“Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayaan Karte Hain Ki Rasool Allahصَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Madinah Tashreef Laa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Yahoodiyo’n Ko Yawme Aashoora Ka Roza Rakhte Paaya. To Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Un Se Puchha : Yeh Kaunsa (Khaas) Din Hai Jis Ka Tum Roza Rakhte Ho? Unhone Kaha : Yeh Bohat ‘Azeem Din Hai Ki Allah Ta’ala Ne Is Me Moosa عَلَيْهِ السَّلَامAur Un Kee Qaum Ko Najaat ‘Ata Kee Jab Ki Fir’awn Aur Us Kee Qaum Ko Gharq Kiya. Hazrat Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Ne Shukraane Ke Taur Par Us Din Ka Roza Rakkha, Lehaaza Hum Bhi Roza Rakhte Hain. Is Par Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Tumhaari Nisbat Hum Moosa Ke Ziyaada Haqq Daar Aur Qareebi Hain. Pas Us Din Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Khud Bhi Roza Rakkha Aur (Sahaba-e Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْنَ Ko Bhi) Us Din Ka Roza Rakhne Ka Hukm Farmaya.”
Yeh Hadith Muttafaqun ‘Alayh Hai Aur Mazkoora Alfaaz Muslim Ke Hain.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1244, Raqm-3216,
Muslim Fi As-Sahih, 02/796, Raqm : (2)1130,
Ibn Majah Fi As-Sahih, 01/552, Raqm-1734,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/336, Raqm-3112,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/30_31, Raqm-03.]