aa Aur ‘Isa Kee Bashaarat Hoo’n. Aur (Meri Wilaadat Ke Waqt) Meri Waalida Maajida Ne Dekha Ki Un Ke Jisme At’har Se Ek Noor Nikla Jis Se Shaam Ke Mahallaat Raushan Ho Ga’e.” (Musnad Ahmad)
Hazrat Aaminah Apne Azeem Nau-Nihaal Ke Waaqe’aate Wilaadat Bayaan Karte Hu’e Farmati Hain : “Jab Sarware Ka’enatصَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Zahoor Huwa To Saath Hee Aisa Noor Nikla Jis Se Sharq Ta Gharb Sab Aafaaq Raushan Ho Ga’e.” (Tabaqat Ibn Sa’d)
Ek Riwayat Me Sayyidah Aaminah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Marwi Hai Ki Waqte Wilaadat Un Se Aisa Noor Namoodaar Huwa Jis Se Un Kee Nigaaho’n Par Shaam Ke Mahallaat Aur Baazaar Raushan Ho Ga’e Yaha’n Tak Unhone Busra Me Chalne Waale Oonto’n Kee Gardanein Bhi Dekh Le’n. (Tabaqat Ibn Sa’d)
Ahadith Me Yawme Aashoora Ke Hawaale Hai Jashne Milaad Ko Eid Masarrat Ke Taur Par Manaane Par Muhaddithin Ne Istidlaal Kiya Hai. Yawme Aashoora Ko Yahoodi Manaate Hain Aur Yeh Woh Din Hai Jab Hazrat Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Kee Qaum Bani Isra’il Ko Fir’awn Ke Jabar-o Istibraad Se Najaat Mili. Is Tarah Yeh Din Un Liye Yawme Fat’h Aur Aazaadi Ka Din Hai Jis Me Woh Ba-Taur Shukraana Roza Rakhte Hain Aur Khushi Manaate Hain. Muttafaqun ‘Alayh Riwaayat Me Hai Ki Hijrat Ke Baa’d Jab Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Me Yahoode Madinah Ka Yeh Amala Dekha To Farmaya : Moosa Par Mera Haqq Nabi Hone Ke Naate In Se Ziyaada Hai. Chunanche Aapصَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Aashoora Ke Din Izhaare Tashakkur Ke Taur Par Khud Bhi Roza Rakkha Aur Apne Sahaba-e Kiramرِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْنَ Ko Bhi Roza Rakhne Ka Hukm Farmaya. Is Par Bhi Bohat See Riwaayat Hain Jis Se Yeh Istidlaal Kiya Jaata Hai Ki Agar Yahood Apne Paighambar Kee Fat’h Aur Apni Aazaadi Ka Din Jashn Eid Ke Taur Par Mana Sakte Hain To Hum Musalmano’n Ko Badarja Aula Is Ka Haqq Pahonchta Hai Ki Hum Huzoor Nabiyye Rahmat صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Ka Jashn Mithaali Josh-o Kharosh Se Manaaein Jo Allah Ka Fazl Aur Rahmat Ban Kar Poori Nasl Insaaniyyat Ko Har Qism Ke Mazaalim Aur Naa-Insaafiyo’n Se Najaat Dilaane Ke Liye Is Dunya Me Tashreef Laa’e.
وَيَضَعُ عَنْهُمْ إِصْرَهُمْ وَالْأَغْلَالَ الَّتِي كَانَتْ عَلَيْهِمْ.
“Aur Un Se Un Ke Baare Gara’n Aur Tauqe(Quyood) – Jo Un Par (Nafarmaniyo’n Ke Baa’ith Musallat) They – Saaqit Farmaate (Aur Unhe’n Ne’mate Aazaadi Se Bahra Yaab Karte) Hain.” [Al-A’raf, 07 : 157.]
