“Hazrat Anas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Ahle Habasha Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Saamne (Apne Aalaate Harb Ke Saath) Naach Rahe Aur Raqs Kar Rahe They Aur Yeh Kehte Jaate They : مُحَمَّدٌ عَبْدٌ صَالِحٌ ﴾Muhammad صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم (Allah Ta’ala Ke) Barguzida Bande Hain﴿. Pas Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Daryaaft Farmaya : Yeh Kya Keh Rahe Hain? Sahaba-e Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْنَ Ne ‘Arz Kiya : Yeh Keh Rahe Hain : مُحَمَّدٌ عَبْدٌ صَالِحٌ ﴾Muhammad صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم (Allah Ta’ala Ke) Barguzida Bande Hain﴿.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Maqdisi Ne Riwaayat Kiya Hai, Aur Is Ke Sanad Sahih Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/152, Raqm-12562,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 05/60, Raqm-1680,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/59, Raqm-21.]