Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-12 : ﴾Ummate Muhammadiyah Ka Izz-o Sharaf﴿

Is Ummat Ke Kabhi Bhi Gumrahi Par Jam’a Na Hone Ka Bayan

Fasl-03 :

Is Ummat Ke Kabhi Bhi Gumrahi Par Jam’a Na Hone Ka Bayan

31/831.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Meri Ummat Ko Gumrahi Par Jam’a Nahin Karega (Ya Farmaya : Ummate Muhammadiya Ko Gumrahi Par Jam’a Nahin Karega) Aur Jam’a’at Par Allah Ta’ala (Kee Hifaazat) Ka Haath Hai Aur Jo Shakhs Jam’a’at Se Juda Ho Woh Aag Kee Taraf Juda Ho.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/466, Raqm-2167,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/201, Raqm-397,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/271,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-735, Raqm-831.]

32/832.    “Hazrat Haaris Ash’aree RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Mujhe Paanch-05 Baato’n Ka Hukm Diya Hai (Aur Woh Paanch-05 Baate’n Yeh Hain)

Jam’a’at Ke Saath Hone, Naseehat Sun’ne, Farma’nbardari Ikhtiyar Karne, Hijrat Karne Aur Allah Ta’ala Kee Raah Me Jihaad Karne Ka. Pas Jo Jam’a’at Se Ek Baalisht Barabar Bhi Alag Hua Pas Us Ne Islam Ka Qalaada (Ya’ni Patta) Apne Gale Se Utaar Diya Jab Tak Ki Woh (Jam’a’at Kee Taraf) Lout Nahin Aata.”

رواه الحاكم وابن خزيمة.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/204, 582, Raqm-404, 1534,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/195, Raqm-1895,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/157,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/286, 287, 289, Raqm-3427, 3430, 3431,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/140, Raqm-1571,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-735, 736, Raqm-832.]

33/833.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Jaabiya Ke Maqaam Par Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hame’n Khitaab Farmaya Ki Mein Tumhare Darmiyan Is Jagah Par Khada Hoo’n Jaha’n Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamare Darmiyan Qiyam Farmaya Phir Unhone Farmaya : Jam’a’at Ko Laazim Pakado Aur Alahidagi Se Bacho Kyon Ki  Shaitan Ek¹ Ke Saath Hota Hai Aur Do² Aadmiyo’n Se Door Rehta Hai. Jo Shakhs Jannat Ka Wast Chaahta Hai Us Ke Liye Jam’a’at Se Waabastagi Laazami Hai Jis Shakhs Ko Us Kee Neki Khush Kare Aur Buraa’i Pareshaan Kare Pas Wahi Momin Hai.”

رواه الترمزي واننساءي وأحمد.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/465, Raqm-2165,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/388, Raqm-9225,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/370, Raqm-23194,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/42, Raqm-88,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,13/316,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 06/320,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-736, Raqm-833.]

34/834.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Is Ummat Ko Kabhi Bhi Gumrahi Par Ikat’tha Nahin Farma’ega Aur Farmaya : Allah Ta’ala Ka Daste Qudrat Jam’a’at Par Hota Hai. Pas Sab Se Badi Jam’a’at Kee Ittiba’ Karo Aur Jo Is Jam’a’at Se Alag Hua Hai Woh Aag Me Daal Diya Gaya.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/199, 201, Raqm-391, 397,

Ibn Abi A’sim Kitab-us-Sunnah, 01/39, Raqm-80,

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 01/106, Raqm-154,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 03/37,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/258, Raqm-8116,

Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 01/4222,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/271,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-737, Raqm-834.]

35/835.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Meri Ummat (Majmooi’i Taur Par) Kabhi Gumraahi Par Jam’a Nahin Hogi Pas Agar Tum In Me Ikhtilaaf Dekho To Tum Par Laazim Hai Ki Sab Se Badi Jam’a’at (Ka Saath) Ikhtiyaar Karo.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 04/367, Raqm-3950,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12, 447, Raqm-13623,

Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 04/169, Raqm-1395,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-737, Raqm-835.]

