Fasl-01 :
Ummate Muhammadiyah Ke Sharaf Ka Bayan
01/801. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujh Par (Tamaam) Ummate’n Pesh Kee Ga’i Pas Ek Nabi Guzarne Laga Aur Us Ke Saath Us Kee Ummat Thi. Ek Nabi Aisa Bhi Guzra Ki Us Ke Saath Chand Afraad They, Ek Nabi Ke Saath Das-10 Aadami, Ek Nabi Ke Saath Paanch-05 Aadami, Ek Nabi Sirf Tanha, Mein Ne Nazar Daudaa’i To Ek Badi Jam’a’at Nazar Aayi. Mein Ne Poochha : Aye Jibra’il! Kya Yeh Meri Ummat Hai? Arz Kiya : Nahin, Balki (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aap Ufaq Kee Jaanib Tawajjoh Farmaa’e’n, Mein Ne Dekha To Woh Bohat Hee Badi Jam’a’at Thi. Arz Kiya : Yeh Aap Kee Ummat Hai Aur Yeh Jo Sattar Hazaar Un Ke Aage Hain Un Ke Liye Na Hisaab Hai Na ‘Azaab. Mein Ne Poochha : Kis Wajah Se, Unhone Kaha : Yeh Log Daagh Nahin Lagwate They, Ghair Shara’i Jhaad-Phoonk Nahin Karte They, Shagun Nahin Lete They Aur Apne Rabb Par (Kaamil) Bharosa Rakhte They. Hazrat Ukkaasha Bin Mohseen RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Khade Ho Kar Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Allah Ta’ala Se Du’aa Keeji’e Ki Woh Mujhe Bhi Un Logo’n Me Shaamil Farma Le. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Farmaa’i : Aye Allah, Ise Un Logo’n Me Shaamil Farma. Phir Doosara Aadami Khada Ho Kar Arz Guzaar Hua : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Allah Ta’ala Se Du’aa Keeji’e Ki Mujhe Bhi Un Me Shaamil Farma Le. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ukkaasha Tum Se Sabqat Le Gaya.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2396, Raqm-6175,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2157, Raqm-5378,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2170, Raqm-5420,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1251, Raqm-3229,
Muslim Fi As-Sahih, 01/179, 199, Raqm-216, 220,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/631, Raqm-2446,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/378, Raqm-7604,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/447, 448, Raqm-6084, 6430,
Darami Fi As-Sunan, 02/422, Raqm-2807,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/271, Raqm-2448,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/233, Raqm-5340,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/241, Raqm-605,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-715, 716, Raqm-801.]
02/802. “Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Hamraah Hum Ek Qubba (Ya’ni Makaan) Me They Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tum Is Baat Par Raazi Ho Ki Ahle Jannat Ka Tihaa’i Hissa Tum (Me Se) Ho, Hum Ne Arz Kiya : Ha’n. Farmaya : Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudara Me Muhammad Mustafa ﷺ Kee Jaan Hai! Mujhe Ummid Hai Ki Tum (Taadaad Me) Ahle Jannat Me Se Aise Nisf Honge Aur Woh Yoo’n Ki Jannat Me Musalman Ke Siwa Koi Daakhil Nahin Hoga Aur Mushriko’n Ke Muqable Me Tum Yoo’n Ho Jaise Kaale Bayl Kee Jild Par Ek Safed Baal Ya Surkh Bayl Kee Jild Par Ek Kaala Baal.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2392, Raqm-6163,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2448, Raqm-6266,
Muslim Fi As-Sahih, 01/200, Raqm-221,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/684, Raqm-2547,
وقال : هذا حديث حسن صحيح ،
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1432, Raqm-4283,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/409, Raqm-11339,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/386, Raqm-3661,
Bazzar Fi Al-Musnad, 05/237, Raqm-1850,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-716/717, Raqm-802.]
