Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-16 : ﴾Uhaadiyyaat, Sunaaiyyaat Aur Thulaasiyyaat﴿

Imam Bukhari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Teen³ Waasto’n Kee Riwayat Ka Bayan

Fasl-03 :

Imam Bukhari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Teen³  Waasto’n Kee Riwayat Ka Bayan

39/1079.            “Hazrat Salma Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Jo Mere Muta’alliq Aisi Baat Kahe Jo Mein Ne Na Kahi Ho To Woh Jahannum Ke Andar Apna Thikana Tayyar Rakkhe.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/52, Raqm-109,

Ibn Majah An Abi Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi As-Sunan, 01/13, Raqm-34,

Ibn Hibban An Abi Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi As-Sahih, 01/210, Raqm-28,

Hakim An Abi Qatada RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu  Fi Al-Mustadrak, 01/194, Raqm-379,

وقال الحاكم : هذا هديث على شرط مسلم،

Ahmad Bin Hanbal An Uthman Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Musnad, 01/65, Raqm-469,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/112,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/239,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/296, Raqm-26249,

Bazzar Fi Al-Musnad, 06/31, Raqm-2100,

Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 01/249, Raqm-215,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/14, Raqm-80,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 10/506, Raqm-6123,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir,  01/171, Raqm-426,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-894, Raqm-1079.]

40/1080.            “Hazrat Yazeed Bin Abi Ubayd Se Riwayat Hai Ki Hazrat Salma Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Masjid Kee Diwaar Mimbar Ke Itna Qareeb Thi Ki Jis Me Se Bakri Na Guzar Sake.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/188, Raqm-475,

Muslim Fi As-Sahih, 01/364, Raqm-508, 509,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/54,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/394, Raqm-1436, : 02/56,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/58, Raqm-1762,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/272, Raqm-3287,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-894, 895, Raqm-1080.]

41/1081.            “Hazrat Yazeed Bin Abi Ubayd Se Riwayat Hai Ki Mein Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Aa Kar Sutoon Ke Paas Namaz Padhta Jo Mus’haf  Ke Paas Hai. Mein Ne Arz Kiya : Aye Aboo Muslim! Mein Dekhta Hoo’n Ki Aap Us Sutoon Ke Paas Namaz Padhne Kee Koshish Karte Hain? Unhone Farmaya : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Us Ke Paas Khaas Taur Par Namaz Padhte Hu’e Dekha Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/189,Raqm-480,

Muslim Fi As-Sahih, 01/364, Raqm-509,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/459, Raqm-1430,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/48,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/271, Raqm-3284,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-895, Raqm-1081.]

42/1082.            “Hazrat Yazeed Bin Abi Ubayd Se Riwayat Hai Ki Hazrat Salma Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Namaaze Maghrib Padha Karte They Jab Ki Sooraj Parde Me Ho Jaata.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/205, Raqm-536,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/304, Raqm-164,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/113, Raqm-417,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/225, Raqm-688,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/54,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 01/369, Raqm-1603,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/154, Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/301, Raqm-1063,

Baghawi Fi Sharh As-Sunnah, Raqm-372,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-895, 886, Raqm-1082.]

43/1083.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Qabila-e Aslam Ke Ek Shakhs Ko Logo’n Me Yeh I’laan Karne Ka Hukm Diya Ki Jis Ne Jo Kuchh Khaa Liya To Woh Baaqi Din Ka Roza Rakkhe (Ya’ni Baqiya Din Ke Rozedaar Kee Tarah Guzaare) Aur Jis Ne Kuchh Nahin Khaaya Woh (Aaj) Roza Rakkhe Kyo’n Ki Aaj ‘Aashura Ka Din Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/705, Raqm-1903,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/679, Raqm-1824,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2651, Raqm-6837,

Muslim Fi As-Sahih, 02/798, Raqm-1135,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/192, Raqm-2321,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/384, Raqm-3619,

Darami Fi As-Sunan, 02/36, Raqm-1761,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/608, Raqm-6253,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/47,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/220, Raqm-7824,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/312, Raqm-9327,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-896, 897, Raqm-1083.]