36/836.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yaqeenan Bani Isara’il Ik’hattar-71 Firqon Me Taqseem Ho Ga’e They Aur Meri Ummat Yaqeenan Bahattar-72 Firqon Me Taqseem Ho Jaa’egi Woh Sab Ke Sab Dozakh Me Jaa’ege. Siwaaye Ek Ke Aur Woh Jam’a’at Hai.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1322, Raqm-3991, 3993,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/145, Raqm-12501,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/36, Raqm-3944,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,07/90, Raqm-2499,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/32, Raqm-64,

Maruzi As-Sunnah, 01/21, Raqm-53,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-737, 738, Raqm-836.]

37/837.    “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Do² (Shakhs) Ek Se Behtar Hain Aur Teen³ (Shakhs) Do² Se Behtar Hain, Aur Chaar⁴ (Shakhs) Teen³ Se Behtar Hain, Pas Tum Par Laazim Hai Ki Jam’a’at Ke Saath Raho, Yaqeenan Allah Ta’ala Meri Ummat Ko Kabhi Hidaayat Ke Siwa Kisee Shai Par Ikat’tha Nahin Karega.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/145, Raqm-21331,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/177,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 05/218,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 06/323,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-738, Raqm-837.]

Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 33

٣٣.          عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِکٍ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ قَالَ: کَانَ فِي عَهْدِ رَسُوْلِ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ رَجُلٌ يُعْجِبُنَا تَعَبُّدُهُ وَ اجْتِهَادُهُ (وَ فِي رِوَايَةٍ: حَتَّی جَعَلَ بَعْضُ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ أَنَّ لَهُ فَضْلاً عَلَيْهِمْ) قَدْ عَرَّفْنَاهُ لِرَسُوْلِ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ بِاسْمِهِ وَ وَصَّفْنَاهُ بِصِفَتِهِ فَبَيْنَمَا نَحْنُ نَذْکُرُهُ إِذْ طَلَعَ الرَّجُلُ قُلْنَا: هُوَ، هَذَا. قَالَ: إِنَّکُمْ لَتُخْبِرُوْنَ عَنْ رَجُلٍ إِنَّ عَلَی وَجْهِهِ سُفْعَةً مِنَ الشَّيْطَانِ فَأَقْبَلَ حَتَّی وَقَفَ عَلَيْهِمْ وَ لَمْ يُسَلِّمْ، فَقَالَ لَهُ رَسُوْلُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: أَنْشُدُکَ بِاﷲِ، هَلْ قُلْتَ فِي نَفْسِکَ حِيْنَ وَقَفْتَ عَلَی الْمَجْلِسِ مَا فِي الْقَومِ أَحَدٌ أَفْضَلُ أَوْ أَخْيَرُ مِنِّي؟ قَالَ: اللَّهُمَّ نَعَمْ، ثُمَّ دَخَلَ يُصَلِّي (وَفِي رِوَايَةٍ: ثُمَّ انْصَرَفَ فَأَتَی نَاحِيَةً مِنَ الْمَسْجِدِ فَخَطَّ خَطًّا بِرِجْلِهِ ثُمَّ صَفَّ کَعْبَيْهِ فَقَامَ يُصَلِّي) فَقَالَ رَسُوْلُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: مَنْ يَقْتُلُ الرَّجُلَ؟ فَقَالَ أَبُوْبَکْرٍ: أَنَا فَدَخَلَ عَلَيْهِ فَوَجَدَهُ يُصَلِّي فَقَالَ: سُبْحَانَ ﷲ أَقْتُلُ رَجُلًا يُصَلِّي؟ وَ قَدْ نَهَی رَسُوْلُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ عَنْ ضَرْبِ الْمُصَلِّيْنَ فَخَرَجَ، فَقَالَ رَسُوْلُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: مَا فَعَلْتَ؟ قَالَ: کَرِهْتُ أَنْ أَقْتُلَهُ وَ هُوَ يُصَلِّي وَ قَدْ نَهَيْتَ عَنْ ضَرْبِ الْمُصَلِّيْنَ. قَالَ: مَنْ يَقْتُلُ الرَّجُلَ؟ قَالَ عُمَرُ: أَنَا، فَدَخَلَ فَوَجَدَهُ وَاضِعًا وَجْهَهُ،     قَالَ عُمَرُ:     أَبُوبَکْرٍ أَفْضَلُ مِنِّي،    فَخَرَجَ،    فَقَالَ رَسُوْلُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: مَا فَعَلْتَ؟ قَالَ: وَجَدْتُهُ وَاضِعًا وَجْهَهُﷲِ فَکَرِهْتُ أَنْ أَقْتُلَهُ. قَالَ: مَنْ يَقْتُلُ الرَّجُلَ؟ فَقَالَ عَلِيٌّ: أَنَا، قَالَ: أَنْتَ لَهُ إِنْ أَدْرَکْتَهُ. قَالَ: فَدَخَلَ عَلَيْهِ فَوَجَدَهُ قَدْ خَرَجَ فَرَجَعَ إِلَی رَسُوْلِ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ: مَا فَعَلْتَ؟ قَالَ: وَجَدْتُهُ وَ قَدْ خَرَجَ قَالَ: لَوْ قُتِلَ مَا اخْتَلَفَ فِي أُمَّتِي رَجُلَانِ کَانَ أَوَّلُهُمْ وَ آخِرُهُمْ. قَالَ مُوْسَی: سَمِعْتُ مُحَمَّدَ بْنَ کَعْبٍ يَقُولُ: هُوَ الَّذِي قَتَلَهُ عَلِيٌّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ ذَا الثَّدْيَةِ.

