Posted in Dhibhe 'Azeem

Dhib’h-E-Isama’il ‘Alayh-is-Salam

Dhib’h-E-Isma’il ‘Alayh-is-Salam

 

Peshe Lafz

Tamaamtar Ikhtiyaaraat Ko Apni Zaat Me Murtakiz Kar Khuda Ban Ne Ka Junoon Taarikhe Insaani Ke Har Daur Aur Ahd Me Masnade Iqtidar Par Biraajmaan Mutlaq-ul-‘Inaan Baadshaaho’n Ke Zehno’n Me Futoor Par Barpa Karta Raha Hai. Insaani Khopdiyo’n Ke Meenaar Ta’meer Kar Ke Apni Ana Ko Taskeen Dene Ke Us Shaytaani Amal Ne Is Kuraa-E-Arazi Par Shaadaab Mausamo’n Kee Chaandni Bikharne Kee Bajaaye Taarikh Ke Awraaq Par Jabar-o-Istibdaad Kee An Ginat Daastaanein Raqam Kee Hain. Yeh Junoon Aaj Kee Naam Nihaad Muhadhdhab Aur Jamhoori Dunya Me Zulm, Barbariyyat, Darindagi Aur Wahshat Kee Intihaao’n Ko Chhoote Huwe Na Sirf Zinda Hai Balki Poori Quwwat Aur Shiddat Ke Saath Mutaharrik Bhi Hai. Yehi Wajah Hai Ki Apni Tamaam Tar Raushan Khayaali, Science Aur Fanni Irtiqa’ Ke Baa Wajood Insaani Mu’ashare Haywani Mu’asharo’n Ke Qareb-Tar Ho Rahe Hain, Jungale Ka Kanoon Aaj Bhi Kisi Na Kisi Soorat Me Aulaade Aadam Par Musallat Hai, Farq Sirf Itna Hai Ki Ab Yeh Kaare Mazammat, Khushnuma Aur Dil-Fareb Unwaanaat Ke That Jaari Hai. Ab Tausee’ Pasandi Ke Paimaane Badal Gaye Hain, Ab Jismaani Ghulaami Kee Jagah Siyaasi Aur Ma’aashi Ghulaami Ke Naye Naye Andaaz Muta’aarif Ho Rahe Hain. Riyaasati Dehshatgardi Ne Har Cheez Ko Apni Lapet Me Le Rakkha Hai, Aatishe Namrood Se Maidaane Karbala Me Khaandaane Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Khaimo’n Ko Aag Lagaaye Jaane Tak Riyaasati Dehshatgardi Kee An Ginat Mithaalein Bikhri Huwi Hain, Riyaasati Dehshatgardi Jise Umuman Qanooni Aur Aa’ini Tahaffuz Bhi Faraaham Kiya Jaata Hai Hamaare Poore Ahd Kee Pehchaan Ban Gayi Gai, Kehne Ko To Nasli Ta’aassubat Ka Khatima Ho Chuka Hai Lekin Maghrib Samed America Jaise Naam Nihaad Muhadhdhab Aur Jamhoori Mu’aasharo’n Me Gore Aur Kaale Khoon Me Amalan Aaj Bhi Tameez Rawa Rakkhi Jaati Hai.

 

Taarikhe Aalam Shaahid Aadil Hai Ki Haakim Aur Mahkoom Tabaqaat Ke Darmiyaan Sadiyo’n Par Muhit Siyaasi Aur Tabaqaati Kashmakash Dar-Asl Insaan Ke Bunyaadi Huqooq Kee Paamaali Ka Nateeja Hai Aur Yeh Kashmakash Us Waqt Tak Jaari Rahegi Jab Tak Dunya Ibn Aadam Ke Qanoon Aur Huqooq Dene Waale Paighambare Amn Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Dehliz Se Apni Ghulaami Ka Rishta Ustuwaar Kar Ke Ufuqe Aalam Par Daa’imi Amn Kee Bashaarato’n Ke Nuzool Ko Yaqeeni Nahin Banaati.

 

Sayyidina Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Aatishe Namarood Me Be-Khatar Kood Kar Kalima-E-Haque Kehne Kee Jis Paighambarana Riwaayat Ko Aage Badhaaya Tha Woh Azim Riwaayat Dhib’h-E-Isma’il Se Dhib’h-E-Husayn Tak Taslim-o-Raza Aur Ithaar-o-Qurbaani Kee In Kaa’inaati Saccha’iyo’n Kee Ameen Hai Jin Ke Baghair Tehdhibe Insaani Ke Ijtima’iy Rawyyo’n Kee Har Tafhim Aur Tawjihah Be-Ma’ni Aur Ghair Mu’aththir Ho Kar Rah Jaati Hai Taarikhe Islaam Hurriyyat Fikar Ke Ameen Inhi’n Lamhaate Jaawidaa’n Kee Ayni Shaahid Hai, Iqbal Ne Kya Khoob Kaha Hai :

Gharib Aur Saada Wa Rangi’n Hai Daastaane Haram
Nihaayat    Is    Kee    Husayn    Ibteda    Hai    Isama’il

Is Abadi Haqiqat Ke Tarjumaani Par Mabni Iqbal Ka Yeh She’r Hamesha Se Ah-E-Ilm-o-Nazar Ko Mutawajih Karta Raha, Zaroorat Is Baat Kee Thi Ki Hakim-ul-Ummat Ke In Jazbaat Ko Baa-Qaa’idah Ilmi Aur Tehqiqi Qaalib Me Dhaala Jaata So Is Sa’adat Ke Liye Qudrat Ne Mufakkire Islam Professor Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Kee Zabaane Haqiqat Tarjumaan Ka Intekhaab Kiya. Chunanche Yeh Kitab Aap Ke Mukhtalif Mawa’qe’ Par Kiye Gaye Khutabaat Ka Majmoo’a Hai Jin Me Muhtaram Muhammad Muhammad Taj-ud-Deen Hashimi Shahib Ne Baa’z Zaroori Hawaala Jaat Ka Izaafa Bhi Kar Diya Hai Yoo’n Is Achhote Mauzoo’ Par Apni Nau’iyyat Kee Pehli Kitaab Aap Ke Hatho’n Me Maujood Hai.
Riyaz Husayn Chaudhri

[Dhib’h-E-‘Azeem(Dhib’h-E-Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’h-E-Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/02, Ta 04.]