Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 01

Al-Ahaadith-un-Nabawiyyah

01.                   “Hazrat Aws Bin Aws RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Be Shak Tumhaare Dinio’n Me Se Jumu’ah Ka Din Sab Se Behtar Hai Is Din Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Paida Huwe Aur Isi Din Unhone Wafaat Paa’i Aur Isi Din Soor Phunka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kathrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhaara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai. Sahaba’e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Hamaara Durood Aap Ke Wisaal Ke Baa’d Aap Ko Kaise Pesh Kiya Jaaega? Kyaa Aap Ka Jasade Mubaarak Khaak Me Nahin Mil Chuka Hoga? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: (Nahin Aisa Nahin Hai) Allah Ta’ala Ne Zameen Par Ambiya’e Kiram(‘Alayhim-us-Salam) Ke Jismo’n Ko (Khaana Ya Kisi Bhi Qism Ka Nuqsaan Pahonchaana) Haraam Farma Diya Hai.”

                   “Ek Riwaayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Be Shak Allah Buzurg-o Bartar Ne Zameen Par Haraam Qaraar Diya Hai Ki Woh Hamaare Jismo’n Ko Khaae.”

          Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud, Nasa’i, Ibn Majah, Darimi, Ahmad Ibn Khuzaymah Aur Ibn Hibban Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya: Yeh Hadith Imam Bukhari Kee Sharaa’it Par Sahih Hai Aur Imam Wadiyashi Ne Bhi Farmaya: Ise Imam Ibn Hibban Ne Sahih Qaraar Diya Hai. Aur Imam Asqalani Ne Farmaya: Ise Imam Ibn Khuzaymah Ne Sahih Qaraar Diya Hai Aur Imam Ajlooni Ne Farmaya: Ise Imam Bayahqi Ne Jayyad Sanad Ke Saath Riwaayat Kiya Hai. Allama Ibn Kathir Ne Farmaya: Ise Imam Ibn Khuzaymah, Ibn Hibban, Daraqutni Aur Nawawi Ne Al-Adhkar Me Sahih Qaraar Diya Hai.

[Aboo Dawud As-Sunan, 01/275, Raqm-1047,

Aboo Dawud As-Sunan, 02/88, Raqm-1531.

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/91, Raqm-1374,

Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 01/519, Raqm-1666,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/345, Raqm-1085,

Darimi Fi As-Sunan, 01/445, Raqm-1572,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/08, Raqm-16207,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8697,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/118, Raqm-1733, 1734,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/190, Raqm-910,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/413, Raqm-1029,

Bazzar Fi Al-Musnad, 08/411, Raqm-3485,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/97, Raqm-4780,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/261, Raqm-589.

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/371, Raqm-634,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/248, Raqm-5789,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/109, Raqm-3029,

Jahdami Fi Fadl Al-Salah ‘Ala Al-Nabi  ﷺ, 01/37, Raqm-22,

Wadiyashi Fi Tuhfat-ul-Muhtaj, 01/524, Raqm-661,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,11/370,

Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’, 01/190, Raqm-501,

Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/515,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/11_14, Raqm-01.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 11

          “Hazrat Aws Bin Aws رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Tumhaare Dino’n Me Se Jumu’ah Ka Din Sab Se Behtar Hai Is Din Hazrat Aadam عَلَيْهِ السَّلَام Paida Hu’e Aur Us Din Unhone Wafaat Paa’i Aur Isi Din Soor Phunka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kathrat Se Durood Bheja Karo Kyoo’n Ki Tumhaara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai. Sahaba-e Kiram Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Hamaara Durood Aap Ke Wisaal Ke Baa’d Aap Ko Kaise Pesh Kiya Jaaega? Jab Ki Aap Ka Jasade Mubaarak To Khaak Me Mil Chuka Hoga? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالىٰ Ne Zameen Par Ambiya-e Kiram Ke Jismo’n Ko (Kisi Bhi Qism Ka Nuqshaan Pahonchaana) Haraam Kar Diya Hai.”

 

“Ek Riwaayat Me Hai Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya Be Shak Allah Buzurg-o Bartar Ne Zameen Par Haraam Qaraar Diya Hai Ki Woh Hamaare Jismo’n Ko Khaae.”

