﷽
1.
قُلْ بِفَضْلِ اللّهِ وَبِرَحْمَتِهِ فَبِذَلِكَ فَلْيَفْرَحُواْ هُوَ خَيْرٌ مِّمَّا يَجْمَعُونَ
“Farma Diji’e : (Yeh Sab Kuchh) Allah Ke Fazl Aur Us Kee Rahmat Ke Baa’ith Hai (Jo Be’thate Muhammadi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Zari’e Tum Par Huwa Hai) Pas Musalmaano’n Ko Chaahiye Ki Us Par Khushiya’n Manaaein, Yeh Us (Saare Maal-o Daulat) Se Kahi’n Behtar Hai Jise Woh Jam’a Karte Hain.”(01)
2.
لَقَدْ مَنَّ اللّهُ عَلَى الْمُؤمِنِينَ إِذْ بَعَثَ فِيهِمْ رَسُولاً مِّنْ أَنفُسِهِمْ يَتْلُواْ عَلَيْهِمْ آيَاتِهِ وَيُزَكِّيهِمْ وَيُعَلِّمُهُمُ الْكِتَابَ وَالْحِكْمَةَ وَإِن كَانُواْ مِن قَبْلُ لَفِي ضَلَالٍ مُّبِينٍ
“Be Shak Allah Ne Musalmaano’n Par Bada Ehsaan Farmaya Ki Un Me Unhi Me Se (Azamat Waala) Rasool (صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Bheja Jo Un Par Us Kee Aayatein Padhta Aur Unhe’n Paak Karta Hai Aur Unhe’n Kitaab-o Hikmat Kee Ta’leem Deta Hai Agarche Woh Log Us Se Pehle Khuli Gumraahi Me They.”
3.
يَا أَيُّهَا النَّاسُ قَدْ جَاءَكُم بُرْهَانٌ مِّن رَّبِّكُمْ وَأَنزَلْنَا إِلَيْكُمْ نُورًا مُّبِينًا
“Ae Logo’n! Be Shak Tumhaare Paas Tumhaare Rabb Kee Jaanib Se (Zaate Muhammadi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Soorat Me Zaate Haqq جَلّْ مَجْدُہٗ Kee Sab Se Ziyaada Mazboot, Kaamil Aur Waazeh) Daleele Qaate’ Aa Ga’i Hai Aur Hum Ne Tumhaari Taraf (Usi Ke Saath Qur’an Kee Soorat Me) Waazeh Aur Raushan Noor (Bhi) Utaar Diya Hai.”
4.
يَا أَهْلَ الْكِتَابِ قَدْ جَاءَكُمْ رَسُولُنَا يُبَيِّنُ لَكُمْ كَثِيرًا مِّمَّا كُنْتُمْ تُخْفُونَ مِنَ الْكِتَابِ وَيَعْفُواْ عَن كَثِيرٍ قَدْ جَاءَكُم مِّنَ اللّهِ نُورٌ وَكِتَابٌ مُّبِينٌ
“Ae Ahle Kitaab! Be Shak Tumhaare Paas Hamaare (Yeh) Rasool (صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Tashreef Laa’e Hain Jo Tumhaare Liye Bohat See Aisi Baatein (Waazeh Taur Par) Zaahir Farmaate Hain Jo Tum Kitaab Me Se Chhupaae Rakhte They Aur (Tumhaari) Bohat See Baato’n Se Dar Guzar (Bhi) Farmaate Hain. Be Shak Tumhaare Paas Allah Kee Taraf Se Ek Noor (Ya’ni Hazrat Muhammad صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Aa Gaya Hai Aur Ek Raushan Kitab (Ya’ni Qur’an Majeed).”
5.
