Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-09 : ﴾Azamate Risaalat Aur Sharafe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam﴿

Roze Qiyaamat Shafa’at Ka Bayan

Fasl-06 :

Roze Qiyaamat Shafa’at Ka Bayan

51/599.    “Hazrat Aadam Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Meine Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Farmate Hu’e Suna : Roze Qiyaamat Sab Log Giroh Dar Giroh Ho Jaa’enge. Har Ummat Apne Apne Nabi Ke Peechhe Hogi Aur ‘Arz Karegi : Aye Fula’n! Shafa’at Farmayein, Aye Fula’n! Shafa’at Keeji’e. Yaha’n Tak Ki Shafa’at Kee Baat Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Aa Kar Khatm Hogi. Phir Us Roz Shafa’at Ke Liye Allah Ta’ala Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Maqaame Mahmood Par Faa’iz Farma’ega.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1748, Raqm-4441,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/381, Raqm-295,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 02/871, Raqm-927,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-546, Raqm-599.]

52/600.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qiyaamat Ke Din Sooraj Logo’n Ke Bohat Qareeb Aa Jaa’ega Yaha’n Tak Ki (Us Kee Tapish Ke Baa’is Logo’n Ke) Nisf Kaano’n Tak Paseena Pahonch Jaa’ega Log Is Haalat Me (Pehle) Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Se Madad Maangne Jaa’enge, Phir Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Se, Phir Aakhir Me (Har Ek Ke Inkaar Par) Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Madad Maangeinge.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/536, Raqm-1405,

Ibn Mandah Fi Kitab-ul-Iman, 02/854, Raqm-884,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/30, Raqm-8765,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/269, Raqm-3509,

Daylami Al-Musnad-ul-Firdaws, 02/377 Raqm-3677,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/371, ووثّقه.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-546, 547, Raqm-600.]

53/601.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Shafa’at Meri Ummat Ke Un Afraad Ke Liye Hai Jinohne Kabeera Gunaah Ki’e.”

رواه الترمذي وأبوداود.

وقال الترمذي : هزا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/625, Raqm-2435,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/236, Raqm-4739,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1441, Raqm-4310,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/139, Raqm-228,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط الشيخين،

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/40, Raqm-3284,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/272, Raqm-448,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/233, Raqm-1669,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-547, Raqm-601.]

54/602.    “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Yeh Ikhtiyaar Diya Gaya Hai Khwaah Mein Qiyaamat Ke Din Shafa’at Ko Chun Loo’n Ya Meri Aadhi Ummat Ko (Bina Hisaab Kitab) Jannat Me Daakhil Kar Diya Jaa’e To Meine Us Me Se Shafa’at Ko Ikhtiyaar Kiya Hai Kyon Ki Aam Aur (Poori Ummat Ke Liye) Kaafi Hogi Aur Tum Shaayad Yeh Khayal Karo’n Ki Woh Parhezgaaro’n Ke Liye Hogi? Nahin Balki Woh (Meri Shafa’at) Bohat Ziyaada Gunahgaron, Khatakaro’n Aur Bura’iyo’n Me Mubtala Hone Waalo’n Ke Liye Hogi.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1441, Raqm-4311,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/75, Raqm-5452,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/202,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/378,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-547, 548, Raqm-602.]

55/603.    “Hazrat Owf Bin Malik Ashja’i RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Jaante Ho Raat Mere Rabb Ne Mujhe Kya Ikhtiyaar Diya Hai? Hum Ne ‘Arz Kiya : Allah Ta’ala Aur Us Ka Rasool Sab Se Behtar Jaante Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Ne Mujhe Yeh Ikhtiyaar Diya Hai Ki Agar Mein Chaahun To Meri Nisf Ummat Ko (Bila Hisab-o Kitab) Jannat Me Daakhil Kar Diya Jaa’e Yaa Yeh Ki Mein Shafa’at Karoo’n, Mein Ne Shafa’at Ko Pasand Kiya Sahaba Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Allah Ta’ala Se Hamaare Liye Du’aa Farmaye’n Ki Allah Ta’ala Hame’n (Bhi) Shafa’at Ke Haquedaro’n Me (Shaamil Kar De. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Har Musalman Ke Liye Hai.”

رواه ابن ماجه والحاكم والطبراني.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط مسلم.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1444, Raqm-4317,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 20/873, Raqm-932,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/135, Raqm-221,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/68, Raqm-126,

Musnad Al-Shamiyyin, 01/326, Raqm-575,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-548, 549, Raqm-603.]

56/604.   “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Meri Qabr Kee Ziyarat Kee (Roze Qiyaamat) Us Ke Haqq Me Meri Shafa’at Waajib Ho Ga’i.”

[Daraqutni Fi As-Sunan, 02/278, Raqm-194,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/490, Raqm-4159,

Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 02/67,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/02,

وقال الهيثمي :رواه البزار .

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-549, Raqm-604.]