44/1084.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu  Se Riwayat Hai Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaahe Aqdas Me Baithe Hu’e They Ki Ek Janaza Laaya Gaya Aur Arz Kee Ga’i Ki Is Par Namaaze Janaza  Padhiye. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Is Par Qarz Hai? Logo’n Ne Arz Kiya : Nahin, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmaya :  Kya Is Ne Kuchh (Tarkah) Chhoda Hai?  Arz Kiya : Nahin. So Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Is Par Namaze (Janaza) Padhi Phir Dusara Janaza Aaya Aur Sahaba Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Is Par Namaze (Janaza) Padhiye. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Is Par Qarz Hai? Arz Kiya : Ha’n. Farmaya : Kya Is Ne Kucch Chhoda Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Teen³ Dinar (Chhode Hai) So Is Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Padhi. Phir Tisra Janaza Laaya Gaya Aur Arz Kiya Gaya : Is Par Namaze (Janaza) Padhiye. Farmaya : Kya Is Ne Kuchh (Tarkah) Chhoda Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Nahin. Farmaaya : Kya Is Par Qarz Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Teen³ Dinar (Qarz) Hai. Farmaya : Tum Apne Saathi Par Namaze (Janaza) Padh Lo.  Hazrat Aboo Qatadah Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Is Par Namaz Padhiye Aur Is Ka Qarz Mein Ada Karunga. So Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Par Bhi Namaaze Janaza Padhi.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/799, Raqm-2168,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/803,Raqm-2173,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2054, Raqm-5056,

Muslim Fi As-Sahih,03/1237, Raqm-1619,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/388, Raqm-1070,

وقال أبو عيسى : هذا هديث حسن صحيح،

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/637, Raqm-2089,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/380, Raqm-8937,

Baghawi Fi Sharh As-Sunnah, Raqm-2153,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/329, Raqm-3059,

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/280, Raqm-1111,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 03/443, Raqm-5624,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/72, Raqm-11177,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-897, 898, Raqm-1084.]

45/1085.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Bay’at Kar Lee Phir Mein Ek Darakht Ke Saaye Me Chala Gaya. Jab Bhid Kam Hu’i To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Ibn Akwa’!  Kya Tum Bay’at Nahin Karte? Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Mein To Bay’at Kar Chuka Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Achchha Dobaara Hee Sahi, So Mein Ne Dusari Dafa Bhi Bay’at Kar Lee. To Mein Ne Un Se Puccha :  Aye Aboo Muslim! Aap Hazaraat Ne Us Roz Kis Baat Par Bay’at Kee Thi? Unhone Farmaya : (Ghulami-e Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me) Maut Par.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1081, Raqm-2800,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1529, Raqm-3936,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2634, Raqm-2780,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2635, Raqm-6782,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1483, Raqm-1860,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1434, Raqm-1807,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/150, Raqm-1592,

وقال أبو عيسى : هذا هديث حسن صحيح،

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/141, Raqm-4159,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/47, 49,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-898, 899, Raqm-1085.]

46/1086.            “Hazrat Yazeed Bin Abi Ubayd Farmate Hain Ki Mein Ne Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Pindali Par Zakhm Ka Nishaan Dekha To Poochha :  Aye Aboo Muslim! Yeh Nishaan Kya Hai?  Unhone Farmaya :  Yeh Zakhm Mujhe Ghazwa-e Khaybar Me Aaya Tha.  Log To Yeh Kehne Lage They Salamah Ka Aakhir Waqt Aa Pahoncha Hai Lekin Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Ho Gaya. So Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us (Zakhm) Par Teen³ Martaba Dam Kiya To Mujhe Ab Tak Koi Taklif Mahsoos Nahin Hoti.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1541, Raqm-3969,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/12, Raqm-3894,

Baghawi Fi Sharh As-Sunnah, Raqm-3806,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-899, Raqm-1086.]

