Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Ali Akbar Ke Baa’d Kasim Bhi Shaheed Ho Gaye

Imame Aali Maqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Dekh Rahe Hain Ki Ab Kounsa Ra’na Uroose Shahdat Se Ham-Linaar Hone Ke Liye Maqtal Kee Taraf Rawana Hota Hai……Ab Koun Ali Akbar Ke Saath Apni Masnade Shahadat Bichhaata Hai….Ab Koun Mafaaraqat Ke Daagho’n Se Seena Chhalni Karta Hai……. Ab Koun Tashna Lab Hawze Kawthar Par Pahunch Kar Apni Pyaas Bujhata Hai ….. Ab Koun Apne Lahu Se Daastaane Hurriyyat Ka Naya Baab Tehrir Karta Hai…… ? Nazarein Utha Kar Dekhte Hain To Saamne Imam Hasan ‘Alayh-is-Salam Ke Lakhte Jiagr Qaasim Khade Hain, Yeh Woh Jawaan Hain Jin Ke Saath Hazrat Sakeena Kee Nisbat Tay Ho Chuki Hai, Arz Karte Hain Chacha Jaan! Ijaazat Dijiye Ki Apni Jaan Aap Ke Qadmo’n Par Nithaar Kar Du’n, Imame Aali Maqam Jo Maqame Raza Par Faa’iz Hain Farmate Hain : Qasim! Too To Mere Bade Bhaai Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Ek-Lauti Nishaani Hai, Tumhein Dekh Kar Mujhe Bhaai Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Yaad Aa Jaate Hain, Tujhe Maqtal Me Jaane Kee Ijaazat Kaise De Du’n? Qaasim Ne Kaha : Chacha Jaan! Yeh Kaise Mumkin Hai Ki Mein Apne Khoon Se Haque Kee Gawaahin Na Du’n? Chacha Jaan! Mujhe Jaane Dijiye, Meri Laash Par Se Guzar Kar Hee Dushman Aap Tak Pahunch Paayega, Agar Aaj Aap Ke Qadmo’n Par Jaan Nithaar Na Kar Saka To Kal Abba Jaan Ko Kya Munh Dikhaaunga? Hazaaro’n Du’aaon Kee Chaao’n Me Khanwada-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Yeh Chashm-o-Charaagh Bhi Maidaane Shahdat Kee Taraf Badhne Laga.

 

Humid Bin Ziyaad, Ibn Ziyaad Kee Fauz Ka Sipaahi Hai, Al-Bidayah Wa An-Nihayah Me Imam Ibn Kathir Kee Riwaayat Ke Mutaabiq Woh Bayaan Karta Hai Ki Hum Ne Achaanak Dekha Ki Ahl-E-Bayt Ke Khaimo’n Me Se Aik Khubsoorat Aur Kadyal Jawaan Nikla, Us Ka Chehrah Chaand Ka Tukda Ma’loom Hota Tha. Us Ke Haath Me Talwaar Lehra Rahi Thi. Ghaaliban Us Ke Baaein Joote Ka Tasama Toota Huwa Tha Woh Sher Kee Tarah Hamla Aawar Huwa, Ibn Sa’d Ke Lashkar Par Toot Pada Aur Yazeediyo’n Ko Waasile Jahannam Karne Laga, Yeh Jawaan Imam Hasan Ka Beta Qaasim Tha, Yazeediyo’n Ne Chaaro’n Taraf Se Hamla Kar Diya Kisi Badbakht Ne Shahzaada Qaasim Ke Sar Par Talwaar Maari Aawaaz Dee : يا عماه! Aur Chakra Kar Gir Pade, Imaame Aali Maqaam Ali Akbar Ke Gham Me Nidhaal They, Bhateeje Kee Laash Ke Girne Ka Manzar Dekha To Uthey, Qaasim Kee Laash Par Aaye, Farmaya : Bete Qaasim! Yeh Kaisi Ghadi Hai Ki Mein Aaj Teri Madad Nahin Kar Saka! Imame Aali Maqam Ne Qasim Ke Laashe Ko Apne Seene Laga Liya. Imam Ibn Kathir Ke Mutaabiq Raaw Ka Kehna Hai Ki Imaame Aali Maqaam Aik Jawaan Kee Laash Utha Kar Khaimo’n Kee Taraf Laaye, Woh Itna Kadyal Jawaan Tha Ki Us Ke Paaun Aur Taangein Zameen Par Latak Rahi Thi. Mein Ne Kisi Se Puchha : Yeh Jawaan Jis Ko Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Utha Kar Le Jaa Rahe Hain Koun Hai? Kisi Ne Mujhe Bataaya Ki Imam Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Beta Qaasim Hai, Imame Aali Maqam Ne Qaasim Kee Laash Ko Bhi Apne Shehzade Ali Akbar Kee Laah Ke Saath Lita Diya.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/107_108.]