“Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Yahood Ke Chand Logo’n Ke Paas Se Guzre Jo Ki ‘Aashoora Ke Din Ka Roza Rakhte They. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Un Se Puchha : Yeh Kis Cheez Ka Roza Hai? Unhone Jawaab Diya : Yeh Woh Din Hai Jis Din Allah Ta’ala Ne Hazrat Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Aur Bani Isra’il Ko Darya Me Gharq Hone Se Bachaaya Aur Fir’awn Ko Gharq Kar Diya Aur Yeh Woh Din Hai Jis Me Joodi Pahaadi Par Kashti Thehri To Hazrat Nooh Aur Moosa عَلَيْهِمَا السَلَام Ne Allah Ta’ala Ka Shukr Ada Karte Hu’e Roza Rakkha. Is Par Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mein Hazrat Moosa Ka Ziyaada Haqdaar Hoo’n Aur Mein Is Din Roza Rakhne Ka Ziyaada Haqq Rakhta Hoo’n. Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sahaba-e Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْن Ko Bhi Us Din Roza Rakhne Ka HukmDiya.”
Ise Imam Ahmad Ne Riwaayat Kiya Hai.
“Shaykh-ul-Islam Hafiz Al-‘Asr Aboo Al-Fadl Ibn Hajar Se Milaad Sharif Ke ‘Amal Ke Hawala Se Puchha Gaya To Unhone Us Ka Jawaab Kuchh Yoo’n Diya : ‘Mere Nazdeek Yawme Milaad-un-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Manaane Kee Asaasi Daleel Woh Hai Jise “Sahihayn” Me Riwaayat Kiya Gaya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Madinah Tashreef Laa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Yahood Ko Yawme ‘Aashoor Ka Roza Rakhte Hu’e Paaya. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Ne Un Se Puchha : Aisa Kyoo’n Karte Ho? Is Par Woh ‘Arz Kina’n Hu’e Ki Us Din Allah Ta’ala Ne Fir’awn Ko Gharq Kiya Aur Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Ko Najaat Dee, So Hum Allah Ta’ala Kee Baargaah Me Shukr Baaja Laane Ke Liye Us Din Ka Roza Rakhte Hain.”
“Is Hadith Mubaraka Se Saabit Huwa Ki Allah Ta’ala Kee Taraf Se Kisi Ehsaan-o In’aam Ke ‘Ata Hone Ya Kisi Museebat Ke Tal Jaane Par Kisi Mu’ayyan Din Me Allah Ta’ala Ka Shukr Baja Laana Aur Har Saal Is Din Kee Yaad Taaza Karna Munaasibtar Hai.”
“Allah Ta’ala Ka Shukr Namaaz-o Sajda, Saqda Aur Tilaawate Qur’an Wa Deegar ‘Ibaadaat Ke Zari’e Baja Laaya Ja Sakta Hai Aur Huzoor Nabiyye Rahmat صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Se Badh Kar Allah Kee Ne’mato’n Me Se Kaun See Ne’mat Hai? Is Liye Is Din Zaroor Shukr Baja Laana Chaahiye.”(01)
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/359_360, Raqm-8702,
‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 04/247,
(01) Dhakarahu Al-Suyooti Fi Husn Al-Maqsad Fi ‘Amal Al-Mawlid,/63,
Suyooti Fi Al-Hawi Li-’l-Fatawi Fi Al-Fiqh Wa Uloom Al-Tafsir Wa Al-Hadith Wa Al-Usool Wa Al-Nahw Wa Al-I’rab Wa Sa’ir Al-Funun,/205_206,
Salihi Fi Subul Al-Huda Wa Al-Rashad Fi Sirat Khayr Al-‘Ibad, 01/366,
Zarqani Fi Sharh Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/263,
Sayyid Ahmad Bin Zayni Dahlan Fi Sirat-un-Nabawiyyah, 01/54,
Nab’hani Fi Hujjatu Allahi ‘Ala Al-‘Alamin Fi Mu’jizat Sayyid-il-Mursalin,/237,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/34_38, Raqm-08.]