Ab Paighambare A’zam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Khandan Ke Afraad Kee Baari Thi. Un Ke Chehre Tamtama Rahe They. Bhook Aur Pyaas Se Bura Haal Ho Raha Tha Lekin Jazba-E-Shahadat Ke Josh Me Dunya Kee Yeh Cheez Un Ke Nazdeek Be Waq’at Ho Kar Rah Gayi Thi. Ali Akbar, Jise Hamshakle Paighambar Hone Ka I’zaaz Haasil Tha Baargaahe Husayn ‘Alayh-is-Salam Me Haazir Hota Hai Ki Abba Jaan! Ab Mujhe Ijaazat Dijiye. Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Us Kee Peshaani Par Al-Wada’iy Bosa Thabt Karte Huwe Jawa’n Saal Bete Ko Seene Se Laga Liya Aur Bete Ko Hasrat Bhari Nazro’n Se Dekha Aur Du’aaein De Kar Mqtal Kee Taraf Rawaana Kiya Ki Beta! Jaao Allah Kee Raah Me Apni Jaan Ka Nazraana Pesh Karo Ali Akbar Sher Kee Tarah Maidaane Jang Me Aaye, Saraapa Paikare Ra’naa’iy, Saraapa Paikare Husn, Saraapa Paikare Jamaal, Mustafa-o-Mujtaba SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Tasweere Kaamil, Yazeedi Lashkar se Nabard Aazma Tha. Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Maqtal Kee Taraf Badh Ke Apne Bete Kee Jang Ka Nazaarah Karein Woh Dushman Par Kis Tarah Jhapat’ta Hai? Lekin Lashkare Yazeed Me Itna Gard-o-Ghubaar Chaaya Huwa Tha Ki Imame Aali Maqam Daade Shujaa’at Dete Huwe Ali Akbar Ko Na Dekh Sake.
Imame Aali Maqam Aarzu Mand They Ki Dekhein Mera Beta Kis Tarah Raahe Haque Me Istiqaamat Ka Kohe Garaa’n Saabit Hota Hai Kis Tarah Yazeedi Lashkar Par Waar Karta Hai, Shuja’ate Haydari Ke Paikar Ali Kabar Barqe Ra’d Ban Kar Yazeedi Asaakir Par Hamle Kar Rahe They, Safein Kee Safein Ulat Rahe They. Lashkare Yazeed Jis Taraf Daudta Imaame Aali Maqaam Samajh Jaate Ki Ali Akbar Us Taraf Daade Shujaa’at De Raha Hai, Isi Tarah Samto’n Ka Ta’ayyun Hota Raha, Yazeedi Sipaahi Waasile Jahannam Hote Rahe, Ali Akbar Mardaana Waar Jang Kar Rahe They. Teen Deen Ke Pyaase They, Gard-o-Ghubaar Se Faa’idah Utha Kar Ghode Ko Aidi Laga Kar Waapas Aaye Arz Kee Abba Jaan! Agar Aik Ghunt Paani Mil Jaaye To Taazah Dam Ho Kar Badbakhto’n Par Hamla Karu’n. Farmaya : Beta! Mein Tumhein Paani To Nahin De Sakta Meri Zubaan Ko Choosh Lo, Imaame Aali Maqaam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Apni Zubaan Khushk Hai, Imaame Aali Maqaam Ne Apni Zubaan Mubaarak Ali Akbar Ke Munh Me Daal Dee Ki Beta Isi Tarah Naana Jaan Apni Zubaan Mubaarak Mere Munh Me Daala Karte They. Shaayad Woh Mere Munh Me Apni Zubaan Aaj Ke Din Ke Liye Daalte They. Ali Akbar Ne Apne Baaba Kee Sookhi Huwi Zubaan Choosi, Aik Naya Hausla Aur Walwala Mila. Palat Kar Phir Lashkare Yazeed Par Hamla Kar Diya Achaanak Ladte Ladte Aawaaz Dee.
يا ابتاه ادر كنى
Abba Jaan Aa Kar Mujhe Thaam Lijiye
Hazrat Imaam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Samajh Gaye Ki Jawaa’n Saal Bete Kee Shahadat Kee Ghadi Aa Gayi, Daud Kar Ali Akbar Kee Taraf Aaye, Qareeb Ho Kar Dekha To Humshakle Paighambar Ali Akbar Zameen Par Tha. Lashkare Yazeed Ke Kisi Badbakht Sipaahi Ka Nezah Ali Akbar Ke Seene Me Paiwast Ho Chuka Tha, Imaame Aali Maqaam Zameen Par Baith Gaye Apne Zakhmi Bete Ka Bosa Liya, Ali Akbar Ne Kaha : Abba Jaan! Agar Yeh Neze Ka Phal Seene Se Nikaal De’n To Phir Dushman Par Hamla Karu’n. Imaame Aali Maqaam Ne Ali Akbar Ko Apne Goud Me Le Liya, Neze Ka Phal Khincha To Seene Se Khoon Ka Fawwaara Beh Nikla Aur Rooh Qafase Unsuri Se Parwaaz Kar Gayi انا لله و انا اليه راجعون.
Imaame Aali Maqaam Jawa’n Saal Bete Kee Laash Ko Le Kar Apne Khaime Kee Taraf Palte, Raawi Bayaan Karta Hai Ki Jab Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Maidaane Karbala Me Aaye They To 10 Muharram Ke Din Aap Kee Umr Mubaarak 56 Baras Paanch Maah Aur Paanch Din Thi Magar Sare Anwar Aur Reesh Mubarak Ka Aik Baal Bhi Sufed Na Tha Lekin Jab Jawaan Ali Akbar Ka Laasha Apne Baazu’n Me Samet Kar Palte To Sare Anwar Ke Saare Baal Aur Reesh Mubaarak Sufed Ho Chuki Thi. Hazrat Safiyyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Hazrat Zaynab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Keh Rahi Thi Ki Phoophi Jaan! Baaba Jaan Buddhe Ho Gaye Hain. Gham Ne Aap Ko Nidhaal Kar Diya Tha.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/105_107.]