Posted in Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Aik Imaan Afroz Nukta

Irshaade Rabbaani Ke Taht Hamaare Li’e Durood Padhna Farz Qaraar Diya Gaya. Ab Chaahiye To Yeh Thaa Ki Ham Jawaab Me Yoo’n Kehte :

إنا نصلي عليك يا رسول الله

          (Ya RasoolAllah! Be Shak Ham Aap Par Durood Bhejte Hain)

Yaa Yoo’n Kehte :

نحن نصلي عليك يا رسول الله

          “(Ya RasoolAllah! Ham Aap Par Durood Bhejte Hain)

 

Magar Is Kee Bajaa’e Hamein Durood Padhne Ka Tareeqa Yoo’n Sikhaaya Gaya Hai Ki :

اللهم صلي على محمد

          “Aye Allah Too Muhammad (SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Par Durood Bhej.

 

Haala’n Ki Us Ne Hamein Hukm Diya Tha Ki Aye Imaan Waalo’n! صَلُّوا عَلَيْهِ (Tum Durood Bhejo) Bajaa’e Is Ke Ki Ham Kehte Ki Ham Durood Bhejte Hain. Ham Ne Palat Kar Allah Ta’ala Hee Se Arz Kiya Mawla Too Hee Bhej. Is Me Hikmat Yeh Hai Ki Allah Ta’ala Farmaata Hai Ki Bande Too Jitna Bhi Nek Aur Saaleh Ho Jaa’e Phir Bhi Aib, Nuqs Aur Kamzori Se Paak Nahin Ho Sakta Jab Ki Mera Mahboob Taahir-o-Mutahhar Hai. Lehaaza Too Hee Apne Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Apni Shaan Ke Laa’iq Hamaari Taraf Se Durood Bhej De. Allah Ta’ala Farmaata Hai Ki Mein Apne Durood Ko To Apne Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Apni Shaan Ke Mutaabiq Bhejta Hee Hoo’n Tumhaare Hisse Ka Bhi Mein Hee Bhejoonga. Kyoo’n Ki Mere Siwa Mere Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Na Ko’i Bhej Sakta Hai Aur Na Hee Bhejne Ka Haque Ada Kar Sakta Hai. Mein Apna Bhi Bhejoonga Aur Tumhaara Bhi Aur Jo Mujhe Yeh Darkhaast Karega Us Ke Naama-E-A’maal Me Bhi Durood Likkha Jaa’ega. Yeh Is Li’e Ki Hamein Maqaame Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kaa Na Idraak Hai Aur Na Hee Ma’refat, Ba-Qaule Shaa’ir :

Agar Khaamosh Rahoo’n  Mein To Too Hee Hai Sab Kuchh
Jo   Kuchh   Kaha    To    Tera    Husn    Ho   Gaya   Mahdood


[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/21_23.]