1. Mawāhib Al-Laduniyyah Me Imam Qasṭallānī Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ne Riwaayat Kiya Hai Ki Qiyaamat Ke Din Kisi Momin Kee Nikiya’n Kam Ho Jaa’engi Aur Gunaaho’n Ka Palda Bhaari Ho Jaa’ega To Woh Momin Pareshaan Khada Hoga. Achaanak Aaqa ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Meezaan Par Tashreef La’enge Aur Chupke Se Apne Paas Se Band Parcha Mubaarak Nikaal Kar Us Ke Palde Me Rakh Denge. Jise Rakhte Hee Us Kee Nikiyo’n Ka Palda Wazni Ho Jaa’ega. Us Shakhs Ko Pata Hee Nahin Chalega Ki Yeh Kaun They Jo Us Ka Beda Paar Kar Ga’e. Woh Poochhega Aap Kaun Hain? Itne Sakhi, Itne Haseen-o-Jameel Aap Ne Mujh Par Karam Farma Kar Mujhe Jahannam Ka Indhan Ban Ne Se Bacha Liya Aur Woh Kiya Parcha Tha Jo Aap Ne Mere A’maal Me Rakkha? Aaqa ‘Alayh-is-Salam Ka Irshaad Hoga : Mein Tumhaara Nabi Hoo’n Aur Yeh Parcha Durood Hai Jo Tum Mujh Par Bheja Karte They.
2. Durood Sharif Par Likkhi Jaane Waali Azeem Kitaab “Dalā’il-ul-Khayrāt” Ke Mu’allif Imām Jazūlī Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Hain Jin Ka Mazaare Aqdas Marraakish Me Hai. Woh Is Kitaab Ke Taalif Ka Sabab Bayaan Karte Hu’e Likhte Hain Ki Aap Aik Safar Me They Dauraane Safar Namaaz Waqt Ho Gaya Aap Wuzoo Kar Ne Ke Li’e Aik Kunwe’n Par Ga’e, Jis Par Paani Nikaalne Ke Li’e Ko’i Dol Tha Aur Na Hee Ko’i Rassi. Paani Neeche Tha Usi Soch Me They Ki Ab Paani Kaise Nikaala Jaa’e. Achaanak Saath Hee Aik Ghar Kee Khidki Se Aik Bacchi Dekh Rahi Thi Jo Samajh Ga’i Ki Buzurg Kis Li’e Pareshaan Khade Hain Inhein Paani Kee Zaroorat Hai. Chunaanche Woh Neeche Utri Aur Kunwe’n Ke Kinaare Pahunch Kar Us Kunwe’n Me Apna Lu’aab Phaink Diya Usi Lamhe Kunwe’n Ka Paani Uchhal Kar Kinaare Tak Aa Gaya Aur Ubalne Laga. Imaam Jazooli Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ne Wuzoo Kar Liya To Bacchi Se Us Karaamat Ka Sabab Poochha. Us Ne Bataaya Ki Yeh Sab Kuchh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Zaate Paak Par Kathrat Se Durood Bhejne KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Faiz Hai. Imām Jazūlī Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ne Usi Waqt Azm Kar Liya Ki Mein Apni Zindagi Me Huzoore Aqdas SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Duroode Paak Kee Aik Azeem Kitaab Murattab Karunga Aur ‘Dalā’il-ul-Khayrāt’ Jaisi Azeem Tasneef Wujood Me Aa Ga’i.”(01)
3. Imām Ibn Ḥajar Makkī Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Bayaan Karte Hain Ki Aik Saaleh Shakhs Ne Kisi Ko Khaab Me Dekha Aur Us Se Poochha Ki Marne Ke Ba’d Tera Kya Haal Huwa Us Ne Bataaya Ki Allah Sub’haanahu Wa-Ta’ala Ne Meri Bakhshish Farma Kar Jannat Me Bhej Diya. Saaleh Shakhs Ne Is Sulook Ka Sabab Poochha To Us Ne Bataaya Ki Jab Firishto’n Ne Mere A’maal Tole, Mere Gunaaho’n Ko Shumaar Kiya Aur Padhe Hu’e Durood Paak Bhi Shumaar Ki’e To Durood Gunaaho’n Se Badh Ga’e Jab Ki Baaqi Sab Nik A’maal Se Mere Gunaah Ziyaada They. Joo’nhi Duroode Paak Ka Shumaar Badh Gaya To Allah Paak Ne Firishto’n Ko Hukm Diya Ki Is Ka Hisaab Kitaab Khatm Kar Do Chu’n Ki Us Ke Durood Badh Ga’e Hain Is Li’e Us Ko Seedha Jannat Me Le Jaao.”(02)
