Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 11

          “Hazrat Aws Bin Aws رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Tumhaare Dino’n Me Se Jumu’ah Ka Din Sab Se Behtar Hai Is Din Hazrat Aadam عَلَيْهِ السَّلَام Paida Hu’e Aur Us Din Unhone Wafaat Paa’i Aur Isi Din Soor Phunka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kathrat Se Durood Bheja Karo Kyoo’n Ki Tumhaara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai. Sahaba-e Kiram Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Hamaara Durood Aap Ke Wisaal Ke Baa’d Aap Ko Kaise Pesh Kiya Jaaega? Jab Ki Aap Ka Jasade Mubaarak To Khaak Me Mil Chuka Hoga? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالىٰ Ne Zameen Par Ambiya-e Kiram Ke Jismo’n Ko (Kisi Bhi Qism Ka Nuqshaan Pahonchaana) Haraam Kar Diya Hai.”

 

“Ek Riwaayat Me Hai Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya Be Shak Allah Buzurg-o Bartar Ne Zameen Par Haraam Qaraar Diya Hai Ki Woh Hamaare Jismo’n Ko Khaae.”

 

Is Hadith Ko Imam Ahmad, Aboo Dawud Ne Mazkoora Alfaaz Ke Saath, Nasa’i, Ibn Majah, Ibn Khuzaymah, Ibn Hibban Aur Darimi Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya : Yeh Hadith Imam Bukhari Kee Sharaa’it Ke Mutaabiq Sahih Hai. Imam Wadiyashi Ne Bhi Farmaya : Ise Imam Ibn Hibban Ne Sahih Qaraar Diya Hai. Imam ‘Asqalani Ne Farmaya : Ise Imam Ibn Khuzaymah Ne Sahih Qaraar Diya Hai. Imam Ajlooni Ne Farmaya : Ise Imam Bayahqi Ne ‘Umda Sanad Ke Saath Riwaayat Kiya Hai.

[Aboo Dawud As-Sunan, 01/275, Raqm-1047,

Aboo Dawud As-Sunan, 02/88, Raqm-1531,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/08, Raqm-16207,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/91, Raqm-1374,

Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 01/519, Raqm-1666,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/345, Raqm-1085,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/118, Raqm-1733, 1734,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/190, Raqm-910,

Darimi Fi As-Sunan, 01/445, Raqm-1572,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8697,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/413, Raqm-1029,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/97, Raqm-4780,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/261, Raqm-589,

Bazzar Fi Al-Musnad, 08/411, Raqm-3485,

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/371, Raqm-634,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/248, Raqm-5789,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/109, Raqm-3029,

Bayhaqi Fi Fada’il Al-Awqat,

Jahdami Fi Fadl Al-Salah ‘Ala Al-Nabi  ﷺ, 01/37, Raqm-22,

Wadiyashi Fi Tuhfat-ul-Muhtaj, 01/524, Raqm-661,

‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,11/370,

Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’, 01/190, Raqm-501,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/41_44, Raqm-11.]