Aik Aur Maqaam Par Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ummat Ke Ghulaamo’n Par Durood Bhejne Ka Zikr Aaya Hai. Jab Aayate Kareema : إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ Naazil Hu’i To Sahaba-E-Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Aapas Me Guftagu Karte Hu’e Kaha Ki Allah Ta’ala Jo Bhi Ne’mat Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ata Karta Hai Us Me Se Hamaare Paikare Jood-o-Sakha Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Az Raahe Lutf-o-Karaamat Ke Li’e Hissa Zaroor Ata Karte Hain. Yeh Aayate Mubaaraka Jis Me Allah Aur Us Ke Firishte Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Bhejte Hain Itni Azeem Ne’mat-o-Fazeelat Hai Jis Me Se Hamein Bhi Kuchh Na Kuchh Zaroor Ata Hoga. Chunaanche Sayyidina Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Is Silsile Me Baargaahe Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Kya Is Karam Aur Khaas Ne’mat Se Hamein Bhi Hissa Ata Hoga? Is Par Allah Tabaarak Wa-Ta’ala Kee Taraf Se Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Ne Haazir Ho Kar Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Khush-Khabari Dete Hu’e Mahabbat Bhara Paighaam Pahonchaaya :
هُوَ الَّذِي يُصَلِّي عَلَيْكُمْ وَمَلَائِكَتُهُ لِيُخْرِجَكُم مِّنَ الظُّلُمَاتِ إِلَى النُّورِ وَكَانَ بِالْمُؤْمِنِينَ رَحِيمًا
“Wohi Hai Jo Tum Par Durood Bhejta Hai Aur Us Ke Firishte Bhi, Taa Ki Tumhein Andhero’n Se Nikaal Kar Noor Kee Taraf Le Jaa’e Aur Momino’n Par Badi Rehmat Farmaane Waala Hai.”
–
[Al-Aḥzāb, 33 : 43.]
Is Aayat Mubaaraka Se Yeh Baat Bhi Saamne Aati Hai Ki Jaha’an Durood Padha Jaa’e Wahaa’n Noor Paida Hota Hai Pas Jahaa’n Noor Paida Hota Hai Wahaa’n Andhera Khatm Ho Jaata Hai. Lehaaza Durood-o-Salaam Padhne Waale Ahle Noor Hote Hain Aur Durood Na Padhne Waale Ahle Zulmat Hote Hain. Chunaanche Madhkoora Aayat Me Ummatiyo’n Ke Li’e Bhi Khush-Khabari Hai. Awwal-ul-Zikr Aatyate Mubaaraka Aur Is Aayat e Mubaaraka Ke Usloob Bayaan Me Aik Waazeh Farq Hai. Is Aayat Me Jo Fe’l Hai Us Me Seegha-E-Waahid Iste’maal Huwa Hai. Allah Ta’ala Ne يُصَلِّي Ke Fe’l Ko Apne Saath Khaas Kar Liya Hai. Waao Atf Laga Kar Firishto’n Ka Alag Zikr Kiya Hai. Ya’ni Jab Momino’n Par Durood Bhejne Ka Zikr Kiya To Farmaaya : يُصَلِّي عَلَيْكُمْ وَمَلَائِكَتُهُ Ya’ni Mein Alag Bhejta Hoo’n Aur Firishte Alag Bhejte Hain Phir Apne Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Bheje Jaane Waale Durood Me Firishto’n Ko Farmaaya Aao Mil Kar Un Par Durood Bhejte Hain To Ma’loom Huwa Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Inferaadi Aur Ijtemaa’iy Taur Par Bhi Durood-o-Salaam Padhna Allah Ta’ala Aur Firishto’n Kee Sunnat Hai.
–
[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/17_18.]