Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 01

 Al-Ahaadith-un-Nabawiyyah

 

        “Hazrat ‘Urwah Ek Taweel Riwaayat Me Bayaan Karte Hain Ki Thuwaybah Aboo Lahab Kee Laundi Thi Aur Aboo Lahab Ne Use Aazaad Kar Diya Tha, Us Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Doodh Pilaaya Tha. Jab Aboo Lahab Mar Gaya To Us Ke Ahle Khaana Me Se Kisi Ke Khaab Me Woh Nihaayat Buri Haalat Me Dikhaaya Gaya. Us (Dekhne Waale) Ne Us Se Puchha : Kaise Ho? Aboo Lahab Ne Kaha : Mein Bohat Sakht ‘Azaab Me Hoo’n, Is Se Kabhi Chhutkaara Nahin Milta. Haa’n Mujhe (Us ‘Amal Kee Jaza Ke Taur Par) Is (Ungli) Se Qadre Seraab Kar Diya Jaata Hai Jis Se Mein Ne (Muhammad صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Kee Khushi Me) Thuwaybah Ko Aazaad Kiya Tha.”

Ise Imam Bukhari, Abd-ur-Razzaq Aur Marwazi Ne Riwaayat Kiya Hai.

 

“Hafiz (Ibn Hajar) ‘Asqalani Ne Imam Suhayli Ke Hawaale Se Fat’h-ul-Bari Me Yoo’n Bayaan Kiya Hai Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Farmaate Hain : Aboo Lahab Mar Gaya To Us Se Ek Saal Baa’d Khaab Me Bohat Bure Haal Me Dekha Aur Yeh Kehte Hu’e Paaya Ki Tumhaari Judaa’i Ke Baa’d Aaram Naseeb Nahin Huwa Balki Sakht ‘Azaab Me Giriftaar Hoo’n, Lekin Jab Peer Ka Din Aata Hai. To Mere ‘Azaab Me Takhfeef Kar Dee Jaati Hai Aur Yeh Is Waj’h Se Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Mubaaraka Peer Ke Din Hu’i Thi Aur Jab Thuwaybah Ne Us Roz Aboo Lahab Ko Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Kee Khabar Dee To Us Ne (Wilaadate Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khushi Me) Thuwaybah Ko Aazaad Kar Diya Tha.”(01)

 

“Hafiz Shams-ud-Deen Muhammad Bin ‘Abd Allah Jazri (Mutawaffa 660 Hijri) Apni Tasneef “Urf-ut-Ta’rifi Bil-Mawlid-ish-Sharif” Me Likhte Hain : Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadate Baa Sa’aadat Ke Mauqa Par Khushi Manaane Ke Ajr Me Us Aboo Lahab Ke ‘Azaab Me Bhi Takhfeef Kar Dee Jaati Hai Jis Kee Mazammat Me Qur’an Hakeem Me Ek Mukammal Soorat Naazil Hu’i Hai. To Ummate Muhammadiyyah Ke Us Musalmaan Ko Milne Waale Ajr-o Thawaab Ka Kya ‘Aalam Hoga Jo Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Milad Kee Khushi Manaata Hai Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Mahabbat-o Ishq Me Hasbe Istetaa’at Kharch Karta Hai? Khuda Kee Qasam! Mere Nazdeek Allah Ta’ala Aise Musalman Ko Apne Habibe Mukarram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khushi Manaane Ke Tufayl Apni Ne’mato’n Bhari Jannat ‘Ata Faraaenge.”(02)

 

“Hafiz Shams-ud-Deen Muhammad Bin Nasir-ud-Deen Dimashqi (777_842 Hijri) Apni Tasneef “Mawrid-us-Sadi Fi Mawlid-il-Hadi” Me Farmaate Hain : Yeh Baat Paaya-e Suboot Ko Pahonch Chuki Hai Ki RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Kee Khushi Me Thuwaybah Ko Aazaad Kar Ne Ke Sila Me Har Peer Ke Roz Aboo Lahab Ke Azaab Me Kami Kee Jaati Hai. Lehaaza :

 

