Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 10

          “Hazrat ‘Umar Bin Khattab رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai :Ek Yahoodi Ne Un Se Kaha : Ae Amir Al-Mu’minin! Aap Apni Kitaab Me Ek Aisi Aayat Padhte Hain Ki Agar Woh Aayat Hum Girohe Yahood Par Utarti To Hum Us Ke Nuzool Ka Din ‘Eid Bana Lete. Aap رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Puchha Kaunsi Aayat? Us Ne Kaha :  ﴾Aaj Mein Ne Tumhaare Liye Tumhaara Din Mukammal Kar Diya Aur Tum Par Apni Ne’mat Poori Kar Dee Aur Tumhaare Liye Islaam Ko (Ba-Taure) Deen (Ya’ni Mukammal Nizaame Hayaat Kee Haisiyyat Se) Pasand Kar Liya﴿. Hazrat ‘Umar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Farmaya : Jis Din Aur Jis Jagah Yeh Aayat Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Par Naazil Hu’i Hum Us Ko Pehchaante Hain. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Us Waqt Jumu’ah Ke Din ‘Arfaat Ke Maqaam Par Khade They.”

Yeh Hadith Muttafaqun ‘Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/25, Raqm-45,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1600, Raqm-4145,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1683, Raqm-4330,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2653, Raqm-6840,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2313, Raqm-3017,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/250, Raqm-3043,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/114, Raqm-5012,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/40_41, Raqm-10.]