Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Gharaana Hee Ahl-E-Kisa’ Hai
03_ “Safiyyah Bint Shaybah Riwaayat Karti Hain : Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayaan Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Sub’h Ke Waqt Baahar Tashreef Laa’e Dar Haala’n Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Aik Chaadar Odhi Huwi Thi Jis Par Siyaah Oon Se Kajaawo’n Ke Naqsh Bane Huwe They. Pas Hazrat Hasan Bin Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Aa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Unhein Us Chaadar Me Daakhil Kar Liya, Phir Hazrat Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Aa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Hamraah Chaadar Me Daakhil Ho Gaye, Phir Sayyidah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Aaein Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Unhein Us Chaadar Me Daakhil Kar Liya, Phir Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Aa’e To Aap Ne Unhein Bhi Chaadar Me Le Liye. Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Yeh Aayat Mubaaraka Padhi : ﴾Aye Ahl-E-Bayt! Allah To Yehi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodgi Door Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak-o-Saaf Kar De.﴿”
–
[1_Muslim Fi As-Sahih, 04/1883, Raqam-2424,
2_Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/370, Raqam-36102,
3_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/672, Raqam-1149,
4_Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 03/678, Raqam-1271,
5_Hakim Fi Al-Mustadrak, 3/159, Raqam-4705,
6_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 02/149,
7_Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 22/06, 07,
8_Baghawi Fi Ma’alim-ut-Tanzil, 03/529,
9_Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/485,
10_Suyooti Fi Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor, 06/605,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/18, 19, Raqam-03.]
04_ “Parwarda-E-Nabi Hazrat Umar Bin Abi Salamah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Par Hazrat Ummi Salamah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ke Ghar Me Yeh Aayat Mubaaraka …… ﴾Aye Ahl-E-Bayt! Allah To Yehi Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodgi Door Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak-o-Saaf Kar De﴿…… Naazil Huwi ; To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم Ko Bulaaya Aur Aik Kamli Me Dhaanp Liya. Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Peechhe They, Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Unhein Bhi Kamli Me Dhaanp Liya, Phir Farmaya : Ilaahi! Yeh Mere Ahl-E-Bayt Hain, In Se Najaasat Door Kar Aur In Ko Khoob Paak-o-Saaf Kar De.”
–
[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/351, 663, Raqam-3205, 3787,
2_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/292,
3_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/587, Raqam-994,
4_Bayhaqi Ne ‘As-Sunan-ul-Kubra (02/150)’ Me Yeh Hadith Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Riwaayat Kee Hai.
5_Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/451, Raqam-3558,
6_Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/158, Raqam-4705,
7_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/54, Raqam-2662,
8_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/25, Raqam-8295,
9_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/134, Raqam-3799,
10_Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,/327,
11_Khatib Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 09/126,
12_Khatib Baghdadi Fi Muwaddihu Al-Jam’ Awhami Wa At-Tafriq, 02/313,
13_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/107, 108, Raqam-201,
14_ Ibn Athir Ne ‘Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah (07/218)’ Me Yeh Hadith Hazrat Ummi Salamah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwaayat Kee Hai.
15_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 07/138,
16_Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 03/405,
17_Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 22/07,
18_Suyooti Fi Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor, 06/604,
19_Shawkani Fi Fat’h-ul-Qadir, 04/279,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/19, 20, Raqam-04.]