47/1087.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Humraah Ghazwa-e Khaybar Ke Liye Nikle To Logo’n Me Se Ek Ne Kaha : Aye Aamir! Kya Aap Hamein Apne Ash’aar Nahin Sunaayenge? Chunanche Unhone Apne Ash’aar Sunaaye To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Haankne Waala Koun Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Aamir Bin Akwa’ Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Is Par Raham Farmaa’e. Sahaba Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Aap Hamein Un Se Aur Faayda Utha Lene Dete. So Usi Raat Kee Sub’h Ko Woh Maut Kee Aagosh Me Chale Ga’e. To Logo’n Ne Kaha : Us Ke ‘Amal Zaaye Ho Ga’e Kyo’n Ki Us Ne Apne Aap Ko Khud Qatl Kiya Hai. Jab Mein Waapas Lauta To Log Yahi Baatein Kar Rahe They Ki Aamir Ke ‘Amal Zaaye Ho Ga’e Hain. So Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Ho Kar Arz Kiya : Ya Nabi Allah! Mere Maa Baap Aap Par Qurban, Logo’n Ka Yeh Khayaal Hai Ki Aamir Ke Aamaal Zaaye Ho Ga’e Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmaya: Jis Kisi Ne Yeh Kaha Ghalat Kaha Hai. Us Ke Liye To Dugna Ajr Hai Woh To Mashaqqat Uthaane Waala Mujaahid Hai. Us Ke Qatl Se Behtar Kis Kee Maut Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2525, Raqm-6496,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1537, Raqm-3960,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2277, Raqm-5796,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1427, 1428, Raqm-1802,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/47,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 04/314, Raqm-6831,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-899, 900, Raqm-1087.]

48/1088.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Madinah Munawwarah Se Jungal Kee Taraf Chala, Pahaadi Par Pahoncha To Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin ‘Awf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Ek Ghulaam Mila Mein Ne Kaha: Too Halaak Ho Too Yaha’n Kaise Aaya?  Us Ne Jawaab Diya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Doodh Dene Waali Oontani Pakdi Ga’i Hai. Mein Ne Poochha :  Kis Ne Pakdi Hai? Us Ne Jawaab Diya : Qabila-e Ghatfan Aufazara Ke Aadami Le Ga’e Hain. Phir Mein Teen³ Martaba “Ya Sabaaha” Ke Alfaaz Ke Saath Is Zor Se Chillaya Ki Madinah Munawwarah Ke Har Goshe Me Rehne Waale Sun Le’n. Phir Mein Ne Daud Lagaa’i Yaha’n Tak Ki Un Logo’n Ko Ja Pahoncha. So Mein Un Kee Jaanib Teer Phainkne Laga Aur Saath Yeh Kehne Laga: “Mein Akwa’ Ka Beta Hoo’n Aur Aaj Kamino’n Kee Halaakat Ka Din Hai.” To Mein Ne Un Ke Paani Peene Se Pehle Hee Un Se Oontani Chheen Lee. Mein Use Le Kar Waapas Lauta To RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Meri Mulaqaat Ho Ga’i. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Woh Log Pyaase They Aur Mein Un Ke Paani Peene Se Pehle Hee Jaldi Se Un Se Oontani Chheen Laaya. Un Ke Peechhe Kisi Ko Rawaana Kar De’n, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Ibn Akwa’! Tum Maalik Ho Ga’e Ho Ab Narami Karo. Un Kee Mehmaani Apni Qaum Me Ho Rahi Hogi.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1106, Raqm-2876,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1536, Raqm-3958,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1432, 1438, Raqm-1806,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/133, Raqm-7173,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/243, Raqm-10814,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/48,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 04/302,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/88,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf,  07/420, Raqm-37002,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-900, 901, 902, Raqm-1088.]

49/1089.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Jis Roz Khaibar Fatah Hua Us Shaam Logo’n Ne Aag Jalaayi. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Ne Yeh Aag Kya Cheez Pakaane Ke Liye Jalaa’i Hai? Mujaahidin Ne Arz Kiya : Paaltu Gadho’n Ka Gosht Pakaane Ke Liye : Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Haandiyo’n Me Hai Use Oolat Do Aur Haandiyo’n Ko Tod Do. Ek Shakhs Ne Khade Ho Kar Arz Kiya : Hum Gosht Ko Oolat De’n Aur Haandiyo’n Ko Dho Na Le’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Chalo Yoo’n Hee Kar Lo.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2094, Raqm-5178,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1563, Raqm-1974,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1605, Raqm-1395,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/50,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/102, Raqm-11333,

Hazimi Fi Al-Nasikh Wa Al-Mansookh, 01/156,

بمعناه من عدة طرق

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-902, Raqm-1089.]