 

Is Hadith Ko Imam Ahmad, Aboo Dawud Ne Mazkoora Alfaaz Ke Saath, Nasa’i, Ibn Majah, Ibn Khuzaymah, Ibn Hibban Aur Darimi Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya : Yeh Hadith Imam Bukhari Kee Sharaa’it Ke Mutaabiq Sahih Hai. Imam Wadiyashi Ne Bhi Farmaya : Ise Imam Ibn Hibban Ne Sahih Qaraar Diya Hai. Imam ‘Asqalani Ne Farmaya : Ise Imam Ibn Khuzaymah Ne Sahih Qaraar Diya Hai. Imam Ajlooni Ne Farmaya : Ise Imam Bayahqi Ne ‘Umda Sanad Ke Saath Riwaayat Kiya Hai.

[Aboo Dawud As-Sunan, 01/275, Raqm-1047,

Aboo Dawud As-Sunan, 02/88, Raqm-1531,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/08, Raqm-16207,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/91, Raqm-1374,

Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 01/519, Raqm-1666,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/345, Raqm-1085,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/118, Raqm-1733, 1734,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/190, Raqm-910,

Darimi Fi As-Sunan, 01/445, Raqm-1572,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8697,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/413, Raqm-1029,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/97, Raqm-4780,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/261, Raqm-589,

Bazzar Fi Al-Musnad, 08/411, Raqm-3485,

Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/371, Raqm-634,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/248, Raqm-5789,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/109, Raqm-3029,

Bayhaqi Fi Fada’il Al-Awqat,

Jahdami Fi Fadl Al-Salah ‘Ala Al-Nabi  ﷺ, 01/37, Raqm-22,

Wadiyashi Fi Tuhfat-ul-Muhtaj, 01/524, Raqm-661,

‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,11/370,

Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’, 01/190, Raqm-501,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/41_44, Raqm-11.]

Posted in Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Durood-o-Salaam Kee Fazeelat

Soorat-ul-Ahzaab Kee Madhkoora Baala Aayate Mubaaraka Kee Tafseer Me Qaazi Iyaaz Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ne Ash-Shīf ā, (Jild : 01, Saf’hah : 60.) Me Likkha Hai Ki Allah Ta’ala Aur Us Ke Tamaam Firishte Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood  Bhejte Hain. Is Ke Ba’d Momino’n Ko Hukm Hota Hai Ki Aye Imaan Waalo! Tum Bhi Huzoor ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Par Durood-o-Salaam Bhejo. Woh Bayaan Karte Hain Ki Yeh Aayate Mubaaraka Jo Ba-Taure Khaas Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Azamat-o-Shaan, Uloo Martabat Aur Maqaame Rafee’ Ke Izhaar Ke Li’e Naazil Kee Ga’i Hai. Is Me Allah Sub’haanahu Wa-Ta’ala Ne Pehle Khabar Dee Hai Ki :

إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ

“Be Shak Allah Aur Us Ke (Sab) Firshte Nabiyye(Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Par Durood Bhejte Rehte Hain.”

 

Is Khabar me Allah Rabb-ul-Izzat Ne Pehle Apna Aur Malaa’ika Ka Amal Bayaan Farmaaya, Phir Hamein Hukm Diya Hai Ki :

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا۝

          “Aye Imaan Waalo! Tum (Bhi) Un Par Durood Bheja Karo Aur Khoob Salaam Bheja Karo.”

 

Allah Tabaarak Wa-Ta’ala Ne Qur’an Majeed Me Al-Hamd Se Wa-An-Naas Tak Is Maqqam Ko Siwa Kisi Jagah Par Bhi Aisa Hukm Nahin Diya Ki Hukm Dene Se Pehle Khabar De Ki Mein Khud Yeh Kaam Karta Hoo’n. Is Se Yeh Haqiqat Waazeh Taur Par Saamne Aati Hai Ki :

1. Huzoore Aqdas SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Yeh Azamat-o-Khusoosiyyat Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Naseeb Hai, Jis Kee Ko’i Aur Mithaal Na Poore Qur’aan Paak Me Hai, Aur Na Hee Tamaam Anbiya’ Me Se Kisi Nabi Aur Rasool Ke Baare Me Is Tarah Kee Ko’i Aayat Naazil Hu’i.

