(١٠) بَابٌ فِي کَوْنِهِ أَحَبَّ النَّاسِ إِلَي اﷲِ وَ رَسُوْلِهِ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم
Baab-10 :
Logo’n Me Allah Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sab Se Ziyaada Mahboob
100: “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Aik Martaba Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Aik Parinde Ka Gosht Tha, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Kee Ya Allah! Apni Makhlooq Me Se Mahboob Tareen Shakhs Mere Paas Bhej Taa Ki Woh Mere Saath Is Parinde Ka Gosht Khaae. Chunache Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aa’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Woh Gosht Tanaawul Kiya.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/636, Al-Hadith Raqam-3721,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/146, Al-Hadith Raqam-9372,
Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 03/454,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/93, Al-Hadith Raqam-100.]
101: “Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Aurto’n Me Sab Se Ziyaada Mahboob Apni Saahibzaadi Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Thi’n Aur Mardo’n Me Sab Se Ziyaada Mahboob Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu They.”
Is Hadith Ko Tirmidhi Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Hasan Hai.
–
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/698, Al-Hadith Raqam-3868,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/130, Al-Hadith Raqam-7258,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03 : 168, Al-Hadith Raqam-4735,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/93, 94, Al-Hadith Raqam-101.]
102: “Hazrat Jumay’ Bin Umayr Tamimi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai, Unhone Kaha Ki Mein Apni Khaala Ke Saath Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Khidmat Me Haazir Huwa Phir Mein Ne Un Se Poochha Logo’n Me Kaun Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Sab Se Ziyaada Mahboob They? Unhone Farmaya : Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Phir Arz Kiya Gaya Aur Mardo’n Me Se Kaun Sab Se Ziyaada Mahboob Tha? Farmaya : Us Ka Khaawind Agarche Mujhe Un Ka Ziyaada Roze Rakhna Aur Ziyaada Qiyaam Karna Ma’loom Nahin.”
Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Hasan Hai.
–
[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/701, Al-Hadith Raqam-3874,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/171,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/94, 95, Al-Hadith Raqam-102.]
103: “Hazrat Jumay’ Bin Umayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Mein Apni Waalida Ke Hamraah Sayyidah Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Paas Haazir Huwa, Mein Ne Parda Ke Peechhe Se Aawaaz Suni Umm-il-Mu’minin Meri Waalida Se Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Muta’alliq Poochh Rahi Thi’n. Unhone Farmaya : Aap Mujh Se Us Shakhs Ke Baare Me Poochh Rahi Hain Ba Khuda Mere Ilm Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Koi Shakhs Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ziyaada Mahboob Na Tha Aur Na Rooe Zameen Par Un Kee Biwi (Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Saahibzaadi Fatimat-uz-Zahra RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha) Se Badh Kar Koi Aurat Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaah Me Mahboob Thi.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Sahih-ul-Asnad Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/167, Al-Hadith Raqam-4731,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/140, Al-Hadith Raqam-8497,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/95, Al-Hadith Raqam-103.]
104: “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Kiya Karta Tha. Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Aik Bhuna Huwa Parinda Pesh Kiya Gaya. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Allah! Mere Paas Use Bhej Jo Makhlooq Me Tujhe Sab Se Ziyaada Mahboob Hai. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kehte Hain Ki Mein Ne Du’aa Kee Ya Allah! Kisi Ansaari Ko Is Du’aa Ka Misdaaq Bana De, Iten Me Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tashreef Laa’e To Mein Ne Kaha Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mashghool Hain. Woh Waapas Chale Ga’e. Thodi Der Baa’d Phir Tashreef Laa’e Aur Darwaaza Khatkhataaya, Phir Mein Ne Kaha Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mashghool Hain. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Phir Aa’e To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Anas! Us Ke Liye Darwaaza Khol Do, Woh Andar Daakhil Hu’e To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Se Poochha : Tujhe Kis Ne Mere Paas Aane Roka? Unhone Arz Kiya : Ya Rasool Allah! Yeh Teen Me Se Aakhiri Baar Hai Ki Anas Mujhe Yeh Keh Kar Waapas Karte Rahe Ki Aap Kisi Kaam Me Mashghool Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujh Se Mere Is Amal Kee Waj’h Daryaaft Kee To Mein Ne Arz Kiya : Ya Rasool Allah! Mein Ne Aap Ko Du’aa Karte Sun Liya Tha. Pas Meri Khaahish Thi Ki Yeh (Khush Naseeb) Shakhs Ansaar Me Se Ho. Is Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Aadami Apni Qaum Se Pyaar Karta Hai.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Kaha Yeh Hadith Shayjhayn Kee Shara’it Par Sahih Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/141, Al-Hadith Raqam-4650,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/267, Al-Hadith Raqam-7466,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/253, Al-Hadith Raqam-730,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/126,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/95_97, Al-Hadith Raqam-104.]
105: “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Logo’n Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Baare Me Koi Shikaayat Kee. To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hamaare Darmiyaan Khade Hu’e Aur Khutba Irshaad Farmaya. Pas Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : Aye Logo’n! Ali Kee Shikaayat Na Karo, Allah Kee Qasam Woh Allah Kee Zaat Me Yaa Allah Ke Raaste Me Bohat Sakht Hai.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Hakim Ne Riayat Kiya Hai Aur Imam Hakim Ne Kaha Yeh Hadith Sahih-ul-Isnaad Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/86, Al-Hadith Raqam-11835,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/144, Al-Hadith Raqam-4654,
Ibn Hisham Fi As-Sirat-un-Nabawiyyah, 06/08,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/97, Al-Hadith Raqam-105.]
106: “Hazrat Aboo Rafi’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Aik Jagah Bheja, Jab Woh Waapas Tashrif Laa’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Se Farmaya : Allah Ta’ala, Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Jibra’il Aap Se Raazi Hain.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/319, Al-Hadith Raqam-946,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/131,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/97, 98, Al-Hadith Raqam-106.]