Aakhiri Baat Yeh Ki Is Kaa’enaate Arzi Mein Ek Momin Ke Liye Sab Se Badi Khushi Is Ke Siwa Aur Kya Ho Sakti Hai Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Maahe Wilaadat Aae To Use Yoo’n Mahisoos Hone Lage Ki Kaa’enaat Kee Saari Khushiya’n Hech Hain Aur Us Ke Liye Milade Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khushi Hee Haqiqi Khushi Hai. Jis Tarah Ummame Saabiqa Par Is Se Badarjaha Kam Tar Ehsaan Aur Ne’mat ‘Ata Hone Kee Soorat Me Waajib Kiya Gaya Tha Jab Ki Un Ummato’n Par Jo Ne’mat Hu’i Woh Aarizi Aur Waqti Thi Us Ke Muqabale Me Jo Daa’imi Aur Abadi Ne’mate Uzma Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Zahoore Qudsi Kee Soorat Me Ummate Muslima Par Hu’i Hai Is Ka Taqaaza Hai Ki Woh Ba-Darja-e Atam Saraapa Tashkkur-o Imtenaan Ban Jaae Aur Izhaare Khushi-o Masarrat Me Koi Kasar Na Utha Rakkhe.
Qur’an Majeed Ne Bade Baligh Andaaz Se Jumla Nau’e Insaani Ko Us Ne’mat Aur Fazl-o Rahmat Ko Yaad Rakhne Ka Hukm Diya Hai Jo Mohsine Insaniyyat Paighambare Rahmat Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Soorat Me Unhe’n ‘Ata Hu’i Aur Jis Ne Un Andhero’n Ko Chaak Kar Diya Jo Sadiyo’n Se Shabe Taarik Kee Tarh Un Par Musallat They Aur Nafrat-o Bughz Kee Woh Deewaarein Jo Unhe’n Qabilo’n Aur Giroho’n Me Munqasim Ki’e Hu’e Thi’n. Irshaade Baari Ta’ala Hai :
وَاذْكُرُوا نِعْمَةَ اللَّهِ عَلَيْكُمْ إِذْ كُنْتُمْ أَعْدَاءً فَأَلَّفَ بَيْنَ قُلُوبِكُمْ فَأَصْبَحْتُمْ بِنِعْمَتِهِ إِخْوَانًا.
“Aur Apne Oopar (Kee Ga’i) Allah Kee Us Ne’mat Ko Yaad Karo Ki Jab Tum (Ek Dusre Ke) Dushman They To Us Ne Tumhare Dilo’n Me Ulfat Paida Kar Dee Aur Tum Us Kee Ne’mat Ke Baa’ith Aapas Me Bhaa’i Bhaa’i Ho Ga’e.” [Aali Imra, 03 : 103.]
Un Toote Hu’e Dilo’n Ko Phir Se Jodna Aur Giroho’n Me Bati Hu’i Insaaniyyat Ko Rishta Ukhuwwat-o Mahabbat Me Paro Dena Itna Bada Waaqe’a Hai Jis Kee Koi Nazeer Taarikhe ‘Aalam Pesh Kar Ne Se Qaasir Hai. Lehaaza Milaade Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Par Khushi Manaana Aur Shukre Ilaahi Baja Laana Ummate Muslima Par Sab Khushiyo’n Se Badh Kar Waajib Ka Darja Rakhta Hai.
Shaykh-ul-Islam Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Ke Is Majmoo’a-e Hadith Me Taajdare Kaa’enaatصَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Baa Sa’aadat Mubaaraka Ma’a Tarjuma-o Takhrij Aur Zaroori Sharh Darj Kee Ga’i Hain. Du’aa Hai Ki Yeh Majmoo’a-e Ahadith Ahle Imaan Ke Dilo’n Me Mahabbat-o Ishqe Rasool Kee Ziya’ Baariyo’n Me Mazeed Izaafa Kare. (Aameen Bijaahi Syyid-il-Mursaleen SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam)
(Hafiz Zahir Ahmad Al-Isnadi)
Research Scholar, Fareede Millat Research Institute
–
[Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/05_18.]