قَالَ عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ اللَّهُمَّ رَبَّنَا أَنزِلْ عَلَيْنَا مَآئِدَةً مِّنَ السَّمَاءِ تَكُونُ لَنَا عِيداً لِّأَوَّلِنَا وَآخِرِنَا وَآيَةً مِّنكَ وَارْزُقْنَا وَأَنتَ خَيْرُ الرَّازِقِينَ
“‘Isa Bin Maryam Ne ‘Arz Kiya :Ae Allah! Ae Hamaare Rabb! Hum Par Aasmaan Se Khaane(Ne’mat) Naazil Farma De Ki (Us Ke Utar Ne Ka Din) Hamaare Liye Eid Ho Jaa’e Hamaare Aglo’ n Ke Liye (Bhi) Aur Hamaare Pichhlo’n Ke Liye (Bhi) Aur (Woh Khaan) Teri Taraf Se Nishaani Ho Aur Hame’n Rizq ‘Ata Kar! Aur Too Sab Se Behtar Rizq Dene Waala Hai.”
6.
وَالسَّلاَمُ عَلَيَّ يَوْمَ وُلِدتُّ وَيَوْمَ أَمُوتُ وَيَوْمَ أُبْعَثُ حَيًّا
“Aur Yahya Par Salaam Ho Un Ke Milaad Ke Din Aur Un Kee Wafaat Ke Din Aur Jis Din Woh Zinda Uthaae Jaa’enge.”
7.
وَالسَّلاَمُ عَلَيَّ يَوْمَ وُلِدتُّ وَيَوْمَ أَمُوتُ وَيَوْمَ أُبْعَثُ حَيًّا
“Aur Mujh Par Salaam Ho Mere Milaad Ke Din, Aur Meri Wafaat Ke Din, Aur Jis Din Mein Zinda Uthaaya Jaa’unga.”
8.
وَإِذْ قَالَ عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ يَا بَنِي إِسْرَائِيلَ إِنِّي رَسُولُ اللَّهِ إِلَيْكُم مُّصَدِّقًا لِّمَا بَيْنَ يَدَيَّ مِنَ التَّوْرَاةِ وَمُبَشِّرًا بِرَسُولٍ يَأْتِي مِن بَعْدِي اسْمُهُ أَحْمَدُ فَلَمَّا جَاءَهُم بِالْبَيِّنَاتِ قَالُوا هَذَا سِحْرٌ مُّبِينٌ
“Aur (Woh Waqt Bhi Yaad Kijiye) Jab ‘Isa Bin Maryam (عَلَيْهِمَا السَلَام) Ne Kaha :Ae Bani Isra’il! Be Shak Mein Tumhaari Taraf Allah Ka Bheja Huwa (Rasool) Hoo’n, Apne Se Pehli Kitaab Tawraat Kee Tasdeeq Kar Ne Waala Hoo’n Aur Us Rasoole (Mu’azzam صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Aamad Aamad) Kee Bashaarat Suna Ne Waala Hoo’n Jo Mere Baa’d Tashrif Laa Rahe Hain Jin Ka Naam (Aasmaano’n Me Is Waqt) Ahmad (صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Hai, Phir Jab Woh (Rasoole Aakhir-uz-Zama’n صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Waazeh Nishaaniya’n Le Kar Un Ke Paas Tashrif Le Aa’e To Woh Kehne Lage : Yeh To Khula Jaadu Hai.”
9.
لَا أُقْسِمُ بِهَذَا الْبَلَدِ وَأَنْتَ حِلٌّ بِهَذَا الْبَلَدِ وَوَالِدٍ وَمَا وَلَدَ
“Mein Us Shahr (Makkah) Kee Qasam Khaata Hoo’n (Ae Habibe Mukarram!) Is Liye Ki Aap Is Shahr Me Tashrif Farma Hain. Ae Habibe Mukarram! Aap Ke) Waalid (Aadam Ya Ibrahim عَلَيْهِمَا السَلَام) Kee Qasam Aur (Un Kee) Qasam Jin Kee Wilaadat Hu’i.”
–
[Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/19_22,
(01) Yoonus, 10 : 58,
(02) Aali Imran, 03 : 164,
(03) Al-Nisa’, 04 : 174,
(04) Al-Ma’idah, 05 : 15_16,
(05) Al-Ma’idah, 05 : 114,
(06) Maryam, 19 : 15,
(07) Maryam, 19 : 33,
(08) Al-Saff, 61 : 06,
(09) Al-Balad, 90 : 01_03.]
You must be logged in to post a comment.