Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Darbaare Yazeed Me

Ibn Ziyaad Ke Qasre Imaarat Ke Baa’d Aseeraane Karbala Ka Yeh Qaafila Jab Dimashq Me Yazeed Ke Darbaar Me Pahuncha To Woh Badbakht Us Waqt Masnade Shaahi Par Baitha Huwa Tha. Us Badbakht Ne Imame Aali Maqam Ke Dandaan Mubaarak Par Apni Chhadi Maari Aur Ash’aar Padhe Jin Ka Mafhoom Yeh Tha Ki Aaj Hum Ne Badr Me Apne Maqtoolin Ka Ka Badla Le Liya Hai, Us Badbakht Ne Apne Andar Chhupe Huwe Kufr Ko Zaahir Kar Diya. (Ibn Ziyaad Ke Darbaar Me Bhi Is Qism Ke Waaqe’aat Pesh Aaye They) Yeh Manzar Dekh Darbaar Me Maujood Aik Sahaabi Uthey Aur Yazeed Ko Us Harkat Se Baaz Rakhne Kee Koshis Kee Farmaya : Khuda Kee Qasam Mein Ne Apni Aankho’n Se Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko In Labo’n Ko Choomte Dekha Hai, Darbaar Me Qaysare Room Ka Safeer Jo Aik Isaa’i Bhi Masnad Nasheen Tha Us Ne Yazeed Ko Mukhaatib Karte Huwe Kaha Ki Tum Badbakht Aur Be Imaan Ho, Tum Ne Apne Paighambar Ke Nawaase Ko Shaheed Kar Ke Us Ka Sar Tan Se Juda Kar Diya Hai Aur Ab Apni Chhadi Se Is Muqaddas Sar Kee Be Hurmati Kar Rahe Ho, Mein Mazhaban Isaa’i Hoo’n Aik Ilaaqe Me Hamaare Paas Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Kee Sawaari Ke Paao’n Ke Khur Hain, Hum Ne Unhein Mahfooz Kar Liya Hai Khuda Kee Qasam Aik Muddat Guzar Jaane Ke Baa’d Bhi Us Sawaari Ke Na’l Kee Izzat Karte Hain Jis Tarah Tum Apne Ka’bah Kee Izzat Karte Ho. Hum Apne Nabi Kee Sawaari Ke Qadmo’n Ka Yeh Ihtiraam Karte Hain, Har Saal Us Na’l Kee Ziyaarat Karte Hain Us Ka Adab Karte Hain. Badbakhto’n! Apne Paighambar Ke Shahzaade Ke Saath Yeh Sulook Kar Rahe Ho……! La’nat Hai Tumhaare Amal Aur Kirdaar Par, Yazeed Samajh Raha Tha Ki Husayn ‘Alayh-is-Salam Ko Qatl Kar Ke Us Ne Bahut Bada Ma’rika Sar Kar Liya Hai Ab Us Ke Khabare Musalsal Saamne Koi Deewaar Ban Kar Khada Na Hoga Ab Deen Kee Tehreef me Woh Aazaad Hoga Lekin Us Badbakht Ko Yeh Ma’loom Na Tha Ki Yazeediyyat Jeet Kar Bhi Haar Gayi Hai Aur Husayniyyat Bazaahir Haar Kar Bhi Jeet Gayi Hai.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/121_122.]