03/803. “Hazrat Sulaiman Bin Burayda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Apne Waalid Se Riwayat Kiya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jannatiyo’n Kee Ek Sau Bees-120 Safe’n Hongi. Jin Me Se Assi-80 Safe’n Meri Ummat Kee Hongi Aur Baaqi Tamam Ummato’n Kee Sirf Chaalis-40 Safe’n Hogi.”
رواه الترمذي وابن ماجاه.
وقال أبو عيسى : هذا هديث حسن.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/683, Raqm-2546,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1434, Raqm-4289,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/347, Raqm-22990, 23052, 23111,
Darami Fi As-Sunan, 02/434, Raqm-2835,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/498, Raqm-7459,
Bazzar Fi Al-Musnad, 05/368, Raqm-1999,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/315, Raqm-31713,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/155, Raqm-273, Raqm-273,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/67, Raqm-82,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/77, Raqm-1310,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/184, Raqm-10398,
Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/183, Raqm-211,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-717, 718, Raqm-803.]
04/804. “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jannat Tamam Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Par Us Waqt Haraam Kar Dee Ga’i Hai Jab Tak Mein Us Me Daakhil Na Ho Jaawun Aur Tamam Ummaton Par Us Waqt Tak Haraam Hai Jab Tak Ki Meri Ummat Us Me Daakhil Na Ho Jaa’e’n.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/289, Raqm-942,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/69,
Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 11/416, Raqm-31953,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-718, Raqm-804.]
05/805. “Hazrat Aboo Dhar Ghifari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Se Khata, Nisyaan Aur Jabro Ikaraah Maaf Farma Diya Hai.”
رواه ابن ماجاه وابن حبان والبيهقي والطبراني في الثﻻثة.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/659, Raqm-2043,
Ibn Hibban An Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi As-Sahih, 16/202, Raqm-7219,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/216, Raqm-2801,
Daraqutni Fi As-Sunan, 04/170, Raqm-33,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 04/172, Raqm-204,
Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 06/410, Raqm-11417,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 03/95,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/356, Raqm-14871,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/52, Raqm-766,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/161, Raqm-8273,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/97, Raqm-1430,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/152, Raqm-1090,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-718, 719, Raqm-805.]
06/806. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Se Un Ke Dil Kee Baato’n (Ya’ni Wasaawiso Khayalat) Ko Maaf Farma Diya Hai, Jab Tak Woh Us Par Amal Na Kare Ya Zabaan Se Na Kahe.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/116, Raqm-127,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/658, Raqm-2040,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/360, Raqm-5628,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/255, Raqm-7464,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/52, Raqm-898,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 10/179, Raqm-4335,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 04/75,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/276, Raqm-6389,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/299, Raqm-332,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-719, Raqm-806.]
07/807. “Hazrat Mihjan Bin Ad’ra’a Sulami RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Is Ummat (Muhammadiya) Ke Liye Aasaani Ko Pasand Farmaya Hai Aur Is Ke Liye Tangi Ko Na Pasand Farmaya Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Jumla Teen³ Martaba Bayan Farmaya.”
رواه الطبراني برجال الصحيح.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/298, Raqm-707,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/15,
Harith Fi Al-Musnad (Zawa’id Al-Haythami), 01/343, Raqm-237,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-719 Raqm-807.]
08/808. “Hazrat Huzayfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Itna Taweel Sajda Farmaya Ki Hum Ne Gumaan Kiya Shaayad Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Wisale Aqdas Ho Gaya Hai. Phir Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sajde Se Faarigh Hu’e To Farmaya : Mere Rabb Ne Mujh Se Meri Ummat Ke Baare Me Mashwarah Talab Kiya Us Me Bayan Farmaya : Aur Hamare Liye Woh Bohat See Cheeze’n Halaal Kar Dee Jo Hum Se Qabl (Ummato’n Par) Mamnu’ Thi Aur Hum Par Is Dunya Me Koi Tangi (Rawa) Nahin Rakhi.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/393, Raqm-23384,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/68,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-720, Raqm-808.]