 

2. Sayyidina Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Azamat Ke Izhaar Ke Li’e Jo Amal Muntakhab Kiya Us Me Allah Tabaarak Wa-Ta’ala Khush Shareek Na Huwa Balki Yeh Amal Firishto’n Se Karwaaya Magar Jab Apne Pyaare Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Azamat-o-Shaan Bayaan Kar Ne Wa Waqt Aaya To Dunya Waalo’n Ko Waazeh Taur Par Matla’ Kar Diya Ki Suno! Mere Mahboob Kee Shaan Mala’-E-A’la Me Kya Hai, Wahaa’n Par Aik Hee Zikr Hota Hai Jo Allah Bhi Karta Hai Aur Us Ke Firishte Bhi.

 

Yeh Baat Badi Ahammiyyat Kee Haamil Hai Ki Allah Ta’ala Khud Apna Zikr Nahin Karta Aur Na Hee Apni Tasbeeh Bayaan Karta Hai Balki Woh Sirf Aik Hee Zikr Karta Hai Jis Ke Muta’alliq Qur’an Hakeem Me Waazeh Taur Par Farmaaya Gaya Hai Ki Allah Ta’ala Har Lehza Apne Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Zikr Buland Karta Hai. Aik Maqaam Par Farmaaya :

وَرَفَعْنَا لَكَ ذِكْرَكَ۝

          “Aur Ham Ne Aap Kee Khaatir Aap Ka Zikr (Apne Zikr Ke Saath Mila Kar Dunya-o-Aakhirat Har Jagah) Buland Farma Diya.”

[Al-Inshirāḥ, 94 : 04.]

 

Aur Doosre Maqaam Par Farmaaya :

إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ

          “Be Shak Allah Aur Us Ke (Sab) Firshte Nabiyye(Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Par Durood Bhejte Rehte Hain.”

[Al-Aḥzāb, 33 : 56.]

 

Imam Bukhari Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ne Hazrat Aboo Al-‘Aaliyyah Taabe’iy Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Se Riwaayat Kiya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Allah Ta’ala Kee Taraf Se Durood Bhejne Ka Matlab Yeh Hai :

صلوة الله ثناؤه عليه عند الملائكة.

          “Allah Ta’ala Malaa’ika Ke Ijtemaa’ Me (Apni Shaan Ke Laa’iq) Apne Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shaan Bayaan Karta Hai.”

[Bukhāri Fī Al-Ṣaḥiḥ, Kitāb Al-Tafsīr, Tafsīr Sūrah Al-Ahzāb, 04.282.]

Kyoo’n Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shaan Wohi Jaane Jis Ne Aap Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Shaan Se Nawaaza Hai. Yehi Waj’h Hai Ki Allah Ta’ala Ko Apni Shaan Ke Mutaabiq Ilm Tha Ki Mein Ne Apne Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ta’reef Karte Rehna Hai, Lehaaza Pehle Hee Naam “Muammad(SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam)” Rakh Diya Ya’ni Woh Zaat Jis Kee Baar Baar Aur Be Hadd-o-Hisaab Ta’reef Kee Jaa’e.

Madhkoora Hadih Me ثناؤه عليه عند الملائكة (Malaa’ika Ke Saamne Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shaan Bayaan Karna) Se Ma’loom Huwa Ki Malaa’ika Ke Be Hadd-o-Hisaab Ijtemaa’ Ne Allah Ta’ala Un Ke Saamne Apni Shaan Ke Laa’iq Apne Mahboob Kee Azamat-o-Shaan Bayaan Karta Hai Goya Saara ‘Arsh, Mala’-E-A’la Aur Poori Kaa’enaat Gosha-E-Durood Hai Jis Me Allah Ta’ala Firishto’n Ko Bula Kar Irshaad Farmaata Hai Ki Aao! Mere Saath Shareek Ho Jaao.

[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/13_16.]

