“Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Farmaaye Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Peer Ke Roz Wilaadat Hu’i, Aur Peer Ke Roz Hee Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Sharfe Nubuwwat Se Sarfaraaz Kiya Gaya Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Peer Ke Roz Hee Makkah Mukarramah Se Madinah Munawwarah Kee Taraf Hijrat Farma’i. Peer Ke Roz Hee Madinah Munawwarah Me Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Tashreef Aawri Hu’i Aur Hajare Aswad Uthaane Ka Waaqe’a Bhi Peer Ke Roz Hee Huwa.”
Is Hadith Ko Imam Ahamd Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Haythami Ne Farmaya : Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Is Kee Sanad Me Ibn Lahi’ah Naami Raawi Ke Ilaawa Deegar Rijaal Thiqah Aur Sahih Hadith Ke Rijaal Me Se Hain.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/277, Raqm-2506,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Masa’il, 01/59,
Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 03/67,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/196,
Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 06/84,
Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 02/14,
Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 02/05,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 02/260,
Kila’iy Fi Al-Iktifa’ Bima Tadammanahu Min Maghazi Rasool Allah Wa Al-Thalathah Al-Khulafa’, 02/453,
Fakihi Fi Akhbar Makkah Fi Qadim Al-Dahr Wa Hadithih, 04/06,Raqm-2298,
Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab Fi Ma’rifat Al-As’hab, 01/47,
Suyooti Fi Al-Khasa’is Al-Kubra, 02/473,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/46_48, Raqm-14.]