09/809. “Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Hee Sab Se Pehla Shakhs Hoo’nga Jise Qiyamat Ke Din (Baargaahe Ilahi Me) Sajda Karne Kee Ijazat Dee Jaa’egi Aur Mein Hee Hoo’nga Jise Sab Se Pehle Sar Uthaane Kee Ijazat Hogi. So Mein Apne Saamne Dekhoo’nga Aur Apni Ummat Ko Doosri Ummato’n Ke Darmiyan Pahchaan Loonga Isee Tarah Apne Peechhe Aur Apni Daahini Taraf Bhi Unhe’n Dekh Kar Pahchaan Loonga. Ek Shakhs Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Apni Ummat Ko Doosri Ummato’n Ke Darmiyan Kaise Pahchanenge Jab Ki Un Me Hazrat Nooh ‘Alayh-is-Salam Kee Ummat Se Le Kar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ummat Tak Ke Log Shaamil Honge? …. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Un Ke Jism Ke Hisse Wuzoo Ke Asar Se Chamak Rahe Honge Aur Un Ke Siwa Kisi Aur (Ummat) Ke Saath Aisa Nahin Hoga Aur Mein Unhe’n Pahchan Loonga Ki Un Ka Nama-e Aamal Un Ke Daaye’n Haath Me Diya Jaa’ega Aur Unhe’n Pahchaan Loonga Ki Un Ke Aage Un Kee Aulaad Daudati Hogi.”
رواه أحمد والحاكم والبيحقي.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/199, Raqm-21785,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/520, Raqm-3784,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/324, Raqm-1049,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/17, Raqm-2745,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/48, Raqm-361,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/91, Raqm-286,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/225,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/250,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/344,
وقال رواه الطبراني.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-720, 721, Raqm-809.]
10/810. “Hazrat Aboo Dhar Aur Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Ek Riwayat Me Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Qiyamat Ke Roz Zaroor Apni Ummat Ko Doosri Ummato’n Ke Darmiyan Pahchaan Loonga. Sahaba Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Apni Ummat Ko Kaise Pahchanege, Farmaya : Mein Unhe’n Pahchaan Loonga Ki Un Ko Nama-e Aamal Daaye’n Haath Me Diya Jaa’ega Aur Un Kee Peshaaniyo’n Par Sajdo’n Ka Asar Hoga Aur Mein Unhe’n Un Ke Noor Se Pahchaan Loonga Jo Un Ke Aage-Aage Daud Raha Hoga.”
رواه أحمد بإسناد جيد.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/199, Raqm-21788,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-721, Raqm-810.]
11/811. “Hazrat Aboo Umaama Baahili RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Qiyamat Ke Roz Raushan Peshaniyo’n Aur Chamakte Haath-Paanw Waale Logo’n Kee Ek Jam’a’at Namoodar Hogi Jo Ufaq Par Chha Jaa’egi . Un Ka Noor Sooraj Kee Tarah Hoga So Ek Nida Dene Waala Nida Dega “نبى اُمّى” Pas Is Nida Par Har Ummi-e Nabi Mutawajje Hoga Lekin Kaha Jaa’ega (Ki Is Se Muraad) Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Un Kee Ummat Hai So Woh Jannat Me Daakhil Honge Un Par Koi Hisaab Aur ‘Azaab Nahin Hoga Phir Is Tarah Kee Ek Aur Jam’a’at Namoodar Hogi Jin Kee Peshaniya’n Aur Haath-Paaanw Chamak Rahe Honge. Un Ka Noor Chaudahwi Ke Chaand Ki Tarah Ka Hoga Aur Un Ka Noor Ufaq Par Chha Jaa’ega So Phir Nida Dene Waala Nida Dega Aur Kahega “نبى اُمّى” Pas Is Nida Par Har Ummi Nabi Mutawajje Ho Jaa’ega Lekin Kaha Jaa’ega : Is Nida Se Muraad Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Un Kee Ummat Hai Pas Woh Baghair Hisaabo ‘Azaab Ke Jannat Me Daakhil Ho Jaa’enge Phir Isee Tarah Kee Ek Aur Jam’a’at Namoodar Hogi Un Kee (Bhi) Peshaniya’n Aur Haath-Paanw Chamakte Honge Un Ka Noor Aasman Me Bade Sitaare Kee Tarah Hoga Un Ka Noor Ufaq Par Chha Jaa’ega Pas Nida Dene Waala Aawaz Dega “نبى اُمّى” Pas Is Par Har Nabi Mutawajje Ho Jaa’ega, Kaha Jaa’ega : (Is Se Muraad Bhi) Muhammad ﷺ Aur Un Kee Ummat Hai. Pas Woh Baghair Hisaabo ‘Azaab Ke Jannat Me Daakhil Ho Jaa’enge. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Rabb (Apni Shaan Ke Laa’iq) Tashreef Laa’ega Phir Meezaano Hisaab Qaa’em Kiya Jaa’ega.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/173, Raqm-7723,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/201, Raqm-1185,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/409,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-722, 723, Raqm-811.]
