Yaad Rakkhein! Ko’i Amal Aur Ibaadat Aisi Nahin Jis Ka Qubool Hona Hatmi Aur Qat’iy Ho Jaise Namaaz, Roza, Hajj, Zakaat, Sadqa-o-Khayraat, Jihaad Wa Deegar A’maale Saalehah Aur Har Ibaadate Zanniyy-ul-Qubool Hai Chaahe Mawla Qubool Kare Chaahe Na Kare Magar Durood-o-Salaam Aisa Amal Hai Jo Qat’iyy-ul-Qubool Hai. Idhar Durood Padhne Waale Ne Durood Padha Aur Udhar Isi Lamhe Ise Sharfe Qubooliyyat Bakhsha Jaata Hai. Faasiq-o-Faajir Aur Gunahgaar Ka Nek Amal To Radd Ho Sakta Hai Magar Durood-o-Salaam Hargiz Radd Nahin Hota Kyoo’n Ki Is Ka Aamil Us Kee Apni Zaat Nahin Balki Khuda Kee Zaat Hoti Hai. Isi Li’e Yeh Qat’iyy-ul-Qubool Hai Jaise Namaaz Padhna Us Ka Hukm Hai Us Ka Qaa’im Karna Ham Par Farz Hai Is Li’e Ham Kehte Hain :
إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
“(Aye Allah!) Ham Teri Hee Ibaadat Karte Hain Aur Ham Tujh Hee Se Madad Chaahte Hain.”(01)
Magar Durood Sharif Padhne Ke Muta’alliq Irshaad Farmaaya Gaya :
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا
“Aye Imaan Waalo! Tum (Bhi) Un Par Durood Bheja Karo Aur Khoob Salaam Bheja Karo.”(02)
–
[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/20_21,
(01) Al-Fātīḥah, 01 : 04,
(02) Al-Aḥzāb, 33 : 56.]