Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 04

          “Hazrat ‘Abd Allah  Bin ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Jab Madinah Munawwarah Tashreef Laa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Dekha Ki Yahoodi Yawme Aashoora(Das Muharram) Ka Roza Rakhte Hain. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Un Se Us Din Roza Rakhne Ka Sabab Daryaaft Farmaya : To Unhone Jawaab Diya : Yeh Din (Hamaare Liye) Mutabarrik Hai. Yeh Woh Mubaarak Din Hai Jis Din Allah Ta’ala Ne Bani Isara’il Ko Un Ke Dushman (Fira’wn) Se Najaat Dilaa’i (Yeh Hamaara Yawme Aazaadi Aur Yawme Najaat Hai). Pas Hazrat Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Ne Us Din Roza Rakkha.  Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Tum Se Ziyaada Moosa Ka Haqq Daar Mein Hoo’n. Chunaanche Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Us Din Ka Roza Rakkha Aur (Sahaba-e Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْنَ Ko Bhi) Us Din Roza Rakhne Ka Hukm Farmaya.”

Ise Imam Bukhari, Ahmad Aur Aboo Ya’la Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/704, Raqm-1900,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/291, Raqm-2644,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/441, Raqm-2567,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/32_33, Raqm-04.]