12/812. “Hazrat Bahaz Bin Hakim Ba-Wasta Apne Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaane Ilahi : Tum Behtareen Ummat Ho Jo Sab Logo’n (Kee Rehnuma’i) Ke Liye Zaahir Kee Ga’i Hai. Ke Baare Me Farmaya : Tum Sattar-70 Ummato’n Ko Mukammal Kar Ne Waale Ho Aur Allah Ta’ala Ke Nazdeek Un Sab Se Behtar Aur Mu’azziz Ho.”
رواه الترمذي وابن ماجاه وأحمد.
وقال الترمذي : هذا حديث حثن. وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/226, Raqm-3001,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1433, Raqm-4287, 4288,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/61, Raqm-11604,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/447,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/03,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/94, Raqm-6987,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,09/05,
Tabarani Mu’jam-ul-Kabir, 19/419, Raqm-1012, 1023,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/156, Raqm-411,
Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/115, Raqm-924, Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/114, Raqm-382,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-723, Raqm-812.]
13/813. “Hazrat Bahaz Bin Hakim Ba-Wasta Apne Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hum Qiyaamat Ke Din Sattar-70 Ummato’n Kee Takmil Karenge Aur Hum Sab Se Aakhiri Aur Sab Se Behtar Honge.”
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1433, Raqm-4287,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-724, Raqm-813.]
14/814. “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Woh Kuchh ‘Ata Kiya Gaya Jo (Saabiqa) Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Me Se Kisi Ko Bhi Nahin ‘Ata Kiya Gaya. Hum Ne Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Woh Kya Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Roabo Dabdabe Se Madad Kee Ga’i Aur Mujhe Zameen (Ke Tamam Khazaano’n) Ki Kunziya’n ‘Ata Kee Ga’i Aur Mera Naam Ahmad Rakkha Gaya Aur Mitti Ko Bhi Mere Liye Paakiza Qaraar Kiya Gaya Aur Meri Ummat Ko Behtareen Ummat Banaya Gaya.”
رواه ابن أبي شيبة وأحمد بإسناد جيد.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/304, Raqm-31647,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/98, Raqm-763, 1361,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/213, Raqm-965,
Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 04/783, Raqm-1443, 1447,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 02/348, Raqm-728, 729,
Haythami Majma’-uz-Zawa’id, 01/260,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/269,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-724, Raqm-814.]
