“Hazrat ‘Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Marwi Hai Unhone Farmaya Ki Hazrat Aboo Bakr رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Aae Aur Mere Paas Ansaar Kee Do (Naabaaligh) Ladkiya’n – Ansaar Ne Jange Bu’aath Me Jo Bahaaduri Dikhaa’i Thi – Woh Bayaan Kar Rahi’n Thi’n. Woh Farmati Hain Ki Yeh (Pesha War) Gaane Waali Na Thi’n. Hazrat Aboo Bakr رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Farmaya : Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Ghar Me Shaytaani Baaja! Aur Yeh ‘Eid Ke Din Kee Baat Hai. Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya :Ae Aboo Bakr! Har Qaum Kee ‘Eid Hoti Hai Aur Yeh ‘Eid Hai.”
Yeh Hadith Muttafaqun ‘Alayh Hai.
Imam Muslim Kee Riwaayat Me Hai Ki Woh Dono’n Ladkiya’n Daf Baja Rahi Thi’n.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/324, Raqm-909,
Muslim Fi As-Sahih, 02/607,Raqm-892,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/612, Raqm-1898,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/180, 187, Raqm-5871, 5877,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/49_51,Raqm-16.]