Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 17

          “Hazrat ‘Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwaayat Hai. Unhone Farmaya Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Mere Paas Tashreef Laa’e Aur Mere Paas Do Ladkiya’n Jange Bu’aath Ke Taraane Gaa Rahi Thi’n. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Bistar Par Aaraam Farma Ho Ga’e Aur Un Se Munh Pher Liya. Phir Hazrat Aboo Bakr رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Tashrif Le Aae Aur Unhone Mujhe Daanta Aur Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Paas Shaytaani Saaz! Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Aboo Bakr Kee Jaanib Mutawajjeh Ho Kar Farmaya : (Aboo Bakr) Unhe’n Chhod Do. (Hazrat ‘Aaishah Farmati Hain Ki) Jab Hazrat Aboo Bakr Kisi Aur Taraf Mutawajjeh Hu’e To Mein Ne Ladkiyo’n Ko Nikal Jaane Ka Ishaara Kiya. Woh Habashiyo’n Kee ‘Eid Ka Din Tha Jo Dhaalo’n Aur Barchhiyo’n Se Khelte. Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se ‘Arz Kiya Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Khud Hee Farmaya : (Ae ‘Aaishah! Kya) Tum Dekhna Chaahti Ho? Mein Ne ‘Arz Kiya :Ji Haa’n. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujhe Apne Pichhe Khada Kar Liya Aur Mera Rukhsaar Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Rukhsaar Mubaarak Par Tha Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Farmaate Rahe :Ae Banu Arfidah! Aur Dikhaao. Yaha’n Tak Ki Jab Mein Ukta Ga’i To Mujh Se Farmaya : Bas! To Mein Ne ‘Arz Kiya : Ji (Ya RasoolAllah!). To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Jaa’o.”

Yeh Hadith Muttafaqun ‘Alayh Hai.

 

“Hafiz ‘Asqalani “Fat’h-ul-Bari) Me Bayaan Karte Hain Ki Hazrat ‘Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain : “Woh ‘Eid Ka Din Tha.” Pas Is Se Zaahir Hota Hai Ki Yeh Hadith Bhi Pehli Hadith Kee Tarah Mawsool Hai Jis Me Hai Ki “Us Din Habasha Waale Masjid Me Raqs Karte” Aur Imam Zuhri Kee Mazkoora Riwaayat Me Hai : “Ahle Habasha Masjid Me Khelte” Aur Unho’n (Imam Zuhri) Ne Ek Riwaayat – Jo Imam Muslim Se Muttasil Hai – Me Lafz بحرابهم  (Apne Jangi Saaz-o Saamaan Ke Saath) Kaa Izzafa Kiya Hai Aur Imam Muslim Kee Riwaayat Jo Ki Hazrat Hisham Kee Apne Waalid Se Hai – Me Yeh Alfaaz Aate Hain : جَاءَ حبَشٌ يَلْعَبُوْنَ فِيْ الْمَسْجِدِ Ki Habasha Ke Log Masjid Me Khelne Ke Liye Aaye, Imam Muhibb-ud-Deen Tabari Ne Bayan Kiya Ki Yeh Siyaaq Batlaata Hai Ki Har ‘Eid Me Un Kee Yeh ‘Aadat Thi Ki Woh Masjid Me (Apne Saamaane Harb Ke Saath) Khelte They. Imam Ibn Hibban Kee Riwaayat Me Hai Ki Jab Habasha Ka Wafd Aaya, To Woh Masjid Me (Apne Saamaane Harb Ke Saath) Raqs Kar Ne Lage, Aur Yeh Cheez Batlaati Hai Ki Unhe’n Is Kaam Kee Ijaazat Waha’n Aate Waqt Mili Thi. Aur In Dono’n Cheezo’n Me Mughaa’irat Nahin Hai Kyoo’n Ki Mumkin Hai Un Ka Waha’n Aana ‘Eid Ke Roz Ho, Aur ‘Eido’n Me Khelna Un Kee ‘Aadat Ho, Pas Unhone Aisa Apni ‘Aadat Ke Mutaabiq Kiya Ho, Phir Woh Har ‘Eid Ko Aisa Kar Ne Lage Ho’n. Is Cheez Kee Taa’iyd Woh Riwaayat Bhi Karti Hai, Jise Imam Aboo Dawud Ne Hazrat Anas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kiya Ki Unhone Farmaya : Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Madinah Munawwarah Tashrif Laa’e, To Ahle Habasha Ne Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Aamad Kee Khushi Me Apne Saamaane Harb Ke Saath Raqs Kiya Aur Us Me Koi Shak Nahin Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Madinah Munawwarah Tashreef Aawri Ka Din Un Ke Nazdeek (Tamam Khushiyo’n Aur) ‘Eid Ke Dino’n Se Badh Kar Tha.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/323, Raqm-907,

Muslim Fi As-Sahih, 02/609, Raqm-892,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/247, Raqm-4829,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 10/218,

Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 02/443,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/51_55, Raqm-17.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 18

          “Hazrat Anas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُNe Bayaan Farmaya : Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمMadinah Munawwarah Tashreef Laa’e To Ahle Habasha Ne Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Aamad Kee Khushi Manaate Hu’e Apne Aalaate Harb Ke Saath Khoob Khel Kood (Aur Raqs) Kiya.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Aboo Dawud Ne Riwayat Kiya Hai. Aur Is Kee Isnaad Sahih Hai, Is Ke Ilaawa Imam Ahmad Aur Bukhari Ne At-Tarikh Al-Saghir Me Aur Aboo Ya’la Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/161, Raqm-12670,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/281, Raqm-4923,