50/1090.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Shakhs Ko Aashoora Ke Roz Logo’n Me Munaadi Kar Ne Ke Liye Bheja Ki Jis Ne Khaana Kha Liya Woh Roza Poora Kare Ya Use Chahiye Ki Roza Rakkhe Aur Jis Ne Nahin Khaaya Woh Na Khaaye.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/679, Raqm-1824,

Muslim Fi As-Sahih, 02/792, Raqm-1125,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/48,

Baghawi Fi Sharh As-Sunnah,Raqm-1784,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-902, 903, Raqm-1090.]

51/1091.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Ek Janaza Laaya Gaya Taa Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Par Namaze (Janaza) Padhe’n.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Us Par Koi Qarz Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Nahin, To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Par Namaaze Janaza Padhi. Phir Dusara Janaza Laaya Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Us Par Kuchh Qarz Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Ha’n, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apne Saathi Par Namaz Padho. Hazrat Aboo Qatadah Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Is Ka Qarz Mein Ada Karunga, Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Par Namaaze Janaza Padhi.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/803, Raqm-2173,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/799, Raqm-2168,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/803, Raqm-2173,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2054, Raqm-5056,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1237, Raqm-1619,

Tirmidhi Fi As-Sunan,03/388, Raqm-1070,

 وقال أبو عيسى : هذا هديث حسن صحيح،

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/65, Raqm-1960, 1961,

Baghawi Fi Sharh As-Sunnah, Raqm-2153,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/329, Raqm-3059,

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/280, Raqm-1111,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 03/443, Raqm-5624,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/380, Raqm-8937,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-903, 904, Raqm-1091.]

52/1092.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Khaibar Ke Roz Aag Jalti Hu’i Dekh Kar Farmaya :  Yeh Kyoo’n Jalaa’i Hai? Sahaba Ne Arz Kiya : Paaltoo Gadho’n Ka Gosht (Pakaane Ke Liye). Is Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Haandiya’n Tod Do Aur Use Baha Do. Sahaba Ne Arz Kiya : Kya Hum Aisa Na Kare’n Ki Ise Oolat De’n Aur Haandiya’n Dho Le’n, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Unhe’n Dho Lo.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/876, Raqm-2345,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2094, Raqm-5178,

Muslim Fi As-Sahih, Raqm-1974,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1605, Raqm-395,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/50,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-904, Raqm-1092.]

53/1093.            “Hazrat Yazeed Bin Aboo Ubayd Se Riwayat Hai Ki Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Mein Ne Saat-07 Ghazwaat Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Shareek Hone Ka Sharf Haasil Kiya Hai Aur Us Ghazwah Me Bhi Shareek Tha Jis Me Hazrat Zayd Bin Haaris RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamaara Ameer Banaaya Tha.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1556, Raqm-4023,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1447, Raqm-1815,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/139, Raqm-7174,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/241, Raqm-3961, 6383,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 04/355, Raqm-6954,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/54,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-905, Raqm-1093.]

54/1094.            “Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Jo Tum Me Se Qurbaani Kare To Teesre Roz Kee Sub’h Us Ke Ghar Me Qurbaani Ka Gosht Nahin Hona Chaahiye. Jab Agla Saal Aaya To Sahaba Ne Arz Kiya :  Ya RasoolAllah!  Kya Ab Bhi Hum Usi Tarah Kare Jaise Pichhle Saal Kiya Tha?  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Khaa’o, Khilaa’o Aur Jam’a Bhi Kar Lo Kyo’n Ki Woh Saal Tangi Ka Tha To Mera Iraada Hua Ki Tum Us (Tangi) Me Ek Doosre Kee Madad Karo.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2115, Raqm-5249,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1563, Raqm-1974,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-905, 906, Raqm-1094.]

55/1095.            “Hazrat Yazeed Bin Aboo Ubayd Ka Bayan Hai Ki Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Hum Ne Darakht Ke Neeche Bay’at Kee. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Aye Salmah! Kya Tum Bay’at Nahin Karte, Mein Ne Arz Kiya :  Ya RasoolAllah! Mein To Pehle Hee Bay’at Kar Chuka Hoo’n.  Farmaya Do Baara Kar Lo.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2635, Raqm-6782,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1081, Raqm-2800,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1529, Raqm-3936,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2634, Raqm-67800,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2635, Raqm-6782,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1483, Raqm-1860,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1432, Raqm-1807, 1802,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/150, Raqm-1592,

وقال أبو عيسى : هذا هديث حسن صحيح،

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/141, Raqm-4159,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/47, 49,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-906, Raqm-1095.]

