Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Hurr Kee Tawbah

Yazeedi 72 Jaan Nithaaro’n Aur Aurto’n Aur Baccho’n Ke Khilaaf Saf Aaraa’ Huwe, Dastoore Arab Ke Mutaabiq Pehle Inferaadi Jang Ka Aaghaaz Huwa. Yazeedi Lashkar Se Aik Shehsawaar Nikla, Ibn Sa’d Se Puchha Kya Waaqe’iy Tum Ne Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ko Shaheed Karne Ka Faisla Kar Liya Hai? Woh Badbakht Jawaab Deta Hai Ki Is Ke Siwa Hamaari Paas Koi Chaarah Nahin. Yeh Sun Kar Shehsawaar Par Larza Taari Ho Jaata Hai Ki Yeh Badbakht To Nawasa-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Qatl Kar Dega. Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Gharaane Ka Khoon Bahaaega. Is Ke Dil Me Imaan Ke Jo Changaari Sulag Rahi Thi Us Ne Josh Maara, Qudrat Ne Use Us Muhabbate Ahle Bayt Ka Thamar Diya, Us Ke Andar Ka Insaan Bedaar Ho Gaya. Woh Khauf Se Kaanp Raha Tha. Us Kee Yeh Kaifiyyat Dekh Kar Aik Shakhs Us Se Puchhta Hai, Tum Koofah Waalo’n Me Se Sab Se Bahaadur Shakhs Ho, Tumhaari Bahaaduri Kee To Mithaalein Dee Jaati Hain, Mein Ne Aaj Tak Tumhein Itna Paz Murda Nahin Dekha, Tumhaari Haalat Ghair Kyun Ho Rahi Hai? Woh Shakhs Sar Uthaata Hai Aur Imaame Aali Maqaam Kee Taraf Ishaarah Kar Ke Kehta Hai Mere Aik Taraf Jannat Hai Aur Dusri Taraf Dozakh Hai…..Mujhe Aaj Aur Isi Waqt Dono’n Me Se Kisi Aik Ka Intekhaab Karna Hai! Thode Se Tawaqquf Ke Baa’d Woh Shehsawaar Silsila-E-Kalaam Jaari Rakhte Huwe Kehta Hai…….. Mein Ne Dozakh Ko Thukraane Ka Faisla Kar Liya Hai Aur Apne Jannat Ko Muntakhab Kiya Hai, Phir Woh Apne Ghode Ko Aidi Lagaata Hai Aur Imaame Aali Maqaam Kee Khidmat Me Pahunchta Hai. Nawasa-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hazrat Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ko Mukhaatib Kar Ke Kehta Hai : Huzoor! Mein Aap Ka Mujrim Hoo’n, Mein Hee Aap Ke Qaafile Ko Gher Kar Maidaane Karbala Tak Laaya Hoo’n Kya Is Lamhe Me Bhi Meri Tawbah Qubool Ho Sakti Hai? Shaafi’-E-Mahshar Ke Noore Nazar Imaame Aali Maqaam Ne Farmaya Ki Agar Tawbah Karne Aaye Ho To Ab Bhi Qubool Ho Sakti Hai. Woh Kehta Hai Kya Mera Rabb Mujhe Mu’aaf Kar Dega? Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu : Haa’n, Tera Rabb Tujhe Mu’aaf Kar Dega. Lekin Yeh To Bata Ki Tera Naam Kya Hai, Us Shehsawaar Kee Aankho’n Se Aansoo Jaari Ho Jaate Hain, Arz Karta Hai Mera Naam Hurr Hai, Imaame Aali Maqaam Ne Farmaaya : Hurr Tumhein Dunya Me Bhi Aur Aakhirat Me Bhi Aazaad Kar Diya Gaya Hai. Farmaya : Hurr Neeche Aao! Woh Kehta Hai : Nahin Imame Aali Maqam! Ab Zinda Neeche Nahin Aaunga, Apni Laash Aap Ke Qadmo’n Par Nichhaawar Karunga Aur Yazeed Ke Lashkar Ke Saamne Seesa Pilaayi Huwi Deewaar Ban Jaaunga. Is Ke Baa’d Khush Bakht Hurr Ne Yazeedi Lashkar Se Khitaab Kiya Lekin Jab Aankho’n Par Mafaadaat Kee Patti Baandh Dee Jaaye To Kuchh Nazar Nahin Aata. Koofi Lashkar Par Hurr Kee Baato’n Ka Koi Asar Na Huwa.

[Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 08/180, 181,

Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/104_105.]