Bukhari Fi At-Tarikh Al-Saghir, 01/08, Raqm-15,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/371, Raqm-1239,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/177, Raqm-3459,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/55, Raqm-18.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 19

          “Hazrat ‘Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayan Karti Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Baahar Tashreef Laa’e Dar Hala’n Ki Habashi Khel Rahe They, Mein Ne Apne Hujra Ke Darwaza Se Baahar Jhaanka To Rasool Allahصَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Mere Qareeb Hu’e, Pas Mein Ne Apna Haath Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Mubaarak Kandhe Par Rakkha Aur (Un Habashiyo’n Ko Khelte Hu’e) Dekhne Lagi, To Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Banaate Arfidah. Pas Mein Unhe’n Dekhti Rahi Dar Hala’n Ki Woh Khel Aur Naach Rahe They (Aur Ek Riwayat Me Hai : Woh Raqs Kar Rahe They,) Yaha’n Tak Ki Mein Ne Khud Hee Dekhna Khatm Kar Diya (Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujhe Man’a Nahin Farmaya).”

Is Hadith Ko Imam Nasa’i Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai. ‘Asqalani Ne Farmaya : Woh Khel Rahe They Aur Raqs Kar Rahe They. Zufn Ka Matlab ‘Raqs Karna’ Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/309, Raqm-8958,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/121, Raqm-9303,

‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir Fi Takhrij Ahadith Al-Rafi’iy Al-Kabir, 04/202, Raqm-2125,

Ibn Mulaqqin Fi Khulasat-ul-Badr-ul-Munir Fi Takhrij-il-Ahadith Wa Al-Athar Al-Waqi’ah Fi Ash-Sharh Al-Kabir, 02/443, Raqm-2917,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/56_57, Raqm-19.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 20

          “Hazrat ‘Ubaydullah Bin ‘Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayan Karte Hain Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Madinah Munawwarah Me Daakhil Hu’e……To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Logo’n Aur ‘Aurto’n Ko (Apne Istiqbaal Ke Liye) Makaano’n Kee Chhato’n Par Paaya Jab Ki (Madinah Munawwarah Ke) Bacche Aur Bacchiya’n Yeh Padh Rahe They :

طَلَعَ الْبَدْرُعَلَيْنَا

مِنْ ثَنِيَّاتِ الْوَدَاعِ

وَجَبَ الْشُّكْرُ عَلَيْنَا

ِمَا دَعَا لِلّٰهِ دَاع

          “Hum Par Wada’ Kee Ghaatiyo’n Se Chaudhwi’n Ka Chaand (Ya’ni Chehra-e Wa’d-Duha صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Tuloo’ Ho Gaya, Aur Hum Par Us Waqt Tak Shukr Ada Karte Rehna Waajib Ho Gaya Jab Tak Koi Allah Ta’ala Kee Taraf Da’wat Dene Waala Da’wat De Raha Hai (Ya’ni Jab Tak Koi Bhi Khuda Ka Naam Lene Waala Baaqi Rahega).”

Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Tashreef Aawri Ka Jashn Manaane Kee Khaatir Habasha Ke Log Apne Aalaate Harb Ke Saath Raqs Karte Rahe.

Is Hadith Ko Imam Ibn Hibban Ne “Al-Thiqat” Me, Ibn ‘Abd-il-Barr, ‘Asqalani Aur Muhibb Tabari Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ibn Hibban Fi Al-Thiqa, 01/131,

Ibn Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 14/82,

‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 07/261, 08/129,

‘Ayni Fi ‘Umdat-ul-Qari, 17/60,

Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 01/480,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/57_58, Raqm-20.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 21

          “Hazrat Anas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Ahle Habasha Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Saamne (Apne Aalaate Harb Ke Saath) Naach Rahe Aur Raqs Kar Rahe They Aur Yeh Kehte  Jaate They : مُحَمَّدٌ عَبْدٌ صَالِحٌ ﴾Muhammad صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم (Allah Ta’ala Ke) Barguzida Bande Hain﴿. Pas Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Daryaaft Farmaya : Yeh Kya Keh Rahe Hain? Sahaba-e Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْنَ Ne ‘Arz Kiya : Yeh Keh Rahe Hain : مُحَمَّدٌ عَبْدٌ صَالِحٌ ﴾Muhammad صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم (Allah Ta’ala Ke) Barguzida Bande Hain﴿.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Maqdisi Ne Riwaayat Kiya Hai, Aur Is Ke Sanad Sahih Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/152, Raqm-12562,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 05/60, Raqm-1680,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/59, Raqm-21.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 22

          “Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Ahle Habasha Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Saamne Raqs Kar Rahe They Aur (Apni Zabaan-o Lehje Me) Kuchh Keh Rahe They Jis Ka Ma’na-o Mafhoom Waazeh Nahin Tha, To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Daryaaft Farmaya : Yeh Kya Keh Rahe Hain? Logo’n Ne ‘Arz Kiya :مُحَمَّدٌ عَبْدٌ صَالِحٌ ﴾Muhammad صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم (Allah Ta’ala Ke) Barguzida Bande Hain﴿.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Hibban Aur Maqdisi Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/179, Raqm-5870,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 05/60, Raqm-1681,

‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 02/444,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/493, Raqm-2012,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/59_ 60, Raqm-22.]