56/1096.            “Hazrat Humayd Ka Bayan Hai Ki Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Unhe’n Riwayat Bayan Farmaa’i Ki Hazrat Rubayya’ Bint Nazr Ne Ek Ladki Ke Saamne Waale Do² Daant Tod Di’e To Unhone Diyat (Jurmaane) Ka Mutaalaba Kiya Yeh Mu’aafi Ke Khwaastagaar Hu’e. To Unhone Inkaar Kar Diya. So Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hu’e To Aap Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Qisaas Ka Hukm Farmaya. Hazrat Anas Bin Nazr Ne Arz Kiya :  Ya RasoolAllah! Kya Rubayya’ Ke Saamne Ke Daant Tode Jaa’enge? Nahin, Qasam Us Zaat Kee Jis Ne Aap Ko Haqq Ke Saath Mab’oos Farmaya Hai, Us Ke Daant Nahin Tode Jaa’enge. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Anas!  Allah Kee Kitab Qisaas Ka Kehti Hai (Is Par Hazrat Anas Khaamosh Ho Ga’e) So (Baa’d Me) Woh Log (Jinhone Qisaas Ka Taqaaza Kiya Tha) Raazi Ho Ga’e Aur Unhe’n Mu’aaf Kar Diya To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ke Bando’n Me Se Woh Bhi Hain Ki Agar Woh Allah Ke Bharose Par Qasam Khaa Le’n To Allah Ta’ala Use Sachcha Kar Deta Hai. Fazaari Kee Riwayat Me Itna Hee Izaafa Hai Ki Woh Log Deyat (Jurmana) Lene Par Razamand Ho Ga’e.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/961, Raqm-2556,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1032, Raqm-2651,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1636, 1337, Raqm-4239, 4230,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1685, Rsaqam-4335,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2526, Raqm-6499,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1302, Raqm-1675,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/197, Raqm-4595,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/27, Raqm-4756, 4757,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/884, Raqm-2649,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra,  04/223, Raqm-6959,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/128, Raqm-12324, 12727,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/264, Raqm-768, :

24/262, Raqm-664,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 03/177,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/25, 64,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-906, 907, 908, Raqm-1096.]

57/1097.            “Hazrat Muhammad Bin ‘Abd Allah Ansari Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Bhi Farmaya Tha :  “Allah Kee Kitab Qisaas Ka Hukm Deti Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1636, 1337, Raqm-4239, 4230, Raqm-4229,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/961, Raqm-2556,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1032, Raqm-2651,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1685, Raqm-4335,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2526, Raqm-6499,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1302, Raqm-1675,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/197, Raqm-4595,

Nasa’i Fi As-Sunan, Raqm-4756, 4757,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/223, Raqm-6959,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/884, Raqm-2649,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/128, Raqm-12324, 12727,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/264, Raqm-768, :

24/262, Raqm-664,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 03/177,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/25, 64,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-908, 909, Raqm-1097.]

58/1098.            “Hazrat Humayd Ne Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Kee Hai Ki Nazr Kee Beti Ne Ek Ladki Ko Tamaancha Maara Jis Ke Baa’is Us Ke Agle Do² Daant Toot Ga’e, Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Hu’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Qisaas Ka Hukm Farmaya.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2526, Raqm-6499,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/961, Raqm-2556,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1032, Raqm-2651,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1236, 1337, Raqm-4239, 4230,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 04/1685, Raqm-4335,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1302, Raqm-1675,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/197, Raqm-4595,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/27, Raqm-4756, 4757,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/223, Raqm-12324, 12727,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/884, Raqm-2649,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/264, Raqm-6959,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/128, Raqm-768 : 24/262, Raqm-664,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 03/177,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/25, 64,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-909, 910, Raqm-1098.]

