Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Khaatoone Jannat

Yeh Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Wohi Laadli Beti Hain Jin Se Tajdare Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Tha Ki Meri Fatimah Kya Too Is Baat Par Raazi Hai Ki Saari Kaa’inaat Ke Momino’n Kee Aurto’n Kee Too Sardaar Ho.

Sahih Muslim Me Hazrat Urwah Bin Zubayr Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Sidddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwaayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Is Dunya Se Parda Farmane Ke Aakhiri Dino’n Me Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Kaano’n Me Kuchh Raaz Kee Baat Kahi Jis Se Aik Daf’a Woh Maghmoom Ho Kar Rone Lagi’n Jab Kee Dusri Daf’a Muskura Padi’n Baa’d Me Un Se Puchha Gaya Ki Rone Kee Kya Wajah Thi To Woh Farmaane Lagi Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Wisaal Kee Khabar Kee Wajah Se Roi’n Jab Ki Muskurane Kee Wajah Daryaaft Karne Par Kehne Lagin Ki Aaqa-E-Do-Jaha’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

2.

الاترضين ان تکوني سيدة نساء اهل الجنة او نساء المؤمنين

“Aye Fatimah Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ki Tamaam Jannati Aurto’n Kee Sardaar Tum Ho Ya Tamam Musalman Aurto’n Ke Sardaar Tum Ho.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/512,

Muslim Fi As-Sahih, 02/291.]

 

 

  1. Imam Hakim Sayyidah Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwaayat Karte Hain Ki Aa’n Hazrat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anh Ko Farmaya :

يا فاطمة الاترضين ان تکوني سيده نساء العالمين؟ و سيدة نساء المؤمنين؟ و سيدة نساء هذه الامة

“Aye Fatimah Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ki Tamaam Aalam Kee Aurto’n Kee Sardaar Banayi Jaao Aur Tamaam Momino’n Kee Aurto’n Kee Sardaar Ho? Aur Is Ummat Kee Tamaam Aurto’n Kee Sardaar Ho?”

[1_Muslim Fi As-Sahih, 02/291,

2_Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/156,

3_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-il-Kubra, 02/248,

Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/71_72.]

Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Jannati Aurto’n Kee Aur Aap Ke Shahzaade Jannati Jawaano’n Ke Sardaar Hain

Fasl : 04

فاطمة سلام الله عليها سيدة نساء أهل الجنة و ابناها سيدا شباب أهل الجنة

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Jannati Aurto’n Kee Aur Aap Ke Shahzaade Jannati Jawaano’n Ke Sardaar Hain

 

09_             “Hazrat Hudhayfah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Aik Firishta Jo Is Raat Se Pehle Kabhi Zameen Par Na Utra Tha, Us Ne Apne Parwardigaar Se Ijaazat Maangi Ki Mujhe Salaam Kar Ne Haazir Ho Aur Mujhe Yeh Khush Khabari De : Fatimah Ahl-E-Jannat Kee Tamaam Aurto’n Kee Sardaar Hai Aur Hasan Wa Husayn Jannat Ke Tamaam Jawaano’n Ke Sardaar Hain.”

[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/660, Raqam-3871,

2_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/80, 95, Raqam-8298, 8365,

3_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah,/58, 76, Raqam-193, 260,

4_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/391,

5_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/788, Raqam-1406,

6_Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/388, Raqam-32271,

7_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/164, Raqam-4721, 4722,

8_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/402, Raqam-1005,

9_Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,/328,

10_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/190,

11-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/224,

12_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/123, 252,

13_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 06/471,

14_Suyooti Fi Tadrib-ur-Rawi Fi Sharh Taqrib Al-Nawawi, 02/156, 464,

15_Suyooti Fi Al-Khasa’is Al-Kubra, 02/156, 464,

16_Imam Bukhari Ne ‘As-Sahih (03/1360, Kitab Al-Manaqib)’ Me Qaraabate Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Manaaqib Ka Baab Baandhte Huwe Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ke Hawaale Se Kaha : وقال النبي صلى الله تعالى عليه واله وسلم : فاطمة سيدة نساء أهل الجنة (Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Fatimah Ahle Jannat Kee Aurto’n Kee Sardaar Hain).

17_Imam Bukhari Ne Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ke Manaaqib Ke Hawaale Se Yehi Unwaan ‘As-Sahih (03/1374)’ Me Do Baara Baandha Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/25, 26, Raqam-09.]

 

 

10_             “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Se Marwi Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Farmaya : Kya Tumhein Is Baat Par Khushi Nahin Ki Ahle Jannat Kee Tamaam Aurto’n Kee Sardaar Ho Aur Tere Dono’n Bete Jannat Ke Tamaam Jawaano’n Ke.”

[1_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/201,

2_Bazzar Fi Al-Musnad, 03/102, Raqam-885,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/26, Raqam-10.]

 

 

11_             “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Zameen Par Chaar (04) Lakeerein Kheenchi’n, Aur Farmaya : Tum Jaante Ho Yeh Kya Hai? Sahaba-E-Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْن Ne Arz Kiya : Allah Aur Us Ke Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Behtar Jaante Hain. Phir Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Ahle Jannat Kee Tamaam Aurto’n Me Se Afzal Tareen (Chaar) Hain : Khadijah Bint Khuwaylid, Fatimah Bint Muhammad, Fir’awn Kee Biwi Aasiyah Bint Muzahim Aur Maryam Bint Imran رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُنَّ اَجْمَعِيْنَ.”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/293, 316,

2_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/93, 94, Raqam-8355, 8364,

3_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah,/74, 76, Raqam-250, 259,

4_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/470, Raqam-7010,

5_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 02/539, Raqam-3836,

6_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/174, 205, Raqam-4754, 4852,

7_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/760, 761, Raqam-1339,

8_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/110, Raqam-2722,

9_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/364, Raqam-2962,

10_Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/205, Raqam-597,

11_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/336, Raqam-11928,

12_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/407, Raqam-1019,

13_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 23/07, Raqam-01, 02,

14_Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,/329,

15_Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab Fi Ma’rifat Al-As’hab, 04/1821, 1822,

16_Nawawi Fi Tahdhib-ul-Asma’ Wa Al-Lughat, 02/608,

17_Dhahabi Ne ‘Siyar A’lam-in-Nubala’ (02/124)’ Me Ise Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Marfoo’ Hadith Qaraar Diya Hai.

18_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/223)’ Me Kaha Hai Ki Ise Ahmad, Aboo Ya’la Aur Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai, Aur Un Kee Bayaan Karda Riwayat Ke Rijaal Sahih Hain.

19_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 06/447,

20_Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 08/55,

21_Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/123, Raqam-316,

22_Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 02/53,

23_Qurtubi Fi Al-Jami’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 04/83,

24_Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 04/394,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/27, 28, Raqam-11.]

 

 

12_             “Hazrat Salih رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwaayat Karte Hain Ki Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Kaha : Kya Mein Tumhein Khush Khabari Na Sunaau’n! (Woh Yeh Ki) Mein Ne Khud RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Yeh Farmaate Huwe Suna : Ahle Jannat Kee Aurto’n Kee Sardaar Sirf Chaar Khawaatin Hain : Maryam Bint Imran, Fatimah Bint RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم, Khadijah Bint Khuwaylid Aur Fir’awn Kee Biwi Aasiyah.”

[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/760, Raqam-1336,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/28, Raqam-12.]