Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Ibn Ziyaad Ka Anjaam

Mukhtaar Thaqafi Ke Lashkar Ke Sip’he Saalaar Ne Ibn Ziyaad Ka Sar Qalam Kiya Aur Use Neze Par Chadha Kar Mukhtaar Thaqafi Ke Paas Bheja . Badbakht Ibn Ziyaad Ka Sar Mukhtaar Thaqafi Ke Saamne Rakkha Tha. Aik Saanp Kahin Se Namoodaar Huwa Woh Maqtooleen Ke Saro’n Ko Sunghta Raha Jab Mukhtaar Thaqafi Ke Qareeb Pahuncha To Us Ke Munh Me Daakhil Hota Aur Naak Ke Nathno’n Se Baahar Aata Aur Yeh Amal Us Ne Kai Baar Dohraaya Goya Zubaane Haal Se Keh Raha Tha Ki Yazeediyo’n! Tumhaare Chehro’n Par La’nat Bhejta Hoo’n. Ibn Ziyaad Qatl Huwa. Yazeed Barbaad Huwa Lekin Husayn ‘Alayh-is-Salam Zinda Hai Aur Qiyaamat Tak Husayn Zinda Rahega. Yazeed Mar Gaya Aaj Koi Yazeed Ka Naam Bhi Nahin Leta. Karbala Me Aaj Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Qabr Bhi Zinda Hai. Jab Ki Dimashq Me Yazeed Kee Qabr Bhi Murdah Hai Waha’n Har Lamha La’nat  Baras Rahi Hai Lekin Saari Dunya Husayn ‘Alayh-is-Salam Kee Qabr Par Salat-o-Salam Ke Phool Nichhaawar Kar Rahi Hai.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/122.]