Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Inferaadi Jang Ka Aaghaaz

Us Dhib’he ‘Azeem Ka Lamha Joo’n Joo’n Qareeb Aa Raha Tha Aale Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Sakhtiya’n Badhti Chali  Jaa Rahi Thi’n Teen Dino’n Ke Pyaase Husayni Sipaahiyo’n Ne Munaafiqat Ke Khilaaf Faisla Kun Ma’rike Kee Tayyari Shuru’ Kar Dee. Inferaadi Jang Ka Aaghaaz Huwa. Janaabe Hurr As’haabe Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Pehle Shaheed They Ab Aik Mujaahid Lashkare Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Nikalta Aur Aik Yazeedi Lashkar Se. Aap Ke Jaan Nithaar Dushman Kee Safo’n Kee Safein Ulat Dete, Kushto’n Kee Pushte Lagaate Rahe, Yazeediyo’n Ko Waasile Jahannum Kar Ke Aur Phir Khud Bhi Jaame Shahadat Nosh Kar Ke Nawasa-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Qadmo’n Par Nithaar Ho Jaate, Pehle As’haabe Husayn Shaheed Huwe, Ghulaam Nithaar Huwe, Qaraabat Daar Aik Aik Kar Ke Haque Shujaa’at Dete Huwe Sifate Shahadat Se Sarfaraaz Huwe.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/104_105.]