Riwaayat Mein Hain Ki Ibn Sa’d Ne Imame Aali Maqam Ke Sare Aqdas Ko Khooli Ke Haath Ibn Ziyaad Ke Darbaar Me Bheja Jab Khooli Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Sare Aqdas Le Kar Koofah Me Pahuncha To Qasre Imaarat Ka Darwaaza Badn Ho Chuka Yha Chunanhe Woh Sare Anwar Ko Apne Ghar Le Aaya Aur Aik Bartan Se Sare Anwar Ko Dhaanp Diya Us Kee Biwi Niwaare Sakht Naaraaz Huwi Ki Too Rasoole Khuda SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Nawaase Ka Sar Le Kar Aaya Hai Chunanche Woh Us Jagah Aa Baithi Jaha’n Imame Aali Maqam Ka Sare Aqdas Rakkha Tha. Woh Riwaayat Karti Hai :
قواﷲ مازلت انظر الی نور يسطع مثل العمود من السماء الي الاجانة ورايت طيراً بيضاء ترفرف حولها
“Khuda Kee Qasam Mein Ne Dekha Ki Aik Noor Baraabar Aasmaan Se Us Bartan Tak Sutoon Kee Maanind Chamak Raha Hai Aur Mein Ne Sufed Parinde Dekhe Jo Bartan Ke Ird Gird Mandla Rahe They.”
–
[Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 06/33,
Ibn Athir Fi Al-Kamil Fi At-Tarikh, 04/80.]
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/120_121.]