Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 17

          “Hazrat ‘Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwaayat Hai. Unhone Farmaya Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Mere Paas Tashreef Laa’e Aur Mere Paas Do Ladkiya’n Jange Bu’aath Ke Taraane Gaa Rahi Thi’n. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Bistar Par Aaraam Farma Ho Ga’e Aur Un Se Munh Pher Liya. Phir Hazrat Aboo Bakr رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Tashrif Le Aae Aur Unhone Mujhe Daanta Aur Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Paas Shaytaani Saaz! Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Aboo Bakr Kee Jaanib Mutawajjeh Ho Kar Farmaya : (Aboo Bakr) Unhe’n Chhod Do. (Hazrat ‘Aaishah Farmati Hain Ki) Jab Hazrat Aboo Bakr Kisi Aur Taraf Mutawajjeh Hu’e To Mein Ne Ladkiyo’n Ko Nikal Jaane Ka Ishaara Kiya. Woh Habashiyo’n Kee ‘Eid Ka Din Tha Jo Dhaalo’n Aur Barchhiyo’n Se Khelte. Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se ‘Arz Kiya Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Khud Hee Farmaya : (Ae ‘Aaishah! Kya) Tum Dekhna Chaahti Ho? Mein Ne ‘Arz Kiya :Ji Haa’n. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujhe Apne Pichhe Khada Kar Liya Aur Mera Rukhsaar Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Rukhsaar Mubaarak Par Tha Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Farmaate Rahe :Ae Banu Arfidah! Aur Dikhaao. Yaha’n Tak Ki Jab Mein Ukta Ga’i To Mujh Se Farmaya : Bas! To Mein Ne ‘Arz Kiya : Ji (Ya RasoolAllah!). To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Jaa’o.”

Yeh Hadith Muttafaqun ‘Alayh Hai.

 

“Hafiz ‘Asqalani “Fat’h-ul-Bari) Me Bayaan Karte Hain Ki Hazrat ‘Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain : “Woh ‘Eid Ka Din Tha.” Pas Is Se Zaahir Hota Hai Ki Yeh Hadith Bhi Pehli Hadith Kee Tarah Mawsool Hai Jis Me Hai Ki “Us Din Habasha Waale Masjid Me Raqs Karte” Aur Imam Zuhri Kee Mazkoora Riwaayat Me Hai : “Ahle Habasha Masjid Me Khelte” Aur Unho’n (Imam Zuhri) Ne Ek Riwaayat – Jo Imam Muslim Se Muttasil Hai – Me Lafz بحرابهم  (Apne Jangi Saaz-o Saamaan Ke Saath) Kaa Izzafa Kiya Hai Aur Imam Muslim Kee Riwaayat Jo Ki Hazrat Hisham Kee Apne Waalid Se Hai – Me Yeh Alfaaz Aate Hain : جَاءَ حبَشٌ يَلْعَبُوْنَ فِيْ الْمَسْجِدِ Ki Habasha Ke Log Masjid Me Khelne Ke Liye Aaye, Imam Muhibb-ud-Deen Tabari Ne Bayan Kiya Ki Yeh Siyaaq Batlaata Hai Ki Har ‘Eid Me Un Kee Yeh ‘Aadat Thi Ki Woh Masjid Me (Apne Saamaane Harb Ke Saath) Khelte They. Imam Ibn Hibban Kee Riwaayat Me Hai Ki Jab Habasha Ka Wafd Aaya, To Woh Masjid Me (Apne Saamaane Harb Ke Saath) Raqs Kar Ne Lage, Aur Yeh Cheez Batlaati Hai Ki Unhe’n Is Kaam Kee Ijaazat Waha’n Aate Waqt Mili Thi. Aur In Dono’n Cheezo’n Me Mughaa’irat Nahin Hai Kyoo’n Ki Mumkin Hai Un Ka Waha’n Aana ‘Eid Ke Roz Ho, Aur ‘Eido’n Me Khelna Un Kee ‘Aadat Ho, Pas Unhone Aisa Apni ‘Aadat Ke Mutaabiq Kiya Ho, Phir Woh Har ‘Eid Ko Aisa Kar Ne Lage Ho’n. Is Cheez Kee Taa’iyd Woh Riwaayat Bhi Karti Hai, Jise Imam Aboo Dawud Ne Hazrat Anas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kiya Ki Unhone Farmaya : Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Madinah Munawwarah Tashrif Laa’e, To Ahle Habasha Ne Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Aamad Kee Khushi Me Apne Saamaane Harb Ke Saath Raqs Kiya Aur Us Me Koi Shak Nahin Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Madinah Munawwarah Tashreef Aawri Ka Din Un Ke Nazdeek (Tamam Khushiyo’n Aur) ‘Eid Ke Dino’n Se Badh Kar Tha.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/323, Raqm-907,

Muslim Fi As-Sahih, 02/609, Raqm-892,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/247, Raqm-4829,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 10/218,

Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 02/443,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/51_55, Raqm-17.]