Skip to content
  • Home
  • Sayyida Fatimat-uz-Zahra Ke Faza’il-o-Manaqib
  • Dhib-e-Azeem
  • Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa
  • Manaqibi Ali
  • Manaqibi Al-Hasanayn
  • Shahadate Imame Husayn
  • Elane Ghadir
  • Bees Rakat Tarawih

Tahirul Qadri Books

Tahirul Qadri Books in roman urdu

Tag: RasoolAllah Ko Sab Se Ziyada Mawla Ali Mehboob They

Posted in Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu

Logo’n Me Allah Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sab Se Ziyaada Mahboob

Posted on June 18, 2016August 23, 2016 by tahirulqadribooks
(١٠) بَابٌ فِي کَوْنِهِ أَحَبَّ النَّاسِ إِلَي اﷲِ وَ رَسُوْلِهِ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم

Baab-10 :

Logo’n Me Allah Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sab Se Ziyaada Mahboob

 

100:           “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Aik Martaba Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Aik Parinde Ka Gosht Tha, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Kee Ya Allah! Apni Makhlooq Me Se Mahboob Tareen Shakhs Mere Paas Bhej Taa Ki Woh Mere Saath Is Parinde Ka Gosht Khaae. Chunache Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aa’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Woh Gosht Tanaawul Kiya.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/636, Al-Hadith Raqam-3721,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/146, Al-Hadith Raqam-9372,
Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 03/454,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/93, Al-Hadith Raqam-100.]

 

 

101:           “Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Aurto’n Me Sab Se Ziyaada Mahboob Apni Saahibzaadi Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Thi’n Aur Mardo’n Me Sab Se Ziyaada Mahboob Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu They.”

Is Hadith Ko Tirmidhi Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Hasan Hai.
–
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/698, Al-Hadith Raqam-3868,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/130, Al-Hadith Raqam-7258,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03 : 168, Al-Hadith Raqam-4735,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/93, 94, Al-Hadith Raqam-101.]

 

 

102:           “Hazrat Jumay’ Bin Umayr Tamimi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai, Unhone Kaha Ki Mein Apni Khaala Ke Saath Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Khidmat Me Haazir Huwa Phir Mein Ne Un Se Poochha Logo’n Me Kaun Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Sab Se Ziyaada Mahboob They? Unhone Farmaya : Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Phir Arz Kiya Gaya Aur Mardo’n Me Se Kaun Sab Se Ziyaada Mahboob Tha? Farmaya : Us Ka Khaawind Agarche Mujhe Un Ka Ziyaada Roze Rakhna Aur Ziyaada Qiyaam Karna Ma’loom Nahin.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Hasan Hai.
–
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/701, Al-Hadith Raqam-3874,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/171,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/94, 95, Al-Hadith Raqam-102.]

 

 

103:           “Hazrat Jumay’ Bin Umayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Mein Apni Waalida Ke Hamraah Sayyidah Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Paas Haazir Huwa, Mein Ne Parda Ke Peechhe Se Aawaaz Suni Umm-il-Mu’minin Meri Waalida Se Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Muta’alliq Poochh Rahi Thi’n. Unhone Farmaya : Aap Mujh Se Us Shakhs Ke Baare Me Poochh Rahi Hain Ba Khuda Mere Ilm Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Koi Shakhs Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ziyaada Mahboob Na Tha Aur Na Rooe Zameen Par Un Kee Biwi (Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Saahibzaadi Fatimat-uz-Zahra RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha) Se Badh Kar Koi Aurat Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaah Me Mahboob Thi.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Sahih-ul-Asnad Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/167, Al-Hadith Raqam-4731,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/140, Al-Hadith Raqam-8497,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/95, Al-Hadith Raqam-103.]

 

 

104:           “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Kiya Karta Tha. Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Aik Bhuna Huwa Parinda Pesh Kiya Gaya. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Allah! Mere Paas Use Bhej Jo Makhlooq Me Tujhe Sab Se Ziyaada  Mahboob Hai. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kehte Hain Ki Mein Ne Du’aa Kee Ya Allah! Kisi Ansaari Ko Is Du’aa Ka Misdaaq Bana De, Iten Me Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tashreef Laa’e To Mein Ne Kaha Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mashghool Hain. Woh Waapas Chale Ga’e. Thodi Der Baa’d Phir Tashreef Laa’e Aur Darwaaza Khatkhataaya, Phir Mein Ne Kaha Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mashghool Hain. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Phir Aa’e To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Anas! Us Ke Liye Darwaaza Khol Do, Woh Andar Daakhil Hu’e To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Se Poochha : Tujhe Kis Ne Mere Paas Aane Roka? Unhone Arz Kiya : Ya Rasool Allah! Yeh Teen Me Se Aakhiri Baar Hai Ki Anas Mujhe Yeh Keh Kar Waapas Karte Rahe Ki Aap Kisi Kaam Me Mashghool Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujh Se Mere Is Amal Kee Waj’h Daryaaft Kee To Mein Ne Arz Kiya : Ya Rasool Allah! Mein Ne Aap Ko Du’aa Karte Sun Liya Tha. Pas Meri Khaahish Thi Ki Yeh (Khush Naseeb) Shakhs Ansaar Me Se Ho. Is Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Aadami Apni Qaum Se Pyaar Karta Hai.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Shayjhayn Kee Shara’it Par Sahih Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/141, Al-Hadith Raqam-4650,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/267, Al-Hadith Raqam-7466,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/253, Al-Hadith Raqam-730,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/126,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/95_97, Al-Hadith Raqam-104.]

