“Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Ahle Habasha Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Saamne Raqs Kar Rahe They Aur (Apni Zabaan-o Lehje Me) Kuchh Keh Rahe They Jis Ka Ma’na-o Mafhoom Waazeh Nahin Tha, To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Daryaaft Farmaya : Yeh Kya Keh Rahe Hain? Logo’n Ne ‘Arz Kiya :مُحَمَّدٌ عَبْدٌ صَالِحٌ ﴾Muhammad صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم (Allah Ta’ala Ke) Barguzida Bande Hain﴿.”
Is Hadith Ko Imam Ibn Hibban Aur Maqdisi Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/179, Raqm-5870,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 05/60, Raqm-1681,
‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 02/444,
Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/493, Raqm-2012,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/59_ 60, Raqm-22.]