وَ فِي رِوَايَةٍ: فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: هَذَا أَوَّلُ قَرْنٍ مِنَ الشَّيْطَانِ طَلَعَ فِي أُمَّتِي (أَوْ أَوَّلُ قَرْنٍ طَلَعَ مِنْ أُمَّتِي) أَمَّا إِنَّکُمْ لَوْ قَتَلْتُمُوهُ مَا اخْتَلَفَ مِنْکُمْ رَجُلَانِ، إِنَّ بَنِي إِسْرَائِيْلَ اخْتَلَفُوا عَلَی إِحْدَی أَوِ اثْنَتَيْنِ وَ سَبْعِيْنَ فِرْقَةً، وَ إِنَّکُمْ سَتَخْتَلِفُوْنَ مِثْلَهُمْ أَوْ أَکْثَرَ، لَيْسَ مِنْهَا صَوَابٌ إِلَّا وَاحِدَةٌ. قِيْلَ: يَا رَسُولَ ﷲ، وَ مَا هَذِهِ الْوَاحِدَةُ؟ قَالَ: الْجَمَاعَةُ، وَ آخِرُهَا فِي النَّارِ. رَوَاهُ أَبُو يعلی وَ عَبْدُالرَّزَّاقِ وَ أَبُو نُعِيْمٍ.

وَ رِجَالُهُ رِجَالُ الصحيح کَمَا قَالَ الْهَيْثَمِيُّ. وَ إِسْنَادُهُ صَحِيْحٌ.