57/605.    “Imam Aboo Haazim Hazrat Sahal Bin Saa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Ke Sattar Hazaar Yaa Saat Laakh Afraad Jannat Me Daakhil Honge (Aboo Haazim Ko Yaad Nahin Raha Ki Un Me Se Koun See Ta’daad Marwi Hai) Woh Ek Doosre Ko Mazbooti Se Thaame Hue Honge Un Me Se Pehla Shakhs Us Waqt Tak Jannat Me Daakhil Nahin Hoga Jab Tak Un Ka Aakhiri Fard Bhi Daakhil Na Ho Jaa’e (Ya’ni Woh Apne Hazaaro’n Laakho’n Afraad Kee Nigaraani Kar Raha Hoga) Un Ke Chehre Chaudahvin Raat Ke Chaand Kee Tarah Raushan Honge.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2399, Raqm-6187,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2396, Raqm-6177,

Muslim Fi As-Sahih, 01/198, Raqm-219,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-549, 550, Raqm-605.]

58/606.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhare Kisi Ek Shakhs Ka Bhi Dunya Me Kisi Haqq Baat Ke Liye Takraar Karna Is Qadr Sakht Nahin Hoga Jo Takraar Momineen Kaamileen Apne Parwardigaar Se Apne Us Bha’iyo’n Ke Liye Karenge Jo Jahannam Me Daakhil Ki’e Jaa Chuke Honge. Woh ‘Arz Karenge : Aye Hamaare Parwardigaar! Hamaare Yeh Bha’i Hamaare Saath Namazein Padhte The Aur Hamaare Saath Roze Rakhte The Aur Hamaare Hee Saath Haj Karte The Aur Too Ne Inhe’n Dozakh Me Daal Diya Hai. Is Par Allah Ta’ala Farma’ega : Achchha Tum Jinhe’n Pahchaante Ho Unhe’n Jaa Kar Khud Hee Dozakh Se Nikaal Lo. Kehte Hain : Woh Un Ke Paas Jaa’enge Aur Un Kee Shaklein Dekh Kar Unhe’n Pahchaan Lenge. Un Me Se Kuchh Ko To Aag Ne Aadhi Pindaliyo’n Tak Aur Kuchh Ko Takhano’n Tak Pakda Hoga. Woh Unhe’n Nikaalenge Aur Phir ‘Arz Karenge. Aye Hamaare Parwardigaar! Too Ne Hame’n Jin Ke Nikaal Ne Ka Hukm Farmaya Tha Unhe’n Hum Ne Nikaal Liya Hai, Phir Allah Ta’ala Farma’ega : Unhe’n Bhi Jaa Kar Nikaal Lo Jin Ke Dil Me Ek Dinar Ke Baraabar Bhi Iman Hai. (Phir) Yaha’n Tak Farma’ega : Use Bhi (Nikaal Laawo) Jis Ke Dil Me Zarra Baraabar Iman Hai. Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Ab Jis Shakhs Ko Yaqeen Na Aa’e To Woh Yeh Aayate Kareema Padh Le : Be Shak Allah Is Baat Ko Nahin Bakhshta Ki Us Ke Saath Shirk Kiya Jaa’e Aur Is Se Kamtar (Jo Gunaah Bhi Ho) Jis Ke Liye Chaahta Hai Bakhsh Deta Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2707, Raqm-7001,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/112, Raqm-5010,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/23, Raqm-20,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/94, Raqm-117,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/626, Raqm-8736,

وقال :هاذا حديث صحيح الإسناد،

Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/410,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-550, 551, Raqm-606.]

59/607.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qiyaamat Ke Din Log Safe’n Banayeinge (Ibn Nameer Ne Kaha Ya’ni Ki Ahle Jannat) To Dozakhiyo’n Me Se Ek Shakhs Jannatiyo’n Me Se Ek Shakhs Ke Paas Se Guzarega Aur Kahega : Aye Fula’n! Tujhe Yaad Hai Ki Ek Din Toone Paani Maanga Tha Aur Meine Tujhe Paani Pilaaya Tha? Raawi Farmate Hain : Phir Woh Jannati Us Dozakhi Ke Liye Shafa’at Karega. Ek Aur Aadami Doosre Aadami Ke Paas Se Gujarega To Kahega : Tujhe Yaad Hai Meine Tujhe Tahaarat Ke Liye Paani Diya Tha? Chunaanche Woh Us Ke Liye Shafa’at Karega. Ek Aur Aadami Kahega : Aye Fula’n : Tujhe Yaad Hai Ki Ek Din Toone Mujhe Is Kaam Ke Liye Bheja Tha Chunaanche Mein Teri Khaatir Chala Gaya Tha? Phir Woh Us Kee Shafa’at Karega.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1215, Hadith-3685,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/78, Hadith-4006,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/317, Hadith-6511,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/39, Raqm-1415,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/382,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 03/275,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-551, 552, Raqm-607.]