Jab Aboo Lahab Jaise Kaafir Ke Liye. Jis Kee Mazammat Qur’an Hakeem Me Kee Ga’i Hai Aur Hamesha Hamesha Ke Liye Jahannam Me Us Ke Haath Tut’te Rahenge. Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Milaad Kee Khushi Manaane Kee Waj’h Se Har Somwaar Ko Us Ke ‘Azaab Me Takhfeef Kar Dee Jaati Hai, To Us Shakhs Ke Baare Me Tera Kya Khayaal Hai Jis Ne Apni Saari ‘Umr Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Milaad Kee Khushi Manaa’i Aur Tawheed Par Faut Huwa.”(03)

 

“Shaykh Abd-ul-Haqq Muhaddith Dihlawi (958_1052 Hijri) Isi Riwaayat Ka Tadhkira Kar Ne Ke Baa’d “Madarij-un-Nubuwwah” Me Likhte Hain :

“Yeh Riwaayat Milaad Ke Mauqa Par Khushi Manaane Aur Maal Sadaqa Kar Ne Waalo’n Ke Liye Daleel Aur Sanad Hai. Aboo Lahab Jis Kee Mazammat Me Ek Mukammal Qur’ani Soorat Naazil Hu’i Jab Woh Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Kee Khushi Me Laundi Aazaad Kar Ke ‘Azaab Me Takhfeef Haasil Kar Leta Hai To Musalman Kee Khushi Ka Kya ‘Aalam Hoga Jo Apne Dil Me Maujzan Mahabbate Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Waj’h Se Wilaadate Mustafa Ke Din Masarrat Aur Aqidat Ka Izhaar Kare. Lekin Zaroorat Is Amr Kee Hai Ki (Yeh Izhaare Masarrat Aur Aqidat) Un Bid’aat Se Paak Ho Jinhein Awaam-un-Naas Ne Ghad Liya Hai Jaise Mooseeqi Aur Haraam Aalaat Aur Isi Tarah Ke Deegar Mamnoo’aat, Taa Ki Itteba’e Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Raaste Se Mehroomi Ka Baa’ith Na Bane.”(04)

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/1961, Raqm-4813,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 07/478, Raqm-13955,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 09/26, Raqm-16350,

Marwazi Fi As-Sunnah,/82, Raqm-290,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 01/108,

Ibn Abi Dunya Fi Al-Manamat,/154, Raqm-263,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 07/162, Raqm-13701,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/261, Raqm-281,

Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/149,

Baghawi Fi Sharh-us-Sunnah, 09/76, Raqm-2282,

(01) Dhakarahu Al-Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 09/145,

(02) Dhakarahu Al-Suyooti Fi Al-Hawi Li-’l-Fatawi Fi Al-Fiqh Wa Uloom Al-Tafsir Wa Al-Hadith Wa Al-Usool Wa Al-Nahw Wa Al-I’rab Wa Sa’ir Al-Funun,/206,

Suyooti Fi Husn Al-Maqsad Fi ‘Amal Al-Mawlid,/65_66,

Qastallani Fi Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/147,

Zarqani Fi Sharh Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/260_261,

Salihi Fi Subul Al-Huda Wa Al-Rashad Fi Sirat Khayr Al-‘Ibad, 01/366_367,

Nab’hani Fi Hujjatu Allahi ‘Ala Al-‘Alamin Fi Mu’jizat Sayyid-il-Mursalin,/237_238,

(03) Suyooti Fi Al-Hawi Li-’l-Fatawi Fi Al-Fiqh Wa Uloom Al-Tafsir Wa Al-Hadith Wa Al-Usool Wa Al-Nahw Wa Al-I’rab Wa Sa’ir Al-Funun,/206,

Suyooti Fi Husn Al-Maqsad Fi ‘Amal Al-Mawlid,/66,

Nab’hani Fi Hujjatu Allahi ‘Ala Al-‘Alamin Fi Mu’jizat Sayyid-il-Mursalin,/238,

(04) ShaykhAbd-ul-Haqq Fi Madarij-un-Nubuwwah, 02/19,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/23_29, Raqm-01.]