Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 13

          “Hazrat Aboo Qatadah Ansari رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Peer Ke Din Roza Rakhne Ke Baare Me Sawaal Kiya Gaya To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Isi Roz Meri Wilaadat Hu’i Aur Isi Roz Mere Oopar Qur’an Naazil Kiya Gaya.”

Ise Imam Muslim Ne Riwaayat Kiya Hai.

 

Ek Aur Riwaayat Me Hai Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : “Isi Roz Mujhe Nubuwwat (Ya’ni Be’that) Se Sarfaraaz Kiya Gaya.”

Ise Imam Ahmad Aur Nasa’i Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/819, Raqm-1162,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/296, 297, Raqm-22590, 22594,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/146, Raqm-2777,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/46, Raqm-13.]