 

 

105:           “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Logo’n Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Baare Me Koi Shikaayat Kee. To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hamaare Darmiyaan Khade Hu’e Aur Khutba Irshaad Farmaya. Pas Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : Aye Logo’n! Ali Kee Shikaayat Na Karo, Allah Kee Qasam Woh Allah Kee Zaat Me Yaa Allah Ke Raaste Me Bohat Sakht Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Hakim Ne Riayat Kiya Hai Aur Imam Hakim Ne Kaha Yeh Hadith Sahih-ul-Isnaad Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/86, Al-Hadith Raqam-11835,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/144, Al-Hadith Raqam-4654,

Ibn Hisham Fi As-Sirat-un-Nabawiyyah, 06/08,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/97, Al-Hadith Raqam-105.]

 

 

106:           “Hazrat Aboo Rafi’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Aik Jagah Bheja, Jab Woh Waapas Tashrif Laa’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Se Farmaya : Allah Ta’ala, Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Jibra’il Aap Se Raazi Hain.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/319, Al-Hadith Raqam-946,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/131,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/97, 98, Al-Hadith Raqam-106.]

Online Books

  • Home
  • Sayyida Fatimat-uz-Zahra Ke Faza’il-o-Manaqib
  • Dhib-e-Azeem
  • Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa
  • Manaqibi Ali
  • Manaqibi Al-Hasanayn
  • Shahadate Imame Husayn
  • Elane Ghadir
  • Bees Rakat Tarawih

Books in Roman Urdu

Shaykhul Islam Hazrat Dr. Muhammad Tahirul Qadri ki kitabe roman urdu me online padhiye.

Recent Topics

  • 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan
  • 01: Ulama-e ‘Arab Aur Masha’ikhe Kibaar Kee Taqdeemaat
  • 02 : Namaze Taraweeh Kee Ta'dade Rak'at Ka Bayan
  • 02: A’imma-e Hadith Aur Tasawwuf Ke Turuq Se Baargaahe Risaalat Ma'aab ﷺ Tak Mu’allif Kee Mukhtasaran Muttasil Asaanid
  • 03: Muqaddama-e Usoole Hadith Wa Furoo’ate ‘Aqeeda
  • 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me
  • 2 Doosra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me
  • 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me
  • Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا
  • Al-Ṣalāṫ ʻind al-Ḥanafīyah fī ḍaw’i al-Sunnaṫ al-Nabawīyah
  • Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’
  • Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam
  • al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam
  • Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar
  • Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim
  • Ḥarfe Āġhāz
  • Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm
  • Baab-01 : Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam
  • Baab-01 : ﴾Iman, Islam Aur Ehsan﴿
  • Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam
  • Baab-02 : ﴾Khawaarij Wa Murtaddin Aur Gustakhane Mustafa Ka Bayan﴿
  • Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel
  • Baab-03 : ﴾Ibaadaat Aur Manaasik﴿
  • Baab-04 : ﴾Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Ka Tareeqa-e Namaz﴿
  • Baab-05 : ﴾Namaaze Taraawih Aur Us Kee Ta'daade Rak'aat Ka Bayaan﴿
  • Baab-06 : ﴾Farz Namazo’n Ke Baa’d Du’aa Karna﴿
  • Baab-07 : ﴾Ikhlaas Aur Riqqate Qalb﴿
  • Baab-08 : ﴾‘Ilm Aur A’maale Saaleha Kee Fazeelat﴿
  • Baab-09 : ﴾Azamate Risaalat Aur Sharafe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam﴿
  • Baab-10 : ﴾Jaame’ Manaqib Ka Bayaan﴿
  • Baab-11 : ﴾Mo’jizaat Aur Karaamaat﴿
  • Baab-12 : ﴾Ummate Muhammadiyah Ka Izz-o Sharaf﴿
  • Baab-13 : ﴾Sunnate Nabawi ﷺ Ko Mazbooti Se Thaame Rakhne Ka Bayan﴿
  • Baab-14 : ﴾Neki, Sila Rehmi Aur Huqooq﴿
  • Baab-15 : ﴾Aadaab Aur Mu’amalaat﴿
  • Baab-16 : ﴾Uhaadiyyaat, Sunaaiyyaat Aur Thulaasiyyaat﴿
  • Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot
  • Dhibhe 'Azeem
  • Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam
  • Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam
  • Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām
  • Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu
  • Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam
  • Pamphlets of Minhaj-ul-Qur'an
  • Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me
  • Uncategorized

Recent Posts

  • Imaamat Karaane Aur Buland Aawaaz Se Tasmiyah Na Padhne Ka Bayaan
  • Takbire ‘Oola Ke Ilaawah Namaz Me Raf’ Yadayn Na Karne Ka Bayan
  • Imam Ke Pichhe Qir’at Na Karne Ka Bayan
  • Buland Aawaaz Se Aameen Na Kehne Ka Bayaan
  • Harfe Aaghaaz
Blog at WordPress.com.
Privacy & Cookies: This site uses cookies. By continuing to use this website, you agree to their use.
To find out more, including how to control cookies, see here: Cookie Policy
  • Follow Following
    • Tahirul Qadri Books
    • Join 49 other followers
    • Already have a WordPress.com account? Log in now.
    • Tahirul Qadri Books
    • Customize
    • Follow Following
    • Sign up
    • Log in
    • Report this content
    • View site in Reader
    • Manage subscriptions
    • Collapse this bar