4. Imām Qasṭallānī Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Apni Kitaab ‘Al-Mawāhib Al-Laduniyyah’ (01/40.) Me Farmaate Hain Ki Jab Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Takhleeq Ke Ba’d Hazrat Hawwa ‘Alayha-‘s-Salam Kee Paidaa’ish Ho Ga’i To Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Ne Un Ka Qurb Chaaha. Allah Ta’ala Ne Firishto’n Ko Hukm Diya Ki Pehle Un Ka Nikaah Hoga Aur Mahr Ke Taur Par Dono’n Ko Hukm Huwa Ki Mil Kar Bees Bees Martaba Mere Mahboob Khatm-ul-Mursaleen SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Padhe’n. (Aik Riwaayat Me Teen Teen Martaba Bayaan Huwa Hai.) Chunaanche Unhone Bees Martaba Yaa Teen Martaba Durood Padha Aur Hazrat Hawwa Un Par Halaal Ho Ga’i’n.”(03)
5. Imām Sharf-ud-Dīn Būsīrī Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Aik Bohat Bade Taajir Aur Aalim They, Woh Arabi Adab Ke Bohat Bade Faazil Aur Shaa’ir Bhi They. Unhein Achaanak Faalij Ho Gaya. Bistar Par Pade Pade Unhein Khayaal Aaya Ki Baargaahe Sarware Kawnayn SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Ko’i Aisa Dard Bhara Qaseedah Likkhu’n Jo Durood-o-Salaam Se Ma’moor Ho. Chunaanche Mahabbat-o-Ishqe Risaalat Ma’aab SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Doob Kar 166 Ash’aar Par Mushtamil Qaseedah Burdah Sharif Jaisi Shohrate Dawaam Haasil Kar Ne Waali Tasneef Takhleeq Kar Daali. Raat Ko Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khaab Me Tashreef Laa’e Aur Imam Boseri Rahimahullahu Ta’ala Ko Farmaaya : Būsīrī Yeh Qaseedah Sunaao, Arz Kiya : Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Mein Bol Nahin Sakta Faalij Zada Hoo’n. Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apna Daste Mubaarak Imām Būsīrī Rahimahullahu Ta’ala Ke Badan Par Phera Jis Se Unhein Shifa Haasil Ho Ga’i. Pas Imām Būsīrī Rahimahullahu Ta’ala Ne Qaseedah Sunaaya. Qaseedah Sun Kar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kamaale Masarrat-o-Khushi Se Daa’ein Baa’ein Jhoom Rahe They. Aik Riwaayat Yeh Bhi Hai Ki Haalate Khaab Me Imām Būsīrī Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ko Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Chaadar(Burdah) Ata Farmaa’i. Isi Waj’h Se Is Ka Naam Qaseedah Burdah Pad Gaya. Imām Būsīrī Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Sub’h Uthey To Faalij Khatm Ho Chuka Tha. Ghar Se Baahar Nikle, Gali Me Unhein Aik Majdhoob Shaykh Aboo Al-Raja’ Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Mile Aur Imām Būsīrī Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ko Farmaaya Raat Waala Woh Qaseedah Mujhe Bhi Sunaao. Imām Būsīrī Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Yeh Sun Kar Hairat Zada Ho Ga’e Aur Poochha Aap Ko Yeh Kaise Ma’loom Huwa? Unhone Kaha : Jab Use Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sun Kar Khuhsi Se Jhoom Rahe They Mein Bhi Door Khada Sun Raha Tha.”(04)
–
[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/,31_35,
(01) Jazūlī, Dalā’il-ul-Khayrāt,/12,
(02) Fayrūzābādī, Al-Ṣilāt Wa-Al-Bushar Fī Al-Ṣalāt ‘Alá Khayr Al-Bashar,/161,
Ibn Ḥajar Makkī, Al-Durr Al-Manḍūd Fī Al-Ṣalāt Wa-Al-Salām ‘Alá Ṣāḥib Al-Maqām Al-Maḥmūd,/183,
(03) Ṣāwī, Hāshiyah ‘Alá Tafsīr Al-Jalālayn, 01/52,
(04) Kharbūtī, ‘Aṣīdat Al-Shuhdah Sharḥ Qaṣīdah Al-Burdah, 03/05.]