Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 40

وَرَوَي التِّرْمِذِيُّ عَن قَيْسِ بنِ مَخْرَمَةَ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ قالَ‏:‏ وُلِدْتُ أَنَا وَرَسُولُ اللّهِ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم عَامَ الفِيلِ قَالَ : وَسأَلَ عُثْمَانُ بنُ عَفّانَ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ قُبَاثَ بنَ أَشْيَمَ أخَا بَنِي يَعْمرَ بنِ لَيْثٍ أَأَنْتَ أَكْبَرُ أمْ رسُولُ اللّهِ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم‏؟‏ فقالَ رَسُولُ اللّهِ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم أكْبَرُ مِنّي وأَنَا أَقْدَمُ مِنْهُ فِي المِيلاَدِ.

“Qays Bin Makhramah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Woh Bayaan Farmaate Hain Ki Mein Aur Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Aam-ul-Feel Me Paida Hu’e. Hazrat Uthman Bin Affan رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Bani Ya’mar Bin Layth Ke Bhaai Qubath Bin Ashyam Se Puchha : Aap Bade Hain Ya(Phir) Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Bade Hain? Unhone Kaha : Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Mujh Se Bade Hain Aur Mein Milaad (Ya’ni Paida’ish) Me Un Se Pehle Hoo’n.”
Ise Imam Tirmidhi, Tahawi, Hakim Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Tirmidhi Ne Farmaya : Yeh Hadith Hasan Gharib Hai.

 

Imam Ibn Sa’d Ne At-Tabaqat Me Riwayat Bayaan Kee Hai Jis Ke Alfaaz Hain :

“Quraysh Ne Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Bohat Shiddat Se Talaash Kiya Yaha’n Tak Ki Talaash Karte Ghaare Thawr Ke Dahaane Tak Pahonch Ga’e. To Un Me Se Baa’z Ne Kaha : Is Ke Munh Par To Muhammad (صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Ke Milad (Paidaa’ish) Se Bhi Pehle Ka Makadi Ka Bana Huwa Jaala Hai. So (Yeh Dekh Kar) Woh Laut Ga’e.”(01)

 

Isi Mauzoo’ Kee Ek Riwaayat Me Darje Dhel Alfaaz Hain :

“Jab Qurayshe Makkah Ghaar Ke Dahaane Pahonche To Un Me Se Kisi Ne Kaha : Ghaar Me Daakhil Ho Jaao. Is Par Umayyah Bin Khalaf Ne Kaha : Tum Ghaar Me Ja Kar Kya Karoge? ﴿إِنَّ عَلَيْهِ الْعَنْكَبُوتَ قَبْلَ مِيلَادِ مُحَمَّدٍ (صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) فَانْصَرَفُوا﴾ Is Ke Munh Par To Muhammad (صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Ke Milad (Paidaa’ish) Se Bhi Qabl Ka Makdi Ka Jaala Laga Huwa Hai.”(02)

 

Imam Ibn Sa’d At-Tabaqat Me Riwaayat Bayaan Karte Hain : Hazrat Abd Allah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayaan Farmaate Hain Ki Hazrat Moosa Bin Imran Aur Isa Bin Maryam عَلَيْهِمُ السَلَام Ke Darmiyaan 1900 Saal Ka Arsa Hai Aur Un Dono’n Ke Darmiyaan Zamana-e Fitrat (Jis Me Wahyi Ka Silsila Mauqoof Ho Jaata Hai) Nahin Guzra. Un Dono’n Ke Is Arsa-e Nubuwwat Ke Darmiyaan Bani Isra’il Me Hee Ek Hazaar Nabi Bheje Ga’e, Un Ke Ilaawa Bheje Jaane Waale Alaihida Hain. ﴿وَکَانَ بَیْنَ مِيْلَادُ عِیْسیٰ  وَالنَّبِیِّ عَلَيْهِمَا السَلَام﴾ Milade Isa Aur Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee (Be’that) Ka Darmiyaan Arsa Arsa 569 Saal Banta Hain.”(03)

 

“Imam Ibn Awn Bayaan Farmate Hain : Hazrat Ammar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ 91 Saal Kee Umr Me Shaheed Ki’e Ga’e ﴿وَكَانَ أَقْدَمَ فِي الْمِيْلَادُ مِنْ رَسُوْلِ اللهِ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم﴾ Aur Woh Milad Me Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Pehle They.”(04)

[Tirmidhi Fi As-Sunan, Kitab Al-Manaqib, Bab Ma Ja’a Fi Milad-in-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم, 05/589, Raqm-3619,

وأخراج المحدثون هذا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tahawi Fi Sharh Mushkil-il-Athar, 15/217, Raqm-5969,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/724, Raqm-6624,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/37, Raqm-75,

Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 01/407, Raqm-566, 927,

Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 01/453,

Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/77,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 02/216_217,

(01) Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 01/228,

Suyooti Fi Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib (Al-Khasa’is Al-Kubra), 01/305,

(02) Dhakarahu Al-Halabi Fi Insan-ul-‘Uyoon Fi Sirat-il-Amin-il-Ma’moon Aw As-Sirat-ul-Halabiyyah, 02/209,

Kila’iy Fi Al-Iktifa’ Bima Tadammanahu Min Maghazi Rasool Allah Wa Al-Thalathah Al-Khulafa’, 01/339,

Suyooti Fi Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib (Al-Khasa’is Al-Kubra), 01/306,

(03) Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 01/53,

Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 01/495,

Qurtubi Fi Al-Jami’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 06/122,

(04) Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/259,

Ibn Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 43/471,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 21/224,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/87_93, Raqm-40.]

۞   ۞  ۞