Posted in Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Firishto’n Ko Durood Me Saath Milaane Ka Sabab

Ab Sawaal Paida Hota Hai Ki Jab Allah Ta’ala Khud Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Bhejta Hai To Us Kee Kya Zaroorat Hai Ki Firishto’n Ko Bhi Saath Milaa’e Kya Us Ka Apna Durood Bhejna Kaafi Nahin Hai?

 

Is Sawaal Ka Jawaab Imaam Raazi Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh ‘At-Tafsīr Al-Kabīr, 25/228.’ Me Tehreer Karte Hain Ki Jin Par Baari Ta’ala Har Waqt Durood Bhejta Rehta Hai Unhein Kisi Aur Kee Kya Mohtaaji Hai. Woh Firishto’n Ko Is Li’e Saath Milaata Hai Taa Ki Firishto’n Ko Bhi Aisa Karne Se Sharf-o-Izzat Mile. Jab Allah Ta’ala Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Bhejta Hai To Aaqa ‘Alayh-is-Salam Ko Izzat Milti Hai Magar Jab Firishte Aur Makhlooqaat Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood-o-Salaam Bhejte Hain To Us Se Durood Bhejne Waalo’n Ko Izzat Milti Hai Aur Un Kee Apni Shaan Buland Hoti Hai. Hadithe Mubaaraka Me Hai Ki Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya :

من صلى علي من امتي صلاة مخلصا من قلبه صلي الله عليه بها عشر صلوات ورفعه بها عشر درجات، وكتب له بها عشر حسنات ومحى عنه عشر سيئات.

                   “Meri Ummat Me Se Jo Bhi Khuloos Niyyat Se Mujh Par Aik Daf’a Durood Bhejta Hai Allah Ta’ala Us Ke Badle Me Das Martaba Us Par (Ba-Soorate Rahmat) Durood Bhejta Hai Aur Us Ke Das Darajaat Buland Farma Deta Hai Aur Das Nekiya’n Us Ke Haque Me Likh Deta Hai Aur Us Ke Das Gunaah Mu’aaf Kar Deta Hai.”

[Nasā’ ī, A-Sunan Al-Kubrá, 06/21, Raqam-9892.]

Ya’ni Us Kee Apni Bakhshish Hoti Hai, Us Ke Li’e Jannat Ka Raasta Hamwaar Hota Hai Aur Woh Huzoor ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Kee Shafaa’at Ka Haque Daar Thehraata Hai.

 

Doosri Hadith Me Aaqa ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Ne Farmaaya :

إن أولى الناس بي أكثرهم علي صلاة.

                   “Qiyaamat Ke Roz Logo’n Me Sab Se Ziyaada Mere Nazdeek Woh Shakhs Hoga Jo Mujh Par Sab Se Ziyaada Durood Bhejne Waala Hoga.”

Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Ko’i Aisa Farmaan Nahin Milta Ki Ummatiyo’n Ke Durood-o-Salaam Se Meri Izzat-o-Takreem Buland Hoti Hai. Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Faa’ida Sirf Allah Ta’ala Ke Durood Ka Hota Hai. Allah Ta’ala Ka Durood Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Har Aik Se Be Niyaaz Kar Deta Hai.

 

Isi Tarah Momino’n Ko Hukm Diya Gaya Ki :

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا۝

          “Aye Imaan Waalo! Tum (Bhi) Un Par Durood Bheja Karo Aur Khoob Salaam Bheja Karo.”

[Al-Aḥzāb, 33 : 56.]

Imam Fakhr-ud-Dīn Rāzi Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ne Farmaaya Hai Ki Momino’n Ko Allah Ta’ala Ne Is Li’e Aaqa ‘Alayh-is-Salam Par Durood Bhejne Me Shaamil Kiya Taa Ki Momin Bhi Shafqat-o-Rahmat Ke Mustahiq Thehrein.

[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/18_20.]