“Hazrat ‘Ubaydullah Bin ‘Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayan Karte Hain Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Madinah Munawwarah Me Daakhil Hu’e……To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Logo’n Aur ‘Aurto’n Ko (Apne Istiqbaal Ke Liye) Makaano’n Kee Chhato’n Par Paaya Jab Ki (Madinah Munawwarah Ke) Bacche Aur Bacchiya’n Yeh Padh Rahe They :
طَلَعَ الْبَدْرُعَلَيْنَا
مِنْ ثَنِيَّاتِ الْوَدَاعِ
وَجَبَ الْشُّكْرُ عَلَيْنَا
ِمَا دَعَا لِلّٰهِ دَاع
“Hum Par Wada’ Kee Ghaatiyo’n Se Chaudhwi’n Ka Chaand (Ya’ni Chehra-e Wa’d-Duha صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Tuloo’ Ho Gaya, Aur Hum Par Us Waqt Tak Shukr Ada Karte Rehna Waajib Ho Gaya Jab Tak Koi Allah Ta’ala Kee Taraf Da’wat Dene Waala Da’wat De Raha Hai (Ya’ni Jab Tak Koi Bhi Khuda Ka Naam Lene Waala Baaqi Rahega).”
Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Tashreef Aawri Ka Jashn Manaane Kee Khaatir Habasha Ke Log Apne Aalaate Harb Ke Saath Raqs Karte Rahe.
Is Hadith Ko Imam Ibn Hibban Ne “Al-Thiqat” Me, Ibn ‘Abd-il-Barr, ‘Asqalani Aur Muhibb Tabari Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ibn Hibban Fi Al-Thiqa, 01/131,
Ibn Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 14/82,
‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 07/261, 08/129,
‘Ayni Fi ‘Umdat-ul-Qari, 17/60,
Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 01/480,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/57_58, Raqm-20.]