Posted in Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Durood Sharif Qat’iyy-ul-Qubool Amal Hai

Yaad Rakkhein! Ko’i Amal Aur Ibaadat Aisi Nahin Jis Ka Qubool Hona Hatmi Aur Qat’iy Ho Jaise Namaaz, Roza, Hajj, Zakaat, Sadqa-o-Khayraat, Jihaad Wa Deegar A’maale Saalehah Aur Har Ibaadate Zanniyy-ul-Qubool Hai Chaahe Mawla Qubool Kare Chaahe Na Kare Magar Durood-o-Salaam Aisa Amal Hai Jo Qat’iyy-ul-Qubool Hai. Idhar Durood Padhne Waale Ne Durood Padha Aur Udhar Isi Lamhe Ise Sharfe Qubooliyyat Bakhsha Jaata Hai. Faasiq-o-Faajir Aur Gunahgaar Ka Nek Amal To Radd Ho Sakta Hai Magar Durood-o-Salaam Hargiz Radd Nahin Hota Kyoo’n Ki Is Ka Aamil Us Kee Apni Zaat Nahin Balki Khuda Kee Zaat Hoti Hai. Isi Li’e Yeh Qat’iyy-ul-Qubool Hai Jaise Namaaz Padhna Us Ka Hukm Hai Us Ka Qaa’im Karna Ham Par Farz Hai Is Li’e Ham Kehte Hain :

إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ۝

          “(Aye Allah!) Ham Teri Hee Ibaadat Karte Hain Aur Ham Tujh Hee Se Madad Chaahte Hain.”(01)

 

Magar Durood Sharif Padhne Ke Muta’alliq Irshaad Farmaaya Gaya :

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا۝

          “Aye Imaan Waalo! Tum (Bhi) Un Par Durood Bheja Karo Aur Khoob Salaam Bheja Karo.”(02)

[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/20_21,

(01) Al-Fātīḥah, 01 : 04,

(02) Al-Aḥzāb, 33 : 56.]

Posted in Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Durood Sharif Ke Fuyooz-o-Barakaat

Durood-o-Salaam Ke Be Shumaar Fuyooz-o-Barakaat Hain Jo Durood Sharif Padne Waalo’n Ko Baargaahe Ilaahin Se Naseeb Hote Hain Jin Me Se Chand Yhe Hain :

01. Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaah Se Ta’alluq Naseeb Hota Hai.

02. Nisbate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hoti Hai.

03. Kathrate Durood-o-Salaam Se Huzoore Aqdas SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ziyaarat Ka Darwaaza Kholta Hai.

04. Kathrat Se Padha Jaane Waala Durood-o-Salaam Khud Tauba Ban Jaata Hai.

05. Kathrat Se Durood-o-Salaam Padhne Se Gunaah Mu’aaf Ho Jaate Hain.

06. Kathrat Se Durood Padhne Waala Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shafaa’at Ka Haque Daar Ban Jaata Hai.

07. Durood Shareef Padhne Waale Ko Aaqa ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Kee Tawajjo Haasil Hoti Hai.

08. Durood Sharif Padhne Waala Jab Tak Durood Sharif Padhta Rehta Hai, Allah Sub’haanahu Wa-Ta’ala Kee Tawajjo Bhi Us Kee Taraf Rehti Hai.

09. Be Shak Durood Bhejna Maut Se Pehle Bande Ko Jannat Me Jaane Kee Khush-Khabari Ka Baa’ith Banta Hai.

10. Durood Sharif Padhne Waale Ke Li’e Zakaat Aur Tahaarat Hai.

11. Tang Dast Aur Muflisi Ke Li’e Durood Bhejna Sadqa Ke Qaa’im Maqaam Hai.

12. Durood Sharif Bhejna Gunaaho’n Kee Maghfirat Ka Baa’ith Banta Hai.

13. Durood Bhejna Roze Mahshar Rasool-ul-Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Qareeb Tar Hone Ka Sabab Hai.

14. Be Shak Durood Bhejna Qiyaamat Kee Haulnaakiyo’n Se Najaat Ka Sabab Banta Hai.

15. Rasool-ul-Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khud Durood-o-Salaam Bhejne Waale Ko Us Ka Jawaab Marhamat Farmaate Hain.

16. Durood Sharif Bhejne Kee Barakat Se Bakheeli Kee Aadat Khatm Ho Jaati Hai.

17. Pul Siraat Par Bande Ke Li’e Ifraate Noor Ka Sabab Durood Sharif Hai.

18. Be Shak Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Bhejne Se Banda Jafa Kee Zad Se Baahar Nikal Jaata Hai.

19. Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durooz Padhna Majaalis Kee Zeenat Ka Sabab Banta Hai.

20. Durood-o-Salaam Kee Majaalis Firishto’n Kee Majaalis Aur Jannat Ke Baaghaat Hain.

[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/35_37.]