Posted in Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Durood Sharif Ke Fuyooz-o-Barakaat

Durood-o-Salaam Ke Be Shumaar Fuyooz-o-Barakaat Hain Jo Durood Sharif Padne Waalo’n Ko Baargaahe Ilaahin Se Naseeb Hote Hain Jin Me Se Chand Yhe Hain :

01. Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaah Se Ta’alluq Naseeb Hota Hai.

02. Nisbate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hoti Hai.

03. Kathrate Durood-o-Salaam Se Huzoore Aqdas SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ziyaarat Ka Darwaaza Kholta Hai.

04. Kathrat Se Padha Jaane Waala Durood-o-Salaam Khud Tauba Ban Jaata Hai.

05. Kathrat Se Durood-o-Salaam Padhne Se Gunaah Mu’aaf Ho Jaate Hain.

06. Kathrat Se Durood Padhne Waala Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shafaa’at Ka Haque Daar Ban Jaata Hai.

07. Durood Shareef Padhne Waale Ko Aaqa ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Kee Tawajjo Haasil Hoti Hai.

08. Durood Sharif Padhne Waala Jab Tak Durood Sharif Padhta Rehta Hai, Allah Sub’haanahu Wa-Ta’ala Kee Tawajjo Bhi Us Kee Taraf Rehti Hai.

09. Be Shak Durood Bhejna Maut Se Pehle Bande Ko Jannat Me Jaane Kee Khush-Khabari Ka Baa’ith Banta Hai.

10. Durood Sharif Padhne Waale Ke Li’e Zakaat Aur Tahaarat Hai.

11. Tang Dast Aur Muflisi Ke Li’e Durood Bhejna Sadqa Ke Qaa’im Maqaam Hai.

12. Durood Sharif Bhejna Gunaaho’n Kee Maghfirat Ka Baa’ith Banta Hai.

13. Durood Bhejna Roze Mahshar Rasool-ul-Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Qareeb Tar Hone Ka Sabab Hai.

14. Be Shak Durood Bhejna Qiyaamat Kee Haulnaakiyo’n Se Najaat Ka Sabab Banta Hai.

15. Rasool-ul-Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khud Durood-o-Salaam Bhejne Waale Ko Us Ka Jawaab Marhamat Farmaate Hain.

16. Durood Sharif Bhejne Kee Barakat Se Bakheeli Kee Aadat Khatm Ho Jaati Hai.

17. Pul Siraat Par Bande Ke Li’e Ifraate Noor Ka Sabab Durood Sharif Hai.

18. Be Shak Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Bhejne Se Banda Jafa Kee Zad Se Baahar Nikal Jaata Hai.

19. Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durooz Padhna Majaalis Kee Zeenat Ka Sabab Banta Hai.

20. Durood-o-Salaam Kee Majaalis Firishto’n Kee Majaalis Aur Jannat Ke Baaghaat Hain.

[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/35_37.]