59/1099.            “Hazrat Hareez Bin ‘Uthman Se Riwayat Hai Ki Unhone RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahabi Hazrat ‘Abd Allah Bin Bus’r RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Poochha :  Kya Aap Kee Nazar Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Boodhe Ho Ga’e They?  Unhone Farmaya :  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Thodi Mubaarak Ke Sirf Chand Baal Safed Hu’e They.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1302, Raqm-3353,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,04/187, 188, 190,

وإسناد أهمد صحيح على شرط البخاري،

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/663, Raqm-4200,

وقال : هذا هديث صحيح الإسناد،

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/187, Raqm-25063,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/129, Raqm-1045,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/181, Raqm-506,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-910, Raqm-1099.]

60/1100.            “Hazrat Isa Bin Tahmaan Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna : Parde Kee Aayat Hazrat Zaynab Binte Jahas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Haqq Me Naazil Hu’i Aur Un Ke Walima Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Roti Aur Gosht Khilaya Tha Aur Yeh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baaqi Azwaje Mutahharaat Par Fakhr Kiya Karte Thi’n Ki Mera Nikaah Aasman Par Hua Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2700, Raqm-6984, 6985,

Nasa’i Fi As-Sunan, 06/79, Raqm-3252, As-Sunan-ul-Kubra, 05/291, Raqm-8918, 11411,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/226, Raqm-13385,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 24/39, Raqm-107,

Haythami Majma’-uz-Zwa’id, 07/91,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-910, 911, Raqm-1100.]

  ۞   ۞   ۞

 

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 02

          “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Jab Madinah Shareef Laa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Dekha Ki Yahoodi Yawme ‘Aashoora Ka Roza Rakhte Hain. Pas Un Se Us Kee Baabat Daryaaft Kiya Gaya To Unhone Kaha : Us Din Allah Ta’ala Ne Hazrat Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Aur Bani Isra’il Ko Fir’awn Par Ghalaba Wa Nusrat ‘Ata Farmaa’i To Hum Is ‘Azeem Kaamyaabi Kee Ta’zeem-o Takreem Baja Laane Ke Liye Us Din Roza Rakhte Hain. Us Par Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Hum Tum Se Ziyaada Moosa Ke Haqq Daar Hain. Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne (Khud Bhi Roza Rakkha Aur Sahaba-e Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْنَ Ko Bhi) Roza Rakh Ne Ka Hukm Diya.”

Yeh Hadith Muttafque Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1434, Raqm-3727,

Muslim Fi As-Sahih, 02/795, Raqm-1130,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/326, Raqm-2444,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/552, Raqm-1734,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/29_30, Raqm-02.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 03

          “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayaan Karte Hain Ki Rasool Allahصَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Madinah Tashreef Laa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Yahoodiyo’n Ko Yawme Aashoora Ka Roza Rakhte Paaya. To Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Un Se Puchha : Yeh Kaunsa (Khaas) Din Hai Jis Ka Tum Roza Rakhte Ho? Unhone Kaha : Yeh Bohat ‘Azeem Din Hai Ki Allah Ta’ala Ne Is Me Moosa عَلَيْهِ السَّلَامAur Un Kee Qaum Ko Najaat ‘Ata Kee Jab Ki Fir’awn Aur Us Kee Qaum Ko Gharq Kiya. Hazrat Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Ne Shukraane Ke Taur Par Us Din Ka Roza Rakkha, Lehaaza Hum Bhi Roza Rakhte Hain. Is Par Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Tumhaari Nisbat Hum Moosa Ke Ziyaada Haqq Daar Aur Qareebi Hain. Pas Us Din Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Khud Bhi Roza Rakkha Aur (Sahaba-e Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْنَ Ko Bhi) Us Din Ka Roza Rakhne Ka Hukm Farmaya.”

Yeh Hadith Muttafaqun ‘Alayh Hai Aur Mazkoora Alfaaz Muslim Ke Hain.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1244, Raqm-3216,

Muslim Fi As-Sahih, 02/796, Raqm : (2)1130,

Ibn Majah Fi As-Sahih, 01/552, Raqm-1734,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/336, Raqm-3112,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/30_31, Raqm-03.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 04

