“Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Jab Madinah Shareef Laa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Dekha Ki Yahoodi Yawme ‘Aashoora Ka Roza Rakhte Hain. Pas Un Se Us Kee Baabat Daryaaft Kiya Gaya To Unhone Kaha : Us Din Allah Ta’ala Ne Hazrat Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Aur Bani Isra’il Ko Fir’awn Par Ghalaba Wa Nusrat ‘Ata Farmaa’i To Hum Is ‘Azeem Kaamyaabi Kee Ta’zeem-o Takreem Baja Laane Ke Liye Us Din Roza Rakhte Hain. Us Par Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Hum Tum Se Ziyaada Moosa Ke Haqq Daar Hain. Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne (Khud Bhi Roza Rakkha Aur Sahaba-e Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْنَ Ko Bhi) Roza Rakh Ne Ka Hukm Diya.”
Yeh Hadith Muttafque Alayh Hai.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1434, Raqm-3727,
Muslim Fi As-Sahih, 02/795, Raqm-1130,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/326, Raqm-2444,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/552, Raqm-1734,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/29_30, Raqm-02.]