Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 12

          “Hazrat Aboo Lubabah Bin ‘Abd-il-Mundhir رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaa Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Jumu’ah Ka Din Tamaam Dino’n Ka Sardaar Hai Aur Baaqi Dino’n Se Badh Kar Allah Ta’ala Ke Haa’n ‘Azamat Waala Hai Aur Allah Ta’ala Ke Haa’n Is Kee ‘Azamat ‘Eid-ul-Ad’ha Aur ‘Eid-ul-Fitr Se Bhi Badh Kar Hai. (Kyoo’n Ki) Is Din Me Paanch Khaslatein Paa’i Jaati Hain : Is Din Allah Ta’ala Ne Hazrat Aadam  عَلَيْهِ السَّلَام Ko Paida Farmaya Aur Isi Din Unhe’n Wafaat Dee Aur Isi Din Me Ek Saa’at Aisi Hoti Hai Jis Me Banda Allah Ta’ala Se Jo Bhi Sawaal Kare Woh Use ‘Ata Farmata Hai Jab Tak Ki Woh Kisi Haraam Cheez Ka Sawaal Nahin Karta, Aur Isi Din Qiyaamat Bapa Hogi. Koi Muqarrab Firishta, Aasmaan, Zameen, Hawa, Pahaad Aur Samundar Aur Aisa Nahin Jo Jumu’ah Ke Din Se Na Darta Ho (Kyoo’n Ki Is Din Qiyaamat Bapa Hogi).”

Ise Imam Ahmad, Ibn Majah Ne Mazkoora Alfaaz Ke Saath Aur Bukhari Ne At-Tarikh Al-Kabir Me Bayaan Kiya Hai.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/344, Raqm-1084,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/430, 05/284, Raqm-22510,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/477, Raqm-5516,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/71,

Bazzar ‘An Sa’d Bin ‘Ubadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Musnad, 09/191, Raqm-3738,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/127, Raqm-309,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/33, Raqm-4511, 06/19, Raqm-5376,

Bukhari Fi At-Tarikh Al-Kabir, 04/44, Raqm-1911,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/44_46, Raqm-12.]