          “Hazrat ‘Abd Allah  Bin ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Jab Madinah Munawwarah Tashreef Laa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Dekha Ki Yahoodi Yawme Aashoora(Das Muharram) Ka Roza Rakhte Hain. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Un Se Us Din Roza Rakhne Ka Sabab Daryaaft Farmaya : To Unhone Jawaab Diya : Yeh Din (Hamaare Liye) Mutabarrik Hai. Yeh Woh Mubaarak Din Hai Jis Din Allah Ta’ala Ne Bani Isara’il Ko Un Ke Dushman (Fira’wn) Se Najaat Dilaa’i (Yeh Hamaara Yawme Aazaadi Aur Yawme Najaat Hai). Pas Hazrat Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Ne Us Din Roza Rakkha.  Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Tum Se Ziyaada Moosa Ka Haqq Daar Mein Hoo’n. Chunaanche Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Us Din Ka Roza Rakkha Aur (Sahaba-e Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْنَ Ko Bhi) Us Din Roza Rakhne Ka Hukm Farmaya.”

Ise Imam Bukhari, Ahmad Aur Aboo Ya’la Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/704, Raqm-1900,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/291, Raqm-2644,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/441, Raqm-2567,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/32_33, Raqm-04.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 05

          “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmaate Hain : Yawme ‘Aashoora Ko Yahoodi Yawme ‘Eid Shumaar Karte They. Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمNe (Musalmano’n Ko Hukm Dete Hu’e) Farmaya : Tum Zaroor Is Din Roza Rakkha Karo.”

Ise Imam Bukhari Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/704_705, Raqm-1901,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/33, Raqm-05.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 06

“Hazrat Aboo Moosa Ash’ari رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmaate Hain : Yahoodi Yawme Aashora Kee Ta’zeem Karte They Aur Use ‘Eid Ke Taur Par Manaate They. Pas Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne (Musalmano’n) Ko Hukm Diya Ki Tum Bhi Is Din Roza Rakkho.”

Ise Imam Muslim, Nasa’i Aur Tahaawi Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/796, Raqm : (1) 1131,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/159, Raqm-2848,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 02/133, Raqm-3217,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/8197,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/33_34, Raqm-06.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 07

          “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain : Ahle Khaybar Yawme Aashoora Ka Roza Rakhte Aur Use ‘Eid Ke Taur Par Manaate They. Us Din Woh Apni ‘Aurto’n Ko Khoob Zewaraat Pehnaate Aur Un Ka Banaao Singhaar Karte. To Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne (Musalmano’n Se) Farmaya : Tum Bhi Us Din Roza Rakkha Karo.”

Ise Imam MuslimNe Riwaayat Kiya Hai.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/796, Raqm-1131,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/34, Raqm-07.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 08

          “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Yahood Ke Chand Logo’n Ke Paas Se Guzre Jo Ki ‘Aashoora Ke Din Ka Roza Rakhte They. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Un Se Puchha : Yeh Kis Cheez Ka Roza Hai? Unhone Jawaab Diya : Yeh Woh Din Hai Jis Din Allah Ta’ala Ne Hazrat Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Aur Bani Isra’il Ko Darya Me Gharq Hone Se Bachaaya Aur Fir’awn Ko Gharq Kar Diya Aur Yeh Woh Din Hai Jis Me Joodi Pahaadi Par Kashti Thehri To Hazrat Nooh Aur Moosa عَلَيْهِمَا السَلَام Ne Allah Ta’ala Ka Shukr Ada Karte Hu’e Roza Rakkha. Is Par Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mein Hazrat Moosa Ka Ziyaada Haqdaar Hoo’n Aur Mein Is Din Roza Rakhne Ka Ziyaada Haqq Rakhta Hoo’n. Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sahaba-e Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْن Ko Bhi Us Din Roza Rakhne Ka HukmDiya.”

Ise Imam Ahmad Ne Riwaayat Kiya Hai.

“Shaykh-ul-Islam Hafiz Al-‘Asr Aboo Al-Fadl Ibn Hajar Se Milaad Sharif Ke ‘Amal Ke Hawala Se Puchha Gaya To Unhone Us Ka Jawaab Kuchh Yoo’n Diya : ‘Mere Nazdeek Yawme Milaad-un-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Manaane Kee Asaasi Daleel Woh Hai Jise “Sahihayn” Me Riwaayat Kiya Gaya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Madinah Tashreef Laa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Yahood Ko Yawme ‘Aashoor Ka Roza Rakhte Hu’e Paaya. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Ne Un Se Puchha : Aisa Kyoo’n Karte Ho? Is Par Woh ‘Arz Kina’n Hu’e Ki Us Din Allah Ta’ala Ne Fir’awn Ko Gharq Kiya Aur Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Ko Najaat Dee, So Hum Allah Ta’ala Kee Baargaah Me Shukr Baaja Laane Ke Liye Us Din Ka Roza Rakhte Hain.”