15/815. “Hazrat Saubaan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Ne Zameen Ko Mere Liye Lapet Diya Aur Mein Ne Us Ke Mashaariqo Magaarib Ko Dekha . Anqarib Meri Ummat Kee Hukoomat Waha’n Tak Pahonchegi Jaha’n Tak Mere Liye Zameen Lapeti Ga’i. Mujhe (Qaysaro Kisara Ke) Do Khazaane Surkh Aur Safed Di’e Ga’e . Mein Ne Apne Rabb Se Apni Ummat Ke Baare Me Sawaal Kiya Ki Unhe’n Qahat Saali Se Halaak Na Kiya Jaa’e Aur Na Un Par Un Ke Ghayr Se Dushman Musallat Kare Jo Unhe’n Mukammal Taur Par Nesto Nabood Kar De Aur Be Shak Mere Rabb Ne Mujhe Farmaya : Aye Muhammad Mustafa ﷺ! Mein Jab Ek Faisla Kar Leta Hoo’n To Us Ko Waapas Nahin Lautaaya Ja Sakta Aur Be Shak Mein Ne Aap Ko Aap Kee Ummat Ke Liye Ye Cheez ‘Ata Farma Dee Hai Ki Mein Unhe’n Qahat Saali Se Nahin Maarunga Aur Na Hee Un Ke Ilaawah Kisi Aur Ko Un Par Dushman Musallat Karoo’nga Jo Unhe’n Mukammal Taur Par Nesto Nabood Kar De Agarche (Woh Dushman Un Ke Khilaaf Har Taraf Se Ikat’the ) Ho Jaa’e’n Yaha Tak Ki Un Me Se Khud Ba’z Ba’z Ko Halaak Na Kare Aur Ba’z Ba’z Ko Qaydi Na Banaaye.”
رواه مسلم والترمذي وأبو داود.
وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2215, Raqm-2889,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/472, Raqm-2176,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/97, Raqm-4252,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/278, Raqm-22448, 22505,
Bazzar Fi Al-Musnad, 08/413, Raqm-3487,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/496, Raqm-8390,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf , 06/311, Raqm-31694,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/109,Raqm-6714,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/181,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/296, Raqm-3347,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-725, 726, Raqm-815.]
16/816. “Hazrat ‘Umar Bin Qays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Ko Marhoom Qaraar Diya Aur Us Kee ‘Umr Mukhtasar Rakhi. So Hum Hee Aakhiri Hain Aur Hum Hee Qiyaamat Ke Din Awwal Honge. Aur Mein Baghayr Kisi Fakhr Ke Ye Baat Keh Raha Hoo’n Ki Hazrat Ibrahim Khalilulllah Hain Aur Hazrat Moosa Safiullah Hain Aur Mein Hee Habibulllah Hoo’n Aur Roze Qiyaamat Mere Paas Hee Hamd Ka Jhanda Hoga Aur Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Ke Baare Me Mujh Se Teen³ Waade Farmaa’e Aur Teen³ Chizo’n Se Unhe’n Nijaat ‘Ata Kee. Un Par Aam Qahat Saali Musallat Nahin Karega Aur Koi Dushman Unhe’n Khatam Nahin Kar Sakega Aur Unhe’n Gumrahi Par Kabhi Jam’a Nahin Karega.”
–
[Darami Fi As-Sunan, 01/42, Raqm-54,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 06/323,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-726, Raqm-816.]
17/817. “Hazrat Aboo Maalik Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Ne Tumhein Teen³ Aafato’n Se Bacha Liya : Ek Ye Ki Tumhara Nabi Tumhare Liye Aisi Bad Du’aa Na Karega Ki Tum Saare Halaak Ho Jaao, Doosara Ye Ki (Majmoo’i Taur Par) Ahle Baatil Ahle Haqq Par Ghaalib Na Ho. Tisra Ye Ki Tum (Majmoo’I Taur Par Kabhi) Gumrahi Par Jam’a Nahin Hoge.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/98, Raqm-4253,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/292, Raqm-3440,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/442, Raqm-1663,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-727, Raqm-817.]
18/818. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Ummate Muslima) Woh (Khush Nasib) Ummat Hai Jis Par (Allah Ta’ala Kee Khususi) Rahmat Naazil Kee Ga’i Hai. Us Ka ‘Azaab Us Ke Haath Me Hai Jab Qiyaamat Ka Din Hoga To Har Ek Musalman Ko Ek Kafir De Kar Kaha Jaa’ega Ye Tumhara Dozakh Ka Fidiyah Hai.”
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1434, Raqm-4292,
Aboo Hanifah Al-Musnad, 01/155,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/190, Raqm-537,
Marwazi Fi Al-Fitan, 02/618, Raqm-1722,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-727, Raqm-818.]