Yeh Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Wohi Laadli Beti Hain Jin Se Tajdare Ka’enat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Tha Ki Meri Fatimah Kya Too Is Baat Par Raazi Hai Ki Saari Kaa’inaat Ke Momino’n Kee Aurto’n Kee Too Sardaar Ho.
Sahih Muslim Me Hazrat Urwah Bin Zubayr Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Sidddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwaayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Is Dunya Se Parda Farmane Ke Aakhiri Dino’n Me Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Kaano’n Me Kuchh Raaz Kee Baat Kahi Jis Se Aik Daf’a Woh Maghmoom Ho Kar Rone Lagi’n Jab Kee Dusri Daf’a Muskura Padi’n Baa’d Me Un Se Puchha Gaya Ki Rone Kee Kya Wajah Thi To Woh Farmaane Lagi Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Wisaal Kee Khabar Kee Wajah Se Roi’n Jab Ki Muskurane Kee Wajah Daryaaft Karne Par Kehne Lagin Ki Aaqa-E-Do-Jaha’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
2.
الاترضين ان تکوني سيدة نساء اهل الجنة او نساء المؤمنين
“Aye Fatimah Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ki Tamaam Jannati Aurto’n Kee Sardaar Tum Ho Ya Tamam Musalman Aurto’n Ke Sardaar Tum Ho.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/512,
Muslim Fi As-Sahih, 02/291.]
- Imam Hakim Sayyidah Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwaayat Karte Hain Ki Aa’n Hazrat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anh Ko Farmaya :
يا فاطمة الاترضين ان تکوني سيده نساء العالمين؟ و سيدة نساء المؤمنين؟ و سيدة نساء هذه الامة
“Aye Fatimah Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ki Tamaam Aalam Kee Aurto’n Kee Sardaar Banayi Jaao Aur Tamaam Momino’n Kee Aurto’n Kee Sardaar Ho? Aur Is Ummat Kee Tamaam Aurto’n Kee Sardaar Ho?”
–
[1_Muslim Fi As-Sahih, 02/291,
2_Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/156,
3_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-il-Kubra, 02/248,
Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/71_72.]