“Hazrat Jabir Bin ‘Abd Allah Ansari Aur Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Dono’n Ne Bayaan Farmaya : Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadate Mubaaraka ‘Aam-ul-Feel, Peer Ke Roz Baarah-12 Rabi’ul-Awwal Ko Hu’i, Aur Isi Roz Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Sharfe Nubuwwat Se Sarfaraaz Kiya Gaya Aur Isi Roz Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Aasmaan Kee Taraf Buland Kiya Gaya (Ya’ni Me’raaj Karaa’i Ga’i), Aur Isi Din Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hijrat Farmaa’i, Aur Isi Roz Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Wisaal Mubaarak Huwa.”
Ise Imam Hasayn Bin Ibrahim Al-Jawraqani Ne Baghair Kisi Jirah Ke Riwayat Kiya Hai.
“Hazrat Muhammad Bin Is’haq رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم ‘Aam-ul-Feel Me Peer Ke Roz Baarah-12 Rabi’-ul-Awwal Ko Is Dunya Me Tashreef Laa’e.”
Ise Imaam Hakim, Ibn Hibban, Ibn Is’haq Aur Bayhaqi Ne Mazkoora Alfaaz Ke Saath Riwaayat Kiya Hai.(01)
–
[Hafiz Aboo Abd Allah Al-Hasayn Ibn Ibrahim Al-Jawraqani Al-Hamdani Fi Al-Abatil Wa Al-Manakir Wa Al-Sihah Wa Al-Mashahir,/27, Raqm-122,
(01) Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/659, Raqm-4182,
Ibn Hibban Fi Al-Thiqat, 01/15,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/135, Raqm-1387,
Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/74,
Ibn Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 03/73,
Ibn Jarir Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 01/453,
Kila’iy Fi Al-Iktifa’ Bima Tadammanahu Min Maghazi Rasool Allah Wa Al-Thalathah Al-Khulafa’, 01/131,
Ibn Is’haq Fi As-Sirat-un-Nabawiyyah,/591_594,
Ibn Hisham Fi As-Sirat-un-Nabawiyyah, 01/293,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/48_49, Raqm-15.]