“Hazrat ‘Aaishah Siddiqa رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Riwaayat Karti Hain : Ahle ‘Arab Ramadan Ke Roze Farz Hone Se Qabl Yawme ‘Aashoor Ka Roza Rakhte They Kyoo’n Ki Us Din Ka’ba Par Ghilaaf Chadaaya Jaata Tha. Phir Jab Allah Ta’ala Ne Ramadan Ke Roze Farz Kar Diye To Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Tum Me Se Jo Is Din Roza Rakhna Chaahe Woh Rakh Le, Aur Jo Tark Karna Chaahe Woh Tark Kar De.”
Ise Imam Bukhari, Tabarani Aur Bayhaqi Ne Riwaayat Kiya Hai.
“Hafiz Ibn Hajar ‘Asqalani Ne (Is Hadith Par Tabsira Karte Hu’e) Farmaya : Is Se Saabit Hota Hai Ki Zamaanae Jaahiliyyat Se Hee Woh Ka’ba Par Ghilaaf Chadha Kar Us Ke Ta’zeem Karte They, Aur Us Kee Dekh Bhaal Karte They.” (01)
“Hafiz Ibn Hajar ‘Asqalani Ek Aur Maqam Par (Quraysh Ke Us Din Roza Rakhne Kee Waj’h Bayaan Karte Hu’e) Kehte Hain : Yawme ‘Aashoor Ko Quraysh Ka Roza Rakhne Ka Sabab Yeh Tha Ki Shaayad Unhone Guzishta Shari’at Se Us Ko Paaya Ho, Aur Isi Liye Woh Us Din Kee Ta’zeem Ka’ba Par Ghilaaf Chadha Kar Kiya Karte They.”(02)
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/578, Raqm-1515,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/278, Raqm-7495,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/159, Raqm-9513,
(01) Dhakarahu Al-Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 03/455,
(02) Dhakarahu Al-Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 04/246,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/38_39, Raqm-09.]