33.          “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Farmaya: Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Zamana-e Mubarak Me Ek Shakhs Tha Jis Kee ‘Ibadat Guzaari Aur Mujaahide Ne Hame’n Hairaangi Me Mubtala Kiya Hu’a Tha. (Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Yaha’n Tak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Me Se Baa’z Use Khud Se Bhi Afzal Gardaan’ne Lage They) Ham Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne Us Ka Naam Aur Us Kee Sifaat Bayaan Kar Ke Us Ka Ta‘aaruf Karaaya. Ek Daf’a Ham Us Ka Zikr Kar Rahe They Ki Woh Shakhs Aa Gaya. Ham Ne ‘Arz Kiya: Woh Yeh Shakhs Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Be-Shak Tum Jis Shakhs Kee Khabare’n Dete They Yaqeenan Us Ke Chehre Par Shaitani Rang Hai So Woh Shakhs Qareeb Aaya Yaha’n Tak Ki Un Ke Paas Aa Kar Khada Ho Gaya Aur Us Ne Salam Bhi Nahin Kiya. To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Farmaya: Mein Tujhe Allah Kee Qasam Deta Hoo’n (Tumhe’n Ki Sach Bataana) Ki Jab Too Majlis Ke Paas Khada Tha, Too Ne Apne Dil Me Yeh Nahin Kaha Tha Ki Logo’n Me Mujh Se Afzal Ya Mujh Se Ziyaada Barguzeeda Shakhs Ko’i Nahin? Us Ne Kaha! Allah Kee Qasam! Haa’n (Mein Ne Kaha Tha). Phir Woh (Masjid Me) Daakhil Hu’a, Namaz Padh Ne Laga. (Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Phir Woh Shakhs Muda Masjid Ke Sehn Me Aaya, Namaz Kee Tayyaari Kee, Taange Seedhi Kee’n Aur Namaz Padh Ne Laga) To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Us Shakhs Ko Kaun Qatl Karega? Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya: Mein Karunga So Woh Us Ke Paas Ga’e To Use Namaz Padhte Hu’e Paaya Kehne Lage. Sub’hanAllah Mein Namaz Padhte Shakhs Ko (Kaise) Qatl Karoon? Jab Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaziyo’n Ko Qatl Kar Ne Se Man’a Farmaya Hai. To Woh Baahar Nikal Ga’e. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Too Ne Kya Kiya? Arz Kiya: Mein Ne Is Haalat Me Ki Woh Namaz Padh Raha Tha Use Qatl Karna Na Pasand Kiya Jab Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaziyo’n Ko Qatl Kar Ne Se Man’a Kiya Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Us Shakhs Ko Kaun Qatl Karega? Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya: Mein Karunga, So Woh Us Ke Paas Ga’e To Use Allah ‘Azza Wa-Jalla Kee Bargah Me Chehra Jhukaa’e Dekha Hazrat ‘Umar Ne Kaha: Hazrat Aboo Bakr Mujh Se Afzal Hain Lihaaza Woh Bhi (Use Qatl Ki’e Baghair) Baahar Nikal Ga’e. To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Too Ne Kya Kiya? ‘Arz Kiya Mein Ne Use Allah Ta’ala Kee Bargah Me Sar Jhukaa’e Dekha To (Is Haalat Me) Use Qatl Karna Na-Pasand Kiya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Kaun Us Shakhs Ko Qatl Karega? To Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne ‘Arz Kiya,  Mein Karunga, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Tum Hee Us Ke (Qatl Ke) Liye Ho Agar Tum Ne Use Paa Liya To (Tum Zaroor Use Qatl Kar Loge) Raawi Ne Bayan Kiya Ki Woh Andar Us Ke Paas Ga’e To Dekha Ki Woh Chala Gaya Tha Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Laut Aa’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Too Ne Kya Kiya? Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne ‘Arz Kiya: Mein Ne Dekha Ki Woh Chala Gaya Tha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Agar Woh Qatl Kar Diya Jaata To Meri Ummat Me Do² Aadmiyo’n Me Bhi Kabhi Ikhtelaaf Na Hota Woh (Fitna Me) Un Ka Awwal-o Aakhir Tha. Hazrat Moosa Ne Bayan Kiya Mein Ne Hazrat Muhammad Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna: Farmate Hain: Woh Wohi Pistaan (Ke Mushaabeh Haath) Waala Tha Jise Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Qatl Kiya Tha.”

Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Yeh Shaitaan Ka Pehla Seeng Hai Jo Meri Ummat Me Zaahir Hoga (Ya Pehla Seeng Hai Jo Meri Ummat Me Zaahir Hu’a) Jab Ki Agar Tum Use Qatl Kar Dete To Tum Me Se Do² Aadmiyo’n Me Kabhi Ikhtelaaf Na Hota. Be-Shak Bani Isra’il Me Ikhtelaf Se Woh 71 Ya 72 Firqo’n Me Bat Ga’e Aur Tum ‘Anqareeb Itne Hee Ya Us Se Bhi Ziyaada Firqo’n Me Bat Jaa’oge Un Me Se Ko’i Raahe Raast Par Nahin Hoga Siwaaye Ek Ke, ‘Arz Kiya Gaya: Ya RasoolAllah! Woh Ek Firqa Kaunsa Hoga? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jama’at (Sab Se Bada Giroh) Is Ke ‘Ilaawah Doosre Sab Aag Me Jaa’enge.”


[Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/90, Raqm-90,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/155, 168, Raqm-4143, 4127,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/155, Raqm-18674,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 03/52,

Marwazi As-Sunnah, 01/21, Raqm-53,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,17/69, Raqm-2499,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 06/226,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-46, 47, 48, 49, Raqm-33.]