“Is Hadith Mubaraka Se Saabit Huwa Ki Allah Ta’ala Kee Taraf Se Kisi Ehsaan-o In’aam Ke ‘Ata Hone Ya Kisi Museebat Ke Tal Jaane Par Kisi Mu’ayyan Din Me Allah Ta’ala Ka Shukr Baja Laana Aur Har Saal Is Din Kee Yaad Taaza Karna Munaasibtar  Hai.”
“Allah Ta’ala Ka Shukr Namaaz-o Sajda, Saqda Aur Tilaawate Qur’an Wa Deegar ‘Ibaadaat Ke Zari’e Baja Laaya Ja Sakta Hai Aur Huzoor Nabiyye Rahmat صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Se Badh Kar Allah Kee Ne’mato’n Me Se Kaun See Ne’mat Hai? Is Liye Is Din Zaroor Shukr Baja Laana Chaahiye.”(01)

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/359_360, Raqm-8702,

‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 04/247,

(01) Dhakarahu Al-Suyooti Fi Husn Al-Maqsad Fi ‘Amal Al-Mawlid,/63,

Suyooti Fi Al-Hawi Li-’l-Fatawi Fi Al-Fiqh Wa Uloom Al-Tafsir Wa Al-Hadith Wa Al-Usool Wa Al-Nahw Wa Al-I’rab Wa Sa’ir Al-Funun,/205_206,

Salihi Fi Subul Al-Huda Wa Al-Rashad Fi Sirat Khayr Al-‘Ibad, 01/366,

Zarqani Fi Sharh Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/263,

Sayyid Ahmad Bin Zayni Dahlan Fi Sirat-un-Nabawiyyah, 01/54,

Nab’hani Fi Hujjatu Allahi ‘Ala Al-‘Alamin Fi Mu’jizat Sayyid-il-Mursalin,/237,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/34_38, Raqm-08.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 09

          “Hazrat ‘Aaishah Siddiqa رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Riwaayat Karti Hain : Ahle ‘Arab Ramadan Ke Roze Farz Hone Se Qabl Yawme ‘Aashoor Ka Roza Rakhte They Kyoo’n Ki Us Din Ka’ba Par Ghilaaf Chadaaya Jaata Tha. Phir Jab Allah Ta’ala Ne Ramadan Ke Roze Farz Kar Diye To Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Tum Me Se Jo Is Din Roza Rakhna Chaahe Woh Rakh Le, Aur Jo Tark Karna Chaahe Woh Tark Kar De.”

Ise Imam Bukhari, Tabarani Aur Bayhaqi Ne Riwaayat Kiya Hai.

 

 

“Hafiz Ibn Hajar ‘Asqalani Ne (Is Hadith Par Tabsira Karte Hu’e) Farmaya : Is Se Saabit Hota Hai Ki Zamaanae Jaahiliyyat Se Hee Woh Ka’ba Par Ghilaaf Chadha Kar Us Ke Ta’zeem Karte They, Aur Us Kee Dekh Bhaal Karte They.” (01)

 

“Hafiz Ibn Hajar ‘Asqalani Ek Aur Maqam Par (Quraysh Ke Us Din Roza Rakhne Kee Waj’h Bayaan Karte Hu’e) Kehte Hain : Yawme ‘Aashoor Ko Quraysh Ka Roza Rakhne Ka Sabab Yeh Tha Ki Shaayad Unhone Guzishta Shari’at Se Us Ko Paaya Ho, Aur Isi Liye Woh Us Din Kee Ta’zeem Ka’ba Par Ghilaaf Chadha Kar Kiya Karte They.”(02)

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/578, Raqm-1515,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/278, Raqm-7495,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/159, Raqm-9513,

(01) Dhakarahu Al-Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 03/455,

(02) Dhakarahu Al-Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 04